Zabúr 8
8
Mír mug̣anní ke liye; Gittít ke sur par. Dáúd ká Mazmúr.
1Ai Ḳhudáwand hamáre Rabb,
Terá nám tamám zamín par kaisá buzurg hai!
Tú ne apná jalál ásmán par qáim kiyá hai.
2Tú ne apne muḳhálifoṉ ke sabab se
Bachchoṉ aur shírḳhwároṉ ke muṉh se qudrat ko qáim kiyá,
Táki tú dushman aur intiqám lenewále ko ḳhámosh kar de.
3Jab maiṉ tere ásmán par, jo terí dastkárí hai,
Aur chánd aur sitároṉ par jin ko tú ne muqarrar kiyá g̣aur kartá húṉ;
4To phir insán kyá hai ki tú use yád rakkhe?
Aur ádamzád kyá hai ki tú us kí ḳhabar le?
5Kyúṉki tú ne use Ḳhudá se kuchh hí kamtar banáyá hai,
Aur jalál aur shaukat se use tájdár kartá hai.
6Tú ne use apní dastkárí par tasallut baḳhshá hai;
Tú ne sab kuchh us ke qadamoṉ ke níche kar diyá hai.
7Sab bheṛ bakriyáṉ, gáe bail,
Balki sab janglí jánwar,
8Hawá ke parande aur samundar kí machhliyáṉ,
Aur jo kuchh samundaroṉ ke rástoṉ meṉ chaltá phirtá hai.
9Ai Ḳhudáwand, hamáre Rabb,
Terá nám tamám zamín par kaisá buzurg hai.
Currently Selected:
Zabúr 8: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn more about Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)