1
2 Patras 1:3-4
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
kyúṉki us kí iláhí qudrat ne wuh sab chízeṉ jo zindagí aur díndári se mutaʻalliq haiṉ, hameṉ us ki pahchán ke wasíle se ʻináyat kiṉ, jis ne ham ko apne ḳháss jalál aur nekí ke zaríʻe se buláyá; jin ke báʻis us ne ham se qímatí aur niháyat baṛe waʻde kiye, táki un ke wasíle se tum us ḳharábí se chhúṭkar, jo dunyá meṉ burí ḳhwáhish ke sabab se hai, zát i iláhí meṉ sharík ho jáo.
Compare
Explore 2 Patras 1:3-4
2
2 Patras 1:5-7
Pas isí báʻis tum apní taraf se kamál koshish karke, apne ímán par nekí, aur nekí par maʻrifat, aur maʻrifat par parhezgárí, aur parhezgárí par sabr, aur sabr par díndárí, aur díndárí par birádarána ulfat, aur birádarána ulfat par mahabbat baṛháo.
Explore 2 Patras 1:5-7
3
2 Patras 1:8
Kyúṉki agar yih báteṉ tum meṉ maujúd hoṉ, aur ziyáda bhí hotí jáeṉ, to tum ko hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke pahchánne meṉ bekár aur bephal na hone deṉgí.
Explore 2 Patras 1:8
4
2 Patras 1:10
Pas, ai bháiyo, apne buláwe aur barguzídagí ko sábit karne kí ziyáda koshish karo: kyúṉki agar aisá karoge, to kabhí ṭhokar na kháoge
Explore 2 Patras 1:10
Home
Bible
Plans
Videos