1 Patras 4
4
1Pas jab ki Masíh ne jism ke iʻtibár se dukh uṭháyá, to tum bhí aisá hí mizáj iḳhtiyár karke hathyárband bano; kyúṉki jis ne jism ke iʻtibár se dukh uṭháyá, us ne gunáh se farágat páí, 2táki áyanda ko apní báqí jismání zindagí ádmíoṉ kí ḳhwáhishoṉ ke mutábiq na guzáre, balki Ḳhudá kí marzí ke mutábiq. 3Is wáste ki gairqaumoṉ kí marzí ke muwáfiq kám karne, aur shahwatparastí, burí ḳhwáhishoṉ, maiḳhwáríoṉ, náchrang, nashebázíoṉ, aur makrúh butparastíoṉ meṉ jis qadr ham ne pahle waqt guzárá, wuhí bahut hai: 4is par wuh taʻajjub karte haiṉ, ki tum usí saḳht badchalní tak un ká sáth nahíṉ dete, aur laʻn taʻn karte haiṉ. 5Unheṉ usí ko hisáb dená paṛegá, jo zindoṉ aur murdoṉ ká insáf karne ko taiyár hai. 6Kyúṉki murdoṉ ko bhí ḳhushḳhabarí isí liye sunáí gayí thí, ki jism ke liház se to ádmíoṉ ke mutábiq un ká insáf ho, lekin rúh ke liház se Ḳhudá ke mutábiq zinda raheṉ.
7Sab chízoṉ ká ḳhátima jald honewálá hai; pas hoshyár raho aur duʻá máṉgne ke liye taiyár. 8Sab se baṛhkar yih hai, ki ápas meṉ baṛí mahabbat rakkho, kyúṉki mahabbat bahut se gunáhoṉ par parda ḍál detí hai. 9Bagair buṛbuṛáe ápas meṉ musáfirparwarí karo: 10jin ko jis jis qadr niʻmat milí hai, wuh use Ḳhudá kí muḳhtalif niʻmatoṉ ke achchhe muḳhtároṉ kí tarah ek dúsre kí ḳhidmat meṉ sarf kareṉ; 11agar koí kuchh kahe, to aisá kahe ki goyá Ḳhudá ká kalám hai; agar koí ḳhidmat kare, to us táqat ke mutábiq kare, jo Ḳhudá de; táki sab bátoṉ meṉ Yisúʻ Masíh ke wasíle Ḳhudá ká jalál záhir ho: jalál aur saltanat abaduʼl ábád usí kí hai. Ámín.
12Ai piyáro, jo musíbat kí ág tumhárí ázmáish ke liye tum meṉ bhaṛkí hai, yih samajhkar us se taʻajjub na karo, ki yih ek anokhí bát ham par wáqiʻ húí hai: 13balki Masíh ke dukhoṉ meṉ jyúṉ jyúṉ sharík ho, ḳhushí karo; táki us ke jalál ke zuhúr ke waqt bhí niháyat ḳhush o ḳhurram ho. 14Agar Masíh ke nám ke sabab tumheṉ malámat kí játí hai, to tum mubárak ho; kyúṉki jalál ká Rúh, yaʻní Ḳhudá ká Rúh, tum par sáya kartá haí. 15Tum meṉ se koí shaḳhs ḳhúní, yá chor, yá badkár, yá auroṉ ke kám meṉ dastandáz hokar dukh na páe: 16lekin agar Masíhí hone ke báʻis koí shaḳhs dukh páe, to sharmáe nahíṉ, balki is nám ke sabab se Ḳhudá ki baṛáí kare. 17Kyúṉki wuh waqt á pahuṉchá hai, ki Ḳhudá ke ghar se ʻadálát shurúʻ ho, aur jab ham hí se shurúʻ hogí, to un ká kyá anjám hogá, jo Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí ko nahíṉ mánte? 18Aur jab rástbáz hí mushkil se naját páegá, to bedín aur gunahgár ká kyá ṭhikáná? 19Pas jo Ḳhudá kí marzí ke muwáfiq dukh páte haiṉ, wuh nekí karke apní jánoṉ ko wafádár Ḳháliq ke supurd kareṉ.
Currently Selected:
1 Patras 4: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)