1
1 Kurinthíoṉ 2:9
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
balki jaisá likhá hai, waisá hí húá, ki Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ, Na ádmí ke dil meṉ áíṉ, Wuh sab Ḳhudá ne apne mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár kar díṉ
Compare
Explore 1 Kurinthíoṉ 2:9
2
1 Kurinthíoṉ 2:14
Magar nafsání ádmí Ḳhudá kí Rúh kí báteṉ qubúl nahíṉ kartá, kyúṉki wuh us ke nazdík bewuqúfí kí báteṉ haiṉ; aur na wuh unheṉ samajh saktá hai, kyúṉki wuh rúhání taur par parkhí játí haiṉ.
Explore 1 Kurinthíoṉ 2:14
3
1 Kurinthíoṉ 2:10
Lekin ham par Ḳhudá ne un ko Rúh ke wasíle se záhir kiyá: kyúṉki Rúh sárí báteṉ, balki Ḳhudá kí tah kí báteṉ bhí daryáft kar letí hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 2:10
4
1 Kurinthíoṉ 2:12
Magar ham ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ.
Explore 1 Kurinthíoṉ 2:12
5
1 Kurinthíoṉ 2:4-5
Aur merí taqrír aur merí manádí meṉ hikmat kí lubhánewálí báteṉ na thíṉ, balki wuh Rúh aur qudrat se sábit hotí thí: táki tumhárá ímán insánoṉ kí hikmat par nahíṉ, balki Ḳhudá kí qudrat par mauqúf ho.
Explore 1 Kurinthíoṉ 2:4-5
Home
Bible
Plans
Videos