1 Kurinthíoṉ 1
1
1Paulus kí taraf se, jo Ḳhudá kí marzí se Yisúʻ Masíh ká rasúl hone ke liye buláyá gayá, aur bháí Sosthines kí taraf se, 2Ḳhudá kí us kalísiyá ke nám jo Kurinthus meṉ hai, yaʻní un ke nám jo Masíh Yisúʻ meṉ pák kiye gaye, aur muqaddas log hone ke liye buláe gaye haiṉ, aur un sab ke nám bhí jo har jagah hamáre aur apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká nám lete haiṉ. 3Hamáre Báp Ḳhudá, aur Ḳhudáwand Yisú Masíh kí taraf sé tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe.
4Maiṉ tumháre báre meṉ Ḳhudá ke us fazl ke báʻis jo Masíh Yisúʻ meṉ tum par húá, hamesha apne Ḳhudá ká shukr kartá húṉ, 5ki tum us meṉ hokar sab bátoṉ meṉ, kalám aur ʻilm kí har tarah kí daulat se daulatmand ho gaye ho; 6chunáṉchi Masíh kí gawáhí tum meṉ qáim húí: 7yaháṉ tak ki tum kisí niʻmat meṉ kam nahíṉ; aur hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke zuhúr ke muntazir ho, 8jo tum ko áḳhir tak qáim bhí rakkhegá, táki tum hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke din beilzám ṭhahro. 9Ḳhudá sachchá hai, jis ne tumheṉ apne Beṭe hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí shirákat ke liye buláyá hai.
10Ab, ai bháiyo, maiṉ Yisúʻ Masíh, jo hamárá Ḳhudáwand hai, us ke nám ke wasíle tum se iltimás kartá húṉ, ki sab ek hí bát kaho, aur tum meṉ tafriqe na hoṉ; balki báham yakdil aur yakráe hokar kámil bane raho. 11Kyúṉki, ai bháiyo, tumhárí nisbat mujhe Ḳhloe ke gharwáloṉ se maʻlúm húá, ki tum meṉ jhagṛe ho rahe haiṉ. 12Merá yih matlab hai, ki tum meṉ se koí to apne áp ko Paulus ká kahtá hai, koí Apullos ká, koí Kefá ká, koí Masíh ká. 13Kyá Masíh baṭ gayá? Kyá Paulus tumhárí ḳhátir salíb diyá gayá? Yá tum ne Paulus ke nám par baptisma liyá? 14Ḳhudá ká shukr kartá húṉ, ki Krispus aur Gayus ke siwá maiṉ ne tum meṉ se kisí ko baptisma nahíṉ diyá; 15táki koí yih na kahe, ki tum ne mere nám par baptisma liyá. 16Háṉ, Stifanás ke ḳhándán ko bhí maiṉ ne baptisma diyá: báqí nahíṉ jántá, ki maiṉ ne kisí âur ko baptisma diyá ho. 17Kyúṉki Masíh ne mujhe baptisma dene ko nahíṉ bhejá, balki ḳhushḳhabarí sunáne ko: aur wuh bhí kalám kí hikmat se nahíṉ, táki Masíh kí salíb betásír na ho.
18Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai. 19Kyúṉki likhá hai, ki
Maiṉ hakímoṉ kí hikmat ko nest,
Aur ʻaqlmandoṉ kí ʻaql ko radd karúṉgá.
20Kaháṉ ká hakím? kaháṉ ká faqíh? kaháṉ ká is jahán ká bahs karnewálá? kyá Ḳhudá ne dunyá kí hikmat ko bewuqúfí nahíṉ ṭhahráyá? 21Is liye ki jab Ḳhudá kí hikmat ke mutábiq dunyá ne apní hikmat se Ḳhudá ko na jáná, to Ḳhudá ko yih pasand áyá, ki is manádí kí bewuqúfí ke wasíle se ímán lánewáloṉ ko naját de. 22Chunáṉchi Yahúdí nishán cháhte haiṉ, aur Yúnání hikmat talásh karte haiṉ; 23magar ham us Masíh i maslúb kí manádí karte haiṉ, jo Yahúdíoṉ ke nazdík ṭhokar, aur gairqaumoṉ ke nazdík bewuqúfí hai; 24lekin jo buláe húe haiṉ, Yahúdí hoṉ, yá Yúnání, un ke nazdík Masíh Ḳhudá kí qudrat, aur Ḳhudá kí hikmat hai. 25Kyúṉki Ḳhudá kí bewuqúfí ádmíoṉ kí hikmat se ziyáda hikmatwálí hai, aur Ḳhudá kí kamzorí ádmíon ke zor se ziyáda zoráwar hai. 26Ai bháiyo, apne buláe jáne par to nigáh karo, ki jism ke liház se bahut se hakím, bahut se iḳhtiyárwále, bahut se ashráf nahíṉ buláe gaye: 27balki Ḳhudá ne dunyá ke bewuqúfoṉ ko chun liyá, ki hakímoṉ ko sharminda kare; aur Ḳhudá ne dunyá ke kamzoroṉ ko chun liyá, ki zoráwaroṉ ko sharminda kare; 28aur Ḳhudá ne dunyá ke kamínoṉ aur haqíroṉ ko, balki bewujúdoṉ ko chun liyá ki maujúdoṉ ko nest kare, 29táki koí bashar Ḳhudá ke sámne faḳhr na kare. 30Lekin tum us kí taraf se Masíh Yisúʻ meṉ ho, jo hamáre liye Ḳhudá kí taraf se hikmat ṭhahrá, yaʻní rástbází, aur pákízagí, aur maḳhlasí: 31táki jaisá likhá hai, waisá hí ho, ki Jo faḳhr kare, wuh Ḳhudáwand par faḳhr kare.
Currently Selected:
1 Kurinthíoṉ 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)