Zabúr 10
10
1Ai Ḳhudáwand, tú kyúṉ dúr khaṛá rahtá hai?
Musíbat ke waqt tú kyúṉ chhip játá hai?
2Sharír ke g̣urúr ke sabab se g̣aríb ká tundí se píchhá kiyá játá hai;
Jo mansúbe unhoṉ ne báṉdhe haiṉ wuh un hí meṉ giriftár ho jáeṉ.
3Kyúṉki sharír apní nafsání ḳhwáhish par faḳhr kartá hai,
Aur lálachí Ḳhudáwand ko tark kartá, balki us kí ihánat kartá hai.
4Sharír apne takabbur meṉ kahtá hai ki Wuh bázpurs nahíṉ karegá:
Us ká ḳhayál sarásar yihí hai, ki Koí ḳhudá nahíṉ.
5Us kí ráheṉ hamesha ustuwár haiṉ;
Tere ahkám us kí nazar se ba‘íd o baland haiṉ:
Wuh apne sab muḳhálifoṉ par phuṉkártá hai.
6Wuh apne dil meṉ kahtá hai, Maiṉ jumbish nahíṉ kháne ká:
Pusht dar pusht mujh par kabhí musíbat na áegí.
7Us ká muṉh la‘nat o dag̣á aur zulm se pur hai;
Sharárat aur badí us kí zabán par haiṉ.
8Wuh díhát kí kamíngáhoṉ meṉ baiṭhtá hai:
Wuh poshída maqámoṉ meṉ begunáh ko qatl kartá hai:
Us kí áṉkheṉ bekas kí ghát meṉ lagí rahtí haiṉ.
9Wuh poshída maqám meṉ sher i babar kí tarah dabakkar baiṭhtá hai:
Wuh g̣aríb ke pakaṛne ko ghát lagáe rahtá hai;
Wuh g̣aríb ko apne jál meṉ phaṉsákar pakaṛ letá hai.
10Wuh dabaktá hai, wuh jhuk játá hai,
Aur bekas us ke pahlawánoṉ ke háth se máre játe haiṉ.
11Wuh apne dil meṉ kahtá hai, Ḳhudá bhúl gayá hai:
Wuh apná muṉh chhipátá hai; wuh hargiz nahíṉ dekhegá.
12Uṭh, ai Ḳhudáwand; ai Ḳhudá, apná háth baland kar:
G̣aríboṉ ko na bhúl.
13Sharír kis liye Ḳhudá kí ihánat kartá hai,
Aur apne dil meṉ kahtá hai, ki Tú bázpurs na karegá?
14Tú ne dekh liyá hai, kyúṉki tú sharárat aur bug̣z dekhtá hai, táki apne háth se badla de:
Bekas apne áp ko tere supurd kartá hai;
Tú hí yatím ká madadgár rahá hai.
15Sharír ká bázú toṛ de;
Aur badkár kí sharárat ko jab tak nábúd na ho ḍhúṉḍh ḍhúṉḍhkar nikál.
16 Ḳhudáwand abadu’l ábád bádsháh hai:
Qaumeṉ us ke mulk meṉ se nábúd ho gayíṉ.
17Ai Ḳhudáwand, tú ne halímoṉ ká mudda‘á sun liyá hai:
Tú un ke dil ko taiyár karegá, tú kán lagákar sunegá:
18Ki yatím aur mazlúm ká insáf kare,
Táki insán jo ḳhák se hai phir na ḍaráe.
Currently Selected:
Zabúr 10: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn more about Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)