Zabúr 9
9
Mír mug̣anní ke liye; Mút labbín ke sur par. Dáúd ká Mazmúr.
1Maiṉ apne púre dil se Ḳhudáwand kí shukrguzárí karúṉgá:
Maiṉ tere sab ‘ajíb kámoṉ ká bayán karúṉgá.
2Maiṉ tujh meṉ ḳhushí manáúṉgá aur masrúr húṉgá:
Ai Haqq Ta‘álá, maiṉ terí sitáish karúṉgá.
3Jab mere dushman píchhe haṭte haiṉ,
To terí huzúrí ke sabab se lag̣zish kháte aur halák ho játe haiṉ.
4Kyúṉki tú ne mere haqq kí aur mere mu‘ámale kí táíd kí hai:
Tú ne taḳht par baiṭhkar sadáqat se insáf kiyá.
5Tú ne qaumoṉ ko jhiṛká; tú ne sharíroṉ ko halák kiyá hai;
Tú ne un ká nám abadu’l ábád ke liye miṭá ḍálá hai.
6Dushman tamám húe; wuh hamesha ke liye barbád ho gaye,
Aur jin shahroṉ ko tú ne ḍhá diyá,
Un kí yádgár tak miṭ gayí.
7Lekin Ḳhudáwand abad tak taḳhtnishín hai;
Us ne insáf ke liye apná taḳht taiyár kiyá hai,
8Aur wuhí sadáqat se jahán kí ‘adálat karegá:
Wuh rástí se qaumoṉ ká insáf karegá.
9 Ḳhudáwand mazlúmoṉ ke liye úṉchá burj hogá,
Musíbat ke aiyám meṉ úṉchá burj;
10Aur wuh jo terá nám jánte haiṉ tujh par tawakkul kareṉge,
Kyúṉki, ai Ḳhudáwand, tú ne apne táliboṉ ko tark nahíṉ kiyá hai.
11 Ḳhudáwand kí sitáish karo, jo Siyyún meṉ rahtá hai:
Logoṉ ke darmiyán us ke kámoṉ ko bayán karo.
12Kyúṉki ḳhún kí pursish karnewálá un ko yád rakhtá hai;
Wuh g̣aríboṉ kí faryád ko nahíṉ bhúltá.
13Ai Ḳhudáwand, mujh par rahm kar;
Tú jo maut ke pháṭakoṉ se mujhe uṭhátá hai:
Mere us dukh ko dekh jo mere nafrat karnewáloṉ kí taraf se hai;
14Táki maiṉ terí kámil sitáish ká izhár karúṉ:
Siyyún kí beṭí ke pháṭakoṉ par,
Maiṉ terí naját se shádmán húṉgá.
15Qaumeṉ ḳhúd us gaṛhe meṉ girí haiṉ jise unhoṉ ne khodá thá;
Jo jál unhoṉ ne lagáyá thá us meṉ un hí ká páṉw phaṉsá.
16 Ḳhudáwand kí shuhrat phail gayí, us ne insáf kiyá hai:
Sharír apne hí háth ke kámoṉ meṉ phaṉs gayá hai. (Higgáyún. Siláh.)
17Sharír qabr meṉ jáeṉge,
Ya‘ní wuh sab qaumeṉ jo Ḳhudá ko bhúl játí haiṉ.
18Kyúṉki miskín sadá bhúle bisre na raheṉge,
Na g̣aríboṉ kí ummed hamesha ke liye ṭúṭegí.
19Uṭh, ai Ḳhudáwand; insán g̣álib na hone páe;
Qaumoṉ kí ‘adálat tere huzúr ho.
20Ai Ḳhudáwand, un ko ḳhauf dilá:
Qaumeṉ apne áp ko bashar hí jáneṉ.
Currently Selected:
Zabúr 9: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn more about Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)