Filippíoṉ 3
3
1G̣araz, mere bháiyo, Ḳhudáwand meṉ ḳhush raho. Tumheṉ ek hí bát bár bár likhne meṉ mujhe to kuchh diqqat nahíṉ, aur tumhárí is meṉ hifázat hai. 2Kuttoṉ se ḳhabardár raho, badkároṉ se ḳhabardár raho, kaṭwánewáloṉ se ḳhabardár raho: 3kyúṉki maḳhtún to ham haiṉ, jo Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se ʻibádat karte haiṉ, aur Masíh Yisúʻ par faḳhr karte haiṉ, aur jism ká bharosá nahíṉ karte: 4go maiṉ to jism ká bhí bharosá kar saktá húṉ: agar kisí âur ko jism par bharosá karne ká ḳhayál ho, to maiṉ us se bhí ziyáda kar saktá húṉ: 5áṭhweṉ din merá ḳhatna húá, Isráíl kí qaum, aur Binyámín ke qabíle ká húṉ; ʻIbráníoṉ ká ʻIbrání; sharíʻat ke iʻtibár se Farísí húṉ; 6josh ke iʻtibár se kalísiyá ká satánewálá; sharíʻat kí rástbází ke iʻtibár se beʻaib thá. 7Lekin jitní chízeṉ mere nafaʻ kí thíṉ, unhíṉ ko maiṉ ne Masíh kí ḳhátir nuqsán samajh liyá hai. 8Balki maiṉ apne Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ kí pahchán kí baṛí ḳhúbí ke sabab sab chízoṉ ko nuqsán samajhtá húṉ: jis kí ḳhátir maiṉ ne sárí chízoṉ ká nuqsán uṭháyá, aur un ko kúṛá samajhtá húṉ, táki Masíh ko hásil karúṉ, 9aur us meṉ páyá jáúṉ; na apní us rástbází ke sáth, jo sharíʻat kí taraf se hai, balki us rástbází ke sáth, jo Masíh par imán láne ke sabab hai, aur Ḳhudá kí taraf se ímán par miltí hai: 10aur maiṉ us ko aur us ke jí uthne kí qudrat ko, aur us ke sáth dukhoṉ meṉ sharík hone ko maʻlúm karúṉ, aur us kí maut se mushábahat paidá karúṉ; 11táki kisí tarah murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke darje tak pahuṉchúṉ. 12Yih garaz nahíṉ, ki maiṉ pá chuká, yá kámil ho chuká húṉ: balki us chíz ke pakaṛne ke liye dauṛá húá játá húṉ, jis ke liye Masíh Yisúʻ ne mujhe pakṛá thá. 13Ai bháiyo, merá yih gumán nahíṉ, ki pakaṛ chuká húṉ: balki sirf yih kartá húṉ, ki jo chízeṉ píchhe rah gayíṉ un ko bhúlkar, áge kí chízoṉ kí taraf baṛhá húá, 14nishán kí taraf dauṛá húá játá húṉ, táki us inʻám ko hásil karúṉ, jis ke liye Ḳhudá ne mujhe Masíh Yisúʻ meṉ úpar buláyá hai. 15Pas ham meṉ se jitne kámil haiṉ, yihí ḳhayál rakkheṉ, aur agar kisí bát meṉ tumhárá âur tarah ká ḳhayál ho, to Ḳhudá us bát ko bhí tum par záhir kar degá: 16ba har hál jaháṉ tak ham pahuṉche haiṉ, usí ke mutábiq chaleṉ.
17Ai bháiyo, tum sab milkar merí mánind bano, aur un logoṉ ko pahchán rakkho, jo is tarah chalte haiṉ jis ká namúna tum ham meṉ páte ho. 18Kyúṉki bahutere aise haiṉ, jin ká zikr maiṉ ne tum se bárhá kiyá hai, aur ab bhí ro roke kahtá húṉ, ki wuh apne chál chalan se Masíh kí salíb ke dushman haiṉ: 19un ká anjám halákat hai, un ká ḳhudá peṭ hai, wuh apní sharm kí bátoṉ par faḳhr karte haiṉ, aur dunyá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 20Magar hamárá watan ásmán par hai; aur ham ek Munjí, yaʻní Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke waháṉ se áne ke intizár meṉ haiṉ: 21wuh apní us quwwat kí tásír ke muwáfiq, jis se sab chízeṉ apne tábiʻ kar saktá hai, hamárí pasthálí ke badan kí shakl badalkar, apne jalál ke badan kí súrat par banáegá.
Currently Selected:
Filippíoṉ 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)