1
Paidāish 22:14
Kitab-i Muqaddas
Us ne us maqām kā nām “Rab muhaiyā kartā hai” rakhā. Is lie āj tak kahā jātā hai, “Rab ke pahāṛ par muhaiyā kiyā jātā hai.”
Compare
Explore Paidāish 22:14
2
Paidāish 22:2
Allāh ne kahā, “Apne iklaute beṭe Is'hāq ko jise tū pyār kartā hai sāth le kar Moriyāh ke ilāqe meṅ chalā jā. Wahāṅ maiṅ tujhe ek pahāṛ dikhāūṅgā. Us par apne beṭe ko qurbān kar de. Use zabah karke qurbāngāh par jalā denā.”
Explore Paidāish 22:2
3
Paidāish 22:12
Farishte ne kahā, “Apne beṭe par hāth na chalā, na us ke sāth kuchh kar. Ab maiṅ ne jān liyā hai ki tū Allāh kā ḳhauf rakhtā hai, kyoṅki tū apne iklaute beṭe ko bhī mujhe dene ke lie taiyār hai.”
Explore Paidāish 22:12
4
Paidāish 22:8
Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Allāh ḳhud qurbānī ke lie jānwar muhaiyā karegā, beṭā.” Wuh āge baṛh gae.
Explore Paidāish 22:8
5
Paidāish 22:17-18
is lie maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur terī aulād ko āsmān ke sitāroṅ aur sāhil kī ret kī tarah beshumār hone dūṅgā. Terī aulād apne dushmanoṅ ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzā karegī. Chūṅki tū ne merī sunī is lie terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.”
Explore Paidāish 22:17-18
6
Paidāish 22:1
Kuchh arse ke bād Allāh ne Ibrāhīm ko āzmāyā. Us ne us se kahā, “Ibrāhīm!” Us ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Explore Paidāish 22:1
7
Paidāish 22:11
Ain usī waqt Rab ke farishte ne āsmān par se use āwāz dī, “Ibrāhīm, Ibrāhīm!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Explore Paidāish 22:11
8
Paidāish 22:15-16
Rab ke farishte ne ek bār phir āsmān par se pukār kar us se bāt kī. “Rab kā farmān hai, merī zāt kī qasam, chūṅki tū ne yih kiyā aur apne iklaute beṭe ko mujhe pesh karne ke lie taiyār thā
Explore Paidāish 22:15-16
9
Paidāish 22:9
Chalte chalte wuh us maqām par pahuṅche jo Allāh ne us par zāhir kiyā thā. Ibrāhīm ne wahāṅ qurbāngāh banāī aur us par lakaṛiyāṅ tartīb se rakh dīṅ. Phir us ne Is'hāq ko bāndh kar lakaṛiyoṅ par rakh diyā
Explore Paidāish 22:9
Home
Bible
Plans
Videos