1
1 Patras 5:7
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
aur apní sarí fikr usí par ḍál do, kyúṉki us ko tumhárá ḳhayál hai.
Compare
Explore 1 Patras 5:7
2
1 Patras 5:10
Ab Ḳhudá, jo har tarah ke fazl ká chashma hai, jís ne tum ko Masíh meṉ apne abadí jalál ke líye buláyá, tumháre thoṛí muddat tak dukh uṭháne ke baʻd, áp hí tumheṉ kámil, aur qáim, aur mazbút karegá.
Explore 1 Patras 5:10
3
1 Patras 5:8-9
Tum hoshyár aur bedár raho: tumhárá muḳhálif Iblís garajnewále sher i babar kí tarah ḍhúṉḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháe: tum ímán meṉ mazbút hokar, aur yih jánkar us ká muqábala karo, ki tumháre bháí jo dunyá meṉ haiṉ, aise hí dukh bhar rahe haiṉ.
Explore 1 Patras 5:8-9
4
1 Patras 5:6
Pas Ḳhudá ke qawí háth ke níche firotaní se raho, táki wuh tumheṉ waqt par sarbaland kare
Explore 1 Patras 5:6
5
1 Patras 5:5
Ai jawáno, tum bhí buzurgoṉ ke tábiʻ raho. Balki sab ke sab ek dúsre kí ḳhidmat ke liye firotaní se kamarbasta raho; is liye ki Ḳhudá magrúroṉ ká muqábala kartá hai, magar firotanoṉ ko taufíq baḳhshtá hai.
Explore 1 Patras 5:5
Home
Bible
Plans
Videos