2 Patras 2
2
1Aur jis tarah us ummat meṉ jhúṭhe nabí bhí the, isí tarah tum meṉ bhí jhúṭhe ustád hoṉge, jo poshída taur par halák karnewálí bidʻateṉ nikáleṉge, aur us Málik ká inkár kareṉge, jis ne unheṉ mol liyá thá, aur apne áp ko jald halákat meṉ ḍáleṉge. 2Aur bahutere un kí shahwatparastí kí pairawí kareṉge; jin ke sabab se ráh i haqq kí badnámí hogí. 3Aur wuh lálach se báteṉ banákar, tum ko apne nafaʻ ká sabab ṭhahráeṉge: aur jo qadím se un kí sazá ká hukm ho chuká hai, us ke áne meṉ kuchh der nahíṉ, aur un kí halákat sotí nahíṉ. 4Kyúṉki jab Ḳhudá ne gunáh karnewále firishtoṉ ko na chhoṛá, balki jahannam meṉ bhejkar tárík gároṉ meṉ ḍál diyá, táki ʻadálat ke din tak hirásat meṉ raheṉ; 5aur na pahlí dunyá ko chhoṛá, balki bedín dunyá par túfán bhejkar rástbází ke manádí karnewále Núh ko, maʻ âur sát ádmíoṉ ke bachá liyá; 6aur Sadom aur ʻAmoráh ke shahroṉ ko ḳhák i siyáh kar diyá, aur unheṉ halákat kí sazá dí, aur áyanda zamáne ke bedínoṉ ke liye já e ʻibrat baná diyá; 7aur rástbáz Lút ko, jo bedínoṉ ke nápák chál chalan se diqq#2:7 diqq kisi bat se sakhat ájiz hona. thá, riháí baḳhshí, 8(chunáṉchi wuh rástbáz un meṉ rahkar, aur un ke besharaʻ kámoṉ ko dekh dekhkar, aur sun sunkar, goyá har roz apne sachche dil ko shikanje meṉ kheṉchtá thá#2:8 dil ko shikanje meṉ kheṉchtá thá apne dil ko sakht takleef dena. ); 9to Ḳhudáwand díndároṉ ko ázmáish se nikál lená, aur badkároṉ ko ʻadálat ke din tak sazá meṉ rakhná jántá hai; 10ḳhusúsan un ko jo nápák ḳhwáhishoṉ se jism kí pairawí karte haiṉ, aur hukúmat ko náchíz jánte haiṉ. Wuh gustáḳh, aur ḳhudráe haiṉ, aur ʻizzatdároṉ par laʻn taʻn karne se nahíṉ ḍarte: 11báwujúde ki firishte, jo táqat aur qudrat meṉ un se baṛe haiṉ. Ḳhudáwand ke sámne un par laʻn taʻn ke sáth nálish nahíṉ karte. 12Lekin yih log beʻaql jánwaroṉ kí mánind haiṉ, jo pakṛe jáne aur halák hone ke liye haiwán i mutlaq paidá húe haiṉ; jín bátoṉ se náwáqif haiṉ, un ke báre meṉ auroṉ par laʻn taʻn karte haiṉ; apní ḳharábí meṉ ḳhud ḳharáb kiye jáeṉge; 13dúsroṉ ke burá karne ke badle inhíṉ ká burá hogá. In ko din diháṛe ʻai-yáshí karne meṉ maza átá hai; yih dág aur ʻaib haiṉ; jab tumháre sáth kháte píte haiṉ, to apní taraf se mahabbat kí ziyáfat karke ʻaish o ʻishrat karte haiṉ; 14un kí áṉkheṉ, jin meṉ zinákár ʻaurateṉ basí húí haiṉ, gunáh se ruk nahíṉ saktíṉ; wuh beqayám diloṉ ko phaṉsáte haiṉ; un ká dil lálach ká mushtáq hai; wuh laʻnat kí aulád haiṉ; 15wuh sídhí ráh chhoṛkar gumráh ho gaye haiṉ, aur Baʻor ke beṭe Bilʻám kí ráh par ho liye haiṉ, jis ne nárástí kí mazdúrí ko ʻazíz jáná; 16magar apne qusúr par yih malámat uṭháí, ki ek bezabán gadhí ne ádmí kí tarah bolkar, is nabí ko díwánagí se báz rakkhá. 17Wuh andhe kúe haiṉ, aur aise kuhar, jise áṉdhí uṛátí hai; un ke liye behadd táríkí dharí hai. 18Wuh ghamanḍ kí behúda báteṉ bak bakkar, shahwatparastí ke zaríʻe se un logoṉ ko jismání ḳhwáhishoṉ meṉ phaṉsáte haiṉ, jo gumráhoṉ meṉ se níkal hí rahe haiṉ; 19wuh un se to ázádí ká waʻda karte haiṉ, aur áp ḳharábí ke gulám bane húe haiṉ; kyúṉki jo shaḳhs jis se maglúb hai, wuh us ká gulám hai. 20Aur jab wuh Ḳhudáwand aur Munjí Yisúʻ Masíh kí pahchán ke sabab dunyá kí álúdagíoṉ se chhúṭkar, phir un meṉ phaṉse, aur un se maglúb húe, to un ká pichhlá hál pahle se bhí badtar húá. 21Kyúṉki rástbází kí ráh ká na jánná un ke liye is se bihtar hotá, ki use jánkar us pák hukm se phir játe, jo unheṉ sauṉpá gayá thá. 22Un par yih sachchí masal sádiq átí hai, ki Kuttá apní qai ki taraf rujúʻ kartá hai, aur nahláí húí súarní daldal meṉ loṭne kí taraf.
Currently Selected:
2 Patras 2: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)