Paidāish 23
23
Sārā kī Wafāt
1Sārā 127 sāl kī umr meṅ Habrūn meṅ intaqāl kar gaī. 2Us zamāne meṅ Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā, aur wuh Mulk-e-Kanān meṅ thā. Ibrāhīm ne us ke pās ā kar mātam kiyā. 3Phir wuh janāze ke pās se uṭhā aur Hittiyoṅ se bāt kī. Us ne kahā, 4“Maiṅ āp ke darmiyān pardesī aur ġhairshahrī kī haisiyat se rahtā hūṅ. Mujhe qabr ke lie zamīn becheṅ tāki apnī bīwī ko apne ghar se le jā kar dafn kar sakūṅ.” 5-6Hittiyoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre āqā, hamārī bāt suneṅ! Āp hamāre darmiyān Allāh ke ra'īs haiṅ. Apnī bīwī ko hamārī behtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. Ham meṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabr kā inkār karegā.”
7Ibrāhīm uṭhā aur mulk ke bāshindoṅ yānī Hittiyoṅ ke sāmne tāzīman jhuk gayā. 8Us ne kahā, “Agar āp is ke lie taiyār haiṅ ki maiṅ apnī bīwī ko apne ghar se le jā kar dafn karūṅ to Suhar ke beṭe Ifron se merī sifārish kareṅ 9ki wuh mujhe Makfīlā kā ġhār bech de. Wuh us kā hai aur us ke khet ke kināre par hai. Maiṅ us kī pūrī qīmat dene ke lie taiyār hūṅ tāki āp ke darmiyān rahte hue mere pās qabr bhī ho.”
10Ifron Hittiyoṅ kī jamāt meṅ maujūd thā. Ibrāhīm kī darḳhāst par us ne un tamām Hittiyoṅ ke sāmne jo shahr ke darwāze par jamā the jawāb diyā, 11“Nahīṅ, mere āqā! Merī bāt suneṅ. Maiṅ āp ko yih khet aur us meṅ maujūd ġhār de detā hūṅ. Sab jo hāzir haiṅ mere gawāh haiṅ, maiṅ yih āp ko detā hūṅ. Apnī bīwī ko wahāṅ dafn kar deṅ.”
12Ibrāhīm dubārā mulk ke bāshindoṅ ke sāmne adaban jhuk gayā. 13Us ne sab ke sāmne Ifron se kahā, “Mehrbānī karke merī bāt par ġhaur kareṅ. Maiṅ khet kī pūrī qīmat adā karūṅga. Use qabūl kareṅ tāki wahāṅ apnī bīwī ko dafn kar sakūṅ.” 14-15Ifron ne jawāb diyā, “Mere āqā, suneṅ. Is zamīn kī qīmat sirf 400 chāṅdī ke sikke hai. #Taqrīban sāṛhe chār kilogrām chāṅdī. Āp ke aur mere darmiyān yih kyā hai? Apnī bīwī ko dafn kar deṅ.”
16Ibrāhīm ne Ifron kī matlūbā qīmat mān lī aur sab ke sāmne chāṅdī ke 400 sikke tol kar Ifron ko de die. Is ke lie us ne us waqt ke rāyj bāṭ istemāl kie. 17Chunāṅche Makfīlā meṅ Ifron kī zamīn Ibrāhīm kī milkiyat ho gaī. Yih zamīn Mamre ke mashriq meṅ thī. Us meṅ khet, khet kā ġhār aur khet kī hudūd meṅ maujūd tamām daraḳht shāmil the. 18Hittiyoṅ kī pūrī jamāt ne jo shahr ke darwāze par jamā thī zamīn ke intaqāl kī tasdīq kī. 19Phir Ibrāhīm ne apnī bīwī Sārā ko Mulk-e-Kanān ke us ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre yānī Habrūn ke mashriq meṅ wāqe Makfīlā ke khet meṅ thā. 20Is tarīqe se yih khet aur us kā ġhār Hittiyoṅ se Ibrāhīm ke nām par muntaqil kar diyā gayā tāki us ke pās qabr ho.
Currently Selected:
Paidāish 23: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND