1
1 Kurinthíoṉ 1:27
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
balki Ḳhudá ne dunyá ke bewuqúfoṉ ko chun liyá, ki hakímoṉ ko sharminda kare; aur Ḳhudá ne dunyá ke kamzoroṉ ko chun liyá, ki zoráwaroṉ ko sharminda kare
Compare
Explore 1 Kurinthíoṉ 1:27
2
1 Kurinthíoṉ 1:18
Kyúṉki salíb ká paigám halák honewáloṉ ke nazdík to bewuqúfí hai, magar ham naját pánewáloṉ ke nazdík Ḳhudá kí qudrat hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 1:18
3
1 Kurinthíoṉ 1:25
Kyúṉki Ḳhudá kí bewuqúfí ádmíoṉ kí hikmat se ziyáda hikmatwálí hai, aur Ḳhudá kí kamzorí ádmíon ke zor se ziyáda zoráwar hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 1:25
4
1 Kurinthíoṉ 1:9
Ḳhudá sachchá hai, jis ne tumheṉ apne Beṭe hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí shirákat ke liye buláyá hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 1:9
5
1 Kurinthíoṉ 1:10
Ab, ai bháiyo, maiṉ Yisúʻ Masíh, jo hamárá Ḳhudáwand hai, us ke nám ke wasíle tum se iltimás kartá húṉ, ki sab ek hí bát kaho, aur tum meṉ tafriqe na hoṉ; balki báham yakdil aur yakráe hokar kámil bane raho.
Explore 1 Kurinthíoṉ 1:10
6
1 Kurinthíoṉ 1:20
Kaháṉ ká hakím? kaháṉ ká faqíh? kaháṉ ká is jahán ká bahs karnewálá? kyá Ḳhudá ne dunyá kí hikmat ko bewuqúfí nahíṉ ṭhahráyá?
Explore 1 Kurinthíoṉ 1:20
Home
Bible
Plans
Videos