YouVersion Logo
Search Icon

Paidāish 22

22
Ibrāhīm kī Āzmāish
1Kuchh arse ke bād Allāh ne Ibrāhīm ko āzmāyā. Us ne us se kahā, “Ibrāhīm!” Us ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 2Allāh ne kahā, “Apne iklaute beṭe Is'hāq ko jise tū pyār kartā hai sāth le kar Moriyāh ke ilāqe meṅ chalā jā. Wahāṅ maiṅ tujhe ek pahāṛ dikhāūṅgā. Us par apne beṭe ko qurbān kar de. Use zabah karke qurbāngāh par jalā denā.”
3Subah-sawere Ibrāhīm uṭhā aur apne gadhe par zīn kasā. Us ne apne sāth do naukaroṅ aur apne beṭe Is'hāq ko liyā. Phir wuh qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛī kāṭ kar us jagah kī taraf rawānā huā jo Allāh ne use batāī thī. 4Safr karte karte tīsre din qurbānī kī jagah Ibrāhīm ko dūr se nazar āī. 5Us ne naukaroṅ se kahā, “Yahāṅ gadhe ke pās ṭhahro. Maiṅ laṛke ke sāth wahāṅ jā kar parastish karūṅga. Phir ham tumhāre pās wāpas ā jāeṅge.”
6Ibrāhīm ne qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛiyāṅ Is'hāq ke kandhoṅ par rakh dīṅ aur ḳhud chhurī aur āg jalāne ke lie angāroṅ kā bartan uṭhāyā. Donoṅ chal die. 7Is'hāq bolā, “Abbū!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī beṭā.” “Abbū, āg aur lakaṛiyāṅ to hamāre pās haiṅ, lekin qurbānī ke lie bheṛ yā bakrī kahāṅ hai?” 8Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Allāh ḳhud qurbānī ke lie jānwar muhaiyā karegā, beṭā.” Wuh āge baṛh gae.
9Chalte chalte wuh us maqām par pahuṅche jo Allāh ne us par zāhir kiyā thā. Ibrāhīm ne wahāṅ qurbāngāh banāī aur us par lakaṛiyāṅ tartīb se rakh dīṅ. Phir us ne Is'hāq ko bāndh kar lakaṛiyoṅ par rakh diyā 10aur chhurī pakaṛ lī tāki apne beṭe ko zabah kare. 11Ain usī waqt Rab ke farishte ne āsmān par se use āwāz dī, “Ibrāhīm, Ibrāhīm!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.” 12Farishte ne kahā, “Apne beṭe par hāth na chalā, na us ke sāth kuchh kar. Ab maiṅ ne jān liyā hai ki tū Allāh kā ḳhauf rakhtā hai, kyoṅki tū apne iklaute beṭe ko bhī mujhe dene ke lie taiyār hai.”
13Achānak Ibrāhīm ko ek menḍhā nazar āyā jis ke sīṅg gunjān jhāṛiyoṅ meṅ phaṅse hue the. Ibrāhīm ne use zabah karke apne beṭe kī jagah qurbānī ke taur par jalā diyā. 14Us ne us maqām kā nām “Rab muhaiyā kartā hai” rakhā. Is lie āj tak kahā jātā hai, “Rab ke pahāṛ par muhaiyā kiyā jātā hai.”
15Rab ke farishte ne ek bār phir āsmān par se pukār kar us se bāt kī. 16“Rab kā farmān hai, merī zāt kī qasam, chūṅki tū ne yih kiyā aur apne iklaute beṭe ko mujhe pesh karne ke lie taiyār thā 17is lie maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur terī aulād ko āsmān ke sitāroṅ aur sāhil kī ret kī tarah beshumār hone dūṅgā. Terī aulād apne dushmanoṅ ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzā karegī. 18Chūṅki tū ne merī sunī is lie terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.”
19Is ke bād Ibrāhīm apne naukaroṅ ke pās wāpas āyā, aur wuh mil kar Bair-sabā lauṭe. Wahāṅ Ibrāhīm ābād rahā.
20In wāqiyāt ke bād Ibrāhīm ko ittalā milī, “Āp ke bhāī Nahūr kī bīwī Milkāh ke hāṅ bhī beṭe paidā hue haiṅ. 21Us ke pahlauṭhe Ūz ke bād Būz, Qamuel (Arām kā bāp), 22Kasad, Hazū, Fildās, Idlāf aur Batuel paidā hue haiṅ.” 23Milkāh aur Nahūr ke hāṅ yih āṭh beṭe paidā hue. (Batuel Ribqā kā bāp thā.) 24Nahūr kī haram kā nām Rūmā thā. Us ke hāṅ bhī beṭe paidā hue jin ke nām Tibaḳh, Jāham, Taḳhas aur Mākā haiṅ.

Currently Selected:

Paidāish 22: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in