Pas jab ki Masíh ne jism ke iʻtibár se dukh uṭháyá, to tum bhí aisá hí mizáj iḳhtiyár karke hathyárband bano; kyúṉki jis ne jism ke iʻtibár se dukh uṭháyá, us ne gunáh se farágat páí, táki áyanda ko apní báqí jismání zindagí ádmíoṉ kí ḳhwáhishoṉ ke mutábiq na guzáre, balki Ḳhudá kí marzí ke mutábiq.