Romíoṉ 16
16
1Maiṉ tum se Fíbe kí, jo hamárí bahin, aur Kinḳhríya kí kalísiyá kí ḳhádima hai, sifárish kartá húṉ, 2ki tum use Ḳhudáwand meṉ qubúl karo, jaisá muqaddasoṉ ko cháhiye; aur jis kám meṉ wuh tumhárí muhtáj ho, us kí madad karo, kyúṉki wuh bhí bahutoṉ kí madadgár rahí hai, balki merí bhí.
3Priska aur Akwila se merá salám kaho; wuh Masíh Yisúʻ meṉ mere hamḳhidmat haiṉ. 4Unhoṉ ne merí ján ke liye apná sir de rakkhá thá; aur sirf maiṉ hí nahíṉ, balki gairqaumoṉ kí sárí kalísiyáeṉ bhí un kí shukrguzár haiṉ. 5Aur us kalísiyá se bhí salám kaho jo un ke ghar meṉ hai. Mere piyáre Ipainitus se salám kaho, jo Masíh ke liye Ásiya ká pahlá phal hai. 6Maryam se salám kaho, jis ne tumháre wáste bahut mihnat kí. 7Andruníkus aur Yúniyás se salám kaho: wuh mere rishtadár haiṉ, aur mere sáth qaid húe the, aur rasúloṉ meṉ námwar haiṉ, aur mujh se pahle Masíh meṉ shámil húe. 8Ampliyátus se salám kaho, jo Ḳhudáwand meṉ merá piyárá hai. 9Urbánus se, jo Masíh meṉ hamárá hamḳhidmat hai, aur mere piyáre Istaḳhus se salám kaho. 10Apilles se salám kaho, jo Masíh meṉ maqbúl hai. Aristubúlus ke gharwáloṉ se salám kaho. 11Mere rishtadár Herodiyon se salám kaho. Narkissus ke un gharwáloṉ se salám kaho jo Ḳhudáwand meṉ haiṉ. 12Trúfaina aur Trúfosa se salám kaho, jo Ḳhudáwand meṉ mihnat kartí haiṉ. Piyárí Pirsis se salám kaho, jis ne Ḳhudáwand meṉ bahut mihnat kí. 13Rúfus jo Ḳhudáwand meṉ barguzída hai, aur us kí máṉ jo merí bhí máṉ hai, donoṉ se salám kaho. 14Asunkritus, aur Fligon, aur Hirmes, aur Patrubás, aur Hirmás, aur un bháiyoṉ se jo un ke sáth haiṉ salám kaho. 15Filulugus, aur Yúliya, aur Neryús, aur us kí bahin, aur Ulumpás, aur sáre muqaddasoṉ se jo un ke sáth haiṉ salám kaho. 16Ápas meṉ pák bosa lekar ek dúsre ko salám karo. Masíh kí sárí kalísiyáeṉ tumheṉ salám kahtí haiṉ.
17Ab ai bháiyo, maiṉ tum se iltimás kartá húṉ, ki jo log us taʻlím ke barḳhiláf jo tum ne páí, phúṭ paṛne aur ṭhokar kháne ke báʻis haiṉ, un ko táṛ liyá karo, aur un se kanára kiyá karo. 18Kyúṉki aise log hamáre Ḳhudáwand Masíh kí nahíṉ, balki apne peṭ kí ḳhidmat karte haiṉ; aur chikní chupṛí bátoṉ se sádadiloṉ ko bahkáte haiṉ. 19Kyúṉki tumhárí farmánbardárí sab meṉ mashhúr ho gayí hai. Is liye maiṉ tumháre báre meṉ ḳhush húṉ: lekin yih cháhtá húṉ, ki tum nekí ke iʻtibár se dáná ban jáo, aur badí ke iʻtibár se bhole bane raho. 20Aur Ḳhudá, jo itmínán ká chashma hai, Shaitán ko tumháre páṉwoṉ se jald kuchalwá degá.
Hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká fazl tum par hotá rahe.
21Merá hamḳhidmat Tímuthiyus aur mere rishtadár Lúkiyus, aur Yáson, aur Sosipatrus tumheṉ salám kahte haiṉ. 22Is ḳhatt ká kátib Tirtiyus tum ko Ḳhudáwand meṉ salám kahtá hai. 23Gayus, merá aur sárí kalísiyá ká mihmándár, tumheṉ salám kahtá hai. Irástus shahr ká ḳhazánchí, aur bhái Kwártus tum ko salám kahte haiṉ. [24Hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká fazl tum sab ke sáth ho. Ámin.]
25Ab Ḳhudá jo tum ko merí ḳhushḳhabarí, yaʻní Yisúʻ Masíh kí manádí ke muwáfiq, mazbút kar saktá hai, us bhed ke mukáshafe ke bamújib jo azal se poshída rahá, 26magar is waqt záhir hokar, Ḳhudá e azalí ke hukm ke mutábiq nabíoṉ kí kitáboṉ ke zaríʻe se sab qaumoṉ ko batáyá gayá, táki wuh ímán ke tábiʻ ho jáeṉ; 27usí wáhid hakím Ḳhudá kí, Yisúʻ Masíh ke wasíle se, abad tak tamjíd hotí rahe. Ámín.
Currently Selected:
Romíoṉ 16: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)