YouVersion Logo
Search Icon

Romíoṉ 15

15
1G̣araz ham zoráwaroṉ ko cháhiye ki nátawánoṉ ki kamzoríoṉ kí riʻáyat kareṉ, na ki apní ḳhushí kareṉ. 2Ham meṉ har shaḳhs apne paṛausí ko us kí bihtarí ke wáste ḳhush kare, táki us kí taraqqí ho. 3Kyúṉki Masíh ne bhí apní ḳhushí nahíṉ kí, balki yúṉ likhá hai, ki Tere laʻn taʻn karnewáloṉ ke laʻn taʻn mujh par á paṛe. 4Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se ummed rakkheṉ. 5Aur Ḳhudá, sabr aur tasallí ká chashma, tum ko yih taufíq de, ki Masíh Yisúʻ ke mutábiq ápas meṉ yakdil raho; 6táki tum yakdil aur yakzabán hokar hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke Ḳhudá aur Báp kí baṛáí karo. 7Pas jis tarah Masíh ne Ḳhudá ke jalál ke liye tum ko apne sáth shámil kar liyá hai, usí tarah tum bhí ek dúsre ko shámil kar lo. 8Maiṉ kahtá húṉ ki Masíh Ḳhudá kí sachcháí sábit karne ke liye maḳhtúnoṉ ká ḳhádim baná, táki un waʻdoṉ ko púrá kare, jo bápdádá se kiye gaye the, 9aur gairqaumeṉ bhí rahm ke sabab Ḳhudá ki baṛáí kareṉ; chunáṉchi likhá hai ki,
Is wáste maiṉ gairqaumoṉ meṉ terá iqrár karúṉgá,
Aur tere nám ke gít gáúṉgá.
10Aur phir wuh kahtá hai, ki
Ai gairqaumo, us kí ummat ke sáth ḳhushí karo;
11Phir yih, ki
Ai sárí gairqaumo, Ḳhudáwand kí hamd karo;
Aur sárí ummateṉ us kí sitáish kareṉ.
12Aur Yashaʻyáh bhí kahtá hai, ki
Yishai kí jaṛ záhir hogí,
Yaʻní wuh shaḳhs jo gairqaumoṉ par hukúmat karne ko uṭhegá;
Usí se gairqaumeṉ ummed rakkheṉgí.
13Pas Ḳhudá, jo ummed ká chashma hai, tumheṉ ímán rakhne ke báʻis sárí khushí aur itmínán se maʻmúr kare, táki Rúhuʼl Quds kí qudrat se tumhárí ummed ziyáda hotí jáe.
14Aur ai mere bháiyo, maiṉ ḳhud bhí tumhárí nisbat yaqín rakhtá húṉ, ki tum áp nekí se maʻmúr, aur tamám maʻrifat se bhare húe ho, aur ek dúsre ko nasíhat bhí kar sakte ho. 15Táham maiṉ ne baʻz jagah ziyáda dilerí ke sáth yád diláne ke taur par is liye tum ko likhá, ki mujh ko Ḳhudá kí taraf se gairqaumoṉ ke liye Masíh Yisúʻ ke ḳhádim hone kí taufíq milí hai; 16ki maiṉ Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí kí ḳhidmat káhin kí tarah anjám dúṉ, táki gairqaumeṉ, nazr ke taur par Rúhuʼl Quds se muqaddas bankar, maqbúl ho jáeṉ. 17Pas maiṉ un bátoṉ meṉ jo Ḳhudá se mutaʻalliq haiṉ, Masíh Yisúʻ ke báʻis faḳhr kar saktá húṉ. 18Kyúṉki mujhe âur kisí bát ke zikr karne kí jurʼat nahíṉ, siwá un bátoṉ ke jo Masíh ne gairqaumoṉ ke tábiʻ karne ke liye, qaul aur fiʻl se, nishánoṉ aur muʻjizoṉ kí táqat se, aur Rúhuʼl Quds kí qudrat se merí wisátat kíṉ; 19yaháṉ tak ki maiṉ ne Yarúshalem se lekar chároṉ taraf Illurikum tak Masíh kí ḳhushḳhabarí kí púrí púrí manádí kí; 20aur maiṉ ne yihí hausala rakkhá, ki jaháṉ Masíh ká nám nahíṉ liyá gayá, waháṉ ḳhushḳhabarí sunáúṉ, táki dúsre kí bunyád par ʻimárat na uṭháúṉ; 21balki jaisá likhá hai, waisá hí ho, ki
Jin ko us kí ḳhabar nahíṉ pahuṉchí, wuh dekheṉge;
Aur jinhoṉ ne nahíṉ suná, wuh samjheṉge.
22Isí liye maiṉ tumháre pás áne se bár bár ruká rahá: 23magar chúṉki mujh ko ab in mulkoṉ meṉ jagah báqí nahíṉ rahí, aur bahut barasoṉ se tumháre pás áne ká mushtáq bhí húṉ, 24is liye jab Isfániya ko jáúṉgá, to tumháre pás hotá húá jáúṉgá; kyúṉki mujhe ummed hai ki us safar meṉ tum se milúṉgá, aur jab tumhárí suhbat se kisí qadr merá jí bhar jáegá, to tum mujhe us taraf rawána kar doge. 25Lekin biʼlfiʻl to muqaddasoṉ kí ḳhidmat karne ke liye Yarúshalem ko játá húṉ. 26Kyúṉki Makiduniya aur Aḳhaya ke log Yarúshalem ke garíb muqaddasoṉ ke liye kuchh chanda karne ko razámand húe. 27Kiyá to razámandí se, magar wuh un ke qarzdár bhí haiṉ. Kyúṉki jab gairqaumeṉ rúhání bátoṉ meṉ un kí sharík húí haiṉ, to lázim hai ki jismání bátoṉ meṉ un kí ḳhidmat kareṉ. 28Pas maiṉ is ḳhidmat ko púrá karke, aur jo kuchh hásil húá, un ko sauṉpkar, tumháre pás hotá húá Isfániya ko jáúṉgá. 29Aur maiṉ jántá húṉ ki jab tumháre pás áúṉgá, to Masíh kí kámil barakat lekar áúṉgá.
30Aur ai bháiyo, maiṉ Yisúʻ Masíh ká jo hamárá Ḳhudáwand haí wásta dekar, aur Rúh kí mahabbat ko yád dílákar, tum se iltimás kartá húṉ, ki mere liye Ḳhudá se duʻáeṉ máṉgne meṉ mere sáth milkar jánfishání karo, 31ki maiṉ Yahúdiya ke náfarmánoṉ se bachá rahúṉ, aur merí wuh ḳhidmat jo Yarúshalem ke liye hai muqaddasoṉ ko pasand áe, 32aur Ḳhudá kí marzí se tumháre pás ḳhushí ke sáth ákar, tumháre sáth árám páúṉ. 33Ḳhudá, jo itmínán ká chashma hai, tum sab ke sáth rahe. Ámín.

Currently Selected:

Romíoṉ 15: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in