1 Patras 5
5
1Tum meṉ jo buzurg haiṉ, maiṉ un kí tarah buzurg, aur Masíh ke dukhoṉ ká gawáh, aur záhir honewále jalál meṉ sharík bhí hokar, un ko yih nasíhat kartá húṉ, 2ki Ḳhudá ke us galle kí gallabání karo jo tum meṉ hai; láchárí se nigahbání na karo, balki Ḳhudá kí marzí ke muwáfiq ḳhushí se; aur nájáiz nafaʻ ke liye nahíṉ, balki dilí shauq se; 3aur jo log tumháre supurd haiṉ, un par hukúmat na jatáo, balki galle ke liye namúna bano; 4aur jab sardár Gallabán záhir hogá, to tum ko jalál ká aisá sihrá milegá, jo muijháne ká nahíṉ. 5Ai jawáno, tum bhí buzurgoṉ ke tábiʻ raho. Balki sab ke sab ek dúsre kí ḳhidmat ke liye firotaní se kamarbasta raho; is liye ki Ḳhudá magrúroṉ ká muqábala kartá hai, magar firotanoṉ ko taufíq baḳhshtá hai. 6Pas Ḳhudá ke qawí háth ke níche firotaní se raho, táki wuh tumheṉ waqt par sarbaland kare; 7aur apní sarí fikr usí par ḍál do, kyúṉki us ko tumhárá ḳhayál hai. 8Tum hoshyár aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe: 9tum ímán meṉ mazbút hokar, aur yih jánkar us ká muqábala karo, ki tumháre bháí jo dunyá meṉ haiṉ, aise hí dukh bhar rahe haiṉ.#5:9 dukh bhar rahe haiṉ. Takleef uthana, museebat bhugatná. 10Ab Ḳhudá, jo har tarah ke fazl ká chashma hai, jís ne tum ko Masíh meṉ apne abadí jalál ke líye buláyá, tumháre thoṛí muddat tak dukh uṭháne ke baʻd, áp hí tumheṉ kámil, aur qáim, aur mazbút karegá. 11Abaduʼl ábád usí kí saltanat rahe. Ámín.
12Maiṉ ne Silwánus kí maʻrifat, jo merí dánist meṉ diyánatdár bháí hai, muḳhtasar taur par likhkar, tumheṉ nasíhat kí, aur yih gawáhí dí, ki Ḳhudá ká sachchá fazl yihí hai: isí par qáim raho. 13Jo Bábil meṉ trumhárí tarah barguzída hai, wuh, aur merá beṭá Marqus tumheṉ salám kahte haiṉ. 14Mahabbat se bosa le lekar ápas meṉ salám karo.
Tum jitne shaḳhs Masíh meṉ ho, sab ko itmínán hásil hotá rahe.
Currently Selected:
1 Patras 5: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)