YouVersion Logo
Search Icon

Filippíoṉ 2

2
1Pas agar kuchh tasallí Masíh meṉ, aur mahabbat kí diljamʻí, aur Rúh ki shirákat, aur rahmdilí o dardmandí hai; 2to merí yih ḳhushí púrí karo, ki yakdil raho; yaksáṉ mahabbat rakkho; ek ján ho; ek hí ḳhayál rakkho; 3tafriqe aur bejá faḳhr ke báʻis kuchh na karo, balki firotaní se ek dúsre ko apne se bihtar samjhe: 4har ek apne hí ahwál par nahíṉ, balki har ek dúsroṉ ke ahwál par bhí nazar rakkhe. 5Waisá hí mizáj rakkho, jaisá Masíh Yisúʻ ká bhí thá: 6us ne agarchi Ḳhudá kí súrat par thá, Ḳhudá ke barábar hone ko qabze meṉ rakhne kí chíz na samjhá, 7balki apne áp ko ḳháli kar diyá, aur ḳhádim kí súrat iḳhtiyár kí, aur insánoṉ ke mushábih ho gayá; 8aur insání shakl meṉ záhir hokar apne áp ko past kar diyá, aur yaháṉ tak farmánbardár rahá, ki maut, balki salíbí maut, gawárá kí. 9Isí wáste Ḳhudá ne bhí use bahut sarbaland kiyá, aur use wuh nám baḳhshá jo sab námoṉ se aʻlá hai; 10táki Yisúʻ ke nám par har ek ghuṭná ṭike, ḳhwáh ásmáníoṉ ká ho, ḳhwáh zamíníoṉ ká, ḳhwáh un ká jo zamín ke níche haiṉ; 11aur Ḳhudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare, ki Yisúʻ Masíh Ḳhudáwand hai.
12Pas ai mere ʻazízo, jis tarah tum hamesha se farmánbardárí karte áe ho, usí tarah ab bhí na sirf merí házirí meṉ, balki is se bahut ziyáda merí gairházirí meṉ, ḍarte káṉpte húe apní naját ká kám kiye jáo; 13kyúṉki jo tum meṉ níyat aur ʻamal donoṉ ko, apne nek iráde ko anjám dene ke liye, paidá kartá hai, wuh Ḳhudá hai. 14Sab kám shikáyat aur takrár bagair kiyá karo; 15táki tum beʻaib aur bhole hokar, ṭeṛhe aur kajrau logoṉ meṉ Ḳhudá ke benuqs farzand bane raho, (jin ke darmiyán tum dunyá meṉ chirágoṉ kí tarah dikháí dete ho, 16aur zindagí ká kalám pesh karte ho,) táki Masíh ke din mujhe faḳhr ho, ki na merí dauṛ dhúp befáida húí, na merí mihnat akárath gayí. 17Aur agar mujhe tumháre ímán kí qurbání aur ḳhidmat ke sáth apná ḳhún bhí baháná paṛe, tau-bhí ḳhush húṉ, aur tum sab ke sáth ḳhushí kartá húṉ: 18tum bhí isí tarah ḳhush ho, aur mere sáth ḳhushí karo.
19Mujhe Ḳhudáwand Yisúʻ meṉ ummed hai, ki Tímuthiyus ko tum-háre pás jald bhejúṉgá, táki tumhárá ahwál daryáft karke merí bhí ḳhátirjamaʻ ho. 20Kyúṉki koí aisá hamdil mere pás nahíṉ, jo sáfdilí se tumháre liye fikrmand ho. 21Sab apní apní bátoṉ kí fikr meṉ haiṉ, na Yisúʻ Masíh kí. 22Lekin tum us kí puḳhtagí se wáqif ho, ki jaise beṭá báp kí ḳhidmat kartá hai, waise hí us ne mere sáth ḳhushḳhabarí phailáne meṉ ḳhidmat kí. 23Pas maiṉ ummed kartá húṉ, ki jab apne hál ká anjám maʻlúm kar lúṉgá, to use fauran bhej dúṉgá. 24Aur mujhe Ḳhudáwand par bharosá hai, ki maiṉ áp bhí jald áúṉgá. 25Lekin maiṉ ne Ipafruditus ko tumháre pás bhejná zarúr samjhá; wuh merá bháí, aur hamḳhidmat, aur hamsipáh, aur tumhárá qásid, aur merí hájat rafaʻ karne ke liye ḳhádim hai; 26kyúṉki wuh tum sab ká bahut mushtáq thá, aur is wáste beqarár rahtá thá, ki tum ne us kí bímárí ká hál suná thá: 27beshakk wuh bímárí se marne ko thá; magar Ḳhudá ne us par rahm kiyá; aur faqat us hí par nahíṉ, balki mujh par bhí, táki mujhe gam par gam na ho. 28Is liye mujhe us ke bhejne ká âur bhí ziyáda ḳhayál húá, ki tum bhí us kí muláqát se phir ḳhush ho jáo, aur merá bhí gam ghaṭ jáe. 29Pas tum us se Ḳhudáwand meṉ kamál ḳhushí ke sáth milná, aur aise shaḳhsoṉ kí ʻizzat kiyá karo: 30is liye ki wuh Masíh ke kám kí ḳhátir marne ke qaríb ho gayá tha, aur us ne ján lagá dí, táki jo kamí tumhárí taraf se merí ḳhidmat meṉ húí, use púrá kare.

Currently Selected:

Filippíoṉ 2: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in