YouVersion Logo
Search Icon

Filippíoṉ 1

1
1Masíh Yisúʻ ke bandoṉ Paulus aur Tímuthiyus kí taraf se, Filippí ke sab muqaddasoṉ ke nám jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, nigah-bánoṉ aur ḳhádimoṉ samet. 2Hamáre Báp Ḳhudá, aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí taraf se tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe.
3Maiṉ jab kabhí tumheṉ yád kartá húṉ, to apne Ḳhudá ká shukr bajá látá húṉ; 4aur har ek duʻá meṉ jo tumháre liye máṉgtá húṉ, hamesha ḳhushí ke sáth tum sab ke liye darḳhwást kartá húṉ, 5is liye ki tum awwal roz se lekar áj tak ḳhushḳhabarí ke phailáne meṉ sharík rahe ho; 6aur mujhe is bát ká bharosá hai, ki jis ne tum meṉ nek kám shurúʻ kiyá hai, wuh use Yisúʻ Masíh ke din tak púrá kar degá; 7chunáṉchi wájib hai, ki maiṉ tum sab kí bábat aisá hí ḳhayál karúṉ, kyúṉki tum mere dil meṉ rahte ho, aur merí qaid aur ḳhushḳhabarí kí jawábdihí aur subút meṉ, tum sab mere sáth fazl meṉ sharík ho. 8Ḳhudá merá gawáh hai, ki maiṉ Masíh Yisúʻ kí sí ulfat karke tum sab ká mushtáq húṉ. 9Aur yih duʻá kartá húṉ, ki tumhárí mahabbat, ʻilm aur har tarah kí tamíz ke sáth âur bhí ziyáda hotí jáe; 10táki ʻumda ʻumda bátoṉ ko pasand kar sako; aur Masíh ke din tak sáfdil raho, aur ṭhokar na kháo; 11aur rástbází ke phal se, jo Yisúʻ Masíh ke sabab se hai, bhare raho, táki Ḳhudá ká jalál záhir ho, aur us kí sitáish kí jáe.
12Aur ai bháiyo, maiṉ cháhtá húṉ tum ján lo, ki jo mujh par guzrá, wuh ḳhushḳhabarí kí taraqqí hí ká báʻis húá; 13yaháṉ tak ki qaisarí sipáhíoṉ kí sárí palṭan aur báqí sab logoṉ meṉ mashhúr ho gayá, ki maiṉ Masíh ke wáste qaid húṉ; 14aur jo Ḳhudáwand meṉ bháí haiṉ, un meṉ se aksar mere qaid hone ke sabab se diler hokar, beḳhauf Ḳhudá ká kalám sunáne kí ziyáda jurʼat karte haiṉ. 15Baʻz to hasad aur jhagṛe kí wajh se Masíh kí manádí karte haiṉ; aur baʻz nekníyatí se: 16ek to mahabbat kí wajh se, yih jánkar Masíh kí manádí karte haiṉ, ki maiṉ ḳhushḳhabarí kí jawábdihí ke wáste muqarrar húṉ: 17magar dúsre tafriqe kí wajh se, na ki sáfdilí se, balki is ḳhayál se ki merí qaid meṉ mere liye musíbat paidá kareṉ. 18Pas kyá húá? Sirf yih, ki har tarah se Masíh kí manádí hotí hai, baháne se ho, ḳhwáh sachcháí se; aur is se maiṉ ḳhush húṉ, aur rahúṉgá bhí. 19Kyúṉki maiṉ jántá húṉ, ki tumhárí duʻá, aur Yisúʻ Masíh kí Rúh ke inʻám se, is ká anjám merí naját hogá; 20chunáṉchi merí dilí árzú aur ummed yihí hai, ki maiṉ kisí bát meṉ sharminda na húṉ, balki merí kamál dilerí ke báʻis jis tarah Masíh kí taʻzím mere badan ke sabab se hamesha hotí rahí hai, usí tarah ab bhí hogí, ḳhwáh maiṉ zinda rahúṉ ḳhwáh marúṉ. 21Kyúṉki zinda rahná mere liye Masíh hai, aur marná nafaʻ. 22Lekin agar merá jism meṉ zinda rahná hí mere kám ke liye mufíd hai, to maiṉ nahíṉ jántá, ki kise pasand karúṉ. 23Maiṉ donoṉ taraf phaṉsá húá húṉ; merá jí to yih cháhtá hai, ki kúch karke Masíh ke pás já rahúṉ, kyúṉki yih bahut hí bihtar hai; 24magar jism meṉ rahná tumhárí ḳhátir ziyáda zarúrí hai. 25Aur chúṉki mujhe is ká yaqín hai, is liye maiṉ jántá húṉ ki zinda rahúṉgá, balki tum sab ke sáth rahúṉgá, táki tum ímán meṉ taraqqí karo, aur us meṉ ḳhush raho; 26aur jo tumheṉ mujh par faḳhr hai, wuh mere phir tumháre pás áne se Masíh Yisúʻ meṉ ziyáda ho jáe. 27Sirf yih karo ki tumhárá chál chalan Masíh ki ḳhushḳhabarí ke muwáfiq rahe, táki maiṉ ḳhwáh áúṉ aur tumheṉ dekhúṉ, ḳhwáh na áúṉ, tumhárá hál sunúṉ, ki tum ek rúh meṉ qáim ho, aur Injíl ke ímán ke liye ek ján hokar jánfisháni karte ho; 28aur kisí bát meṉ muḳhálifoṉ se dahshat nahíṉ kháte: yih un ke liye halákat ká sáf nishán hai, lekin tumhárí naját ká, aur yih Ḳhudá kí taraf se hai; 29kyúṉki Masíh kí ḳhátir tum par yih fazl húá, ki na faqat us par ímán láo, balki us kí ḳhátir dukh bhí saho: 30aur tum usi tarah jánfishání karte ho, jis tarah mujhe karte dekhá thá, aur ab bhí sunte ho, ki maiṉ waisí hí kartá húṉ.

Currently Selected:

Filippíoṉ 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in