Filippíoṉ 4
4
1Is wáste, ai mere piyáre bháiyo, jin ká maiṉ mushtáq húṉ, jo merí ḳhushí aur táj ho, ai piyáro, Ḳhudáwand meṉ isí tarah qáim raho.
2Maiṉ Yúodiya ko bhí nasíhat kartá húṉ, aur Suntuḳhe ko bhí, ki wuh Ḳhuḍáwand meṉ yakdil raheṉ. 3Aur ai sachche hamḳhidmat, tujh se bhí darḳhwást kartá húṉ, ki tú un ʻauratoṉ kí madad kar, kyúnki unhoṉ ne mere sáth ḳhushḳhabarí phailáne meṉ, Klemens aur mere un báqí hamḳhidmatoṉ samet jánfishání kí, jin ke nám kitáb i hayát meṉ darj haiṉ.
4Ḳhudáwand meṉ har waqt ḳhush raho; phir kahtá húṉ, ki ḳhush raho. 5Tumhárí narmmizájí sab ádmíoṉ par záhir ho. Ḳhudáwand qaríb hai. 6Kisí bát kí fikr na karo: balki har ek bát meṉ tumhárí darḳhwásteṉ, duʻá aur minnat ke wasíle se, shukrguzárí ke sáth Ḳhudá ke sámne pesh kí jáeṉ; 7to Ḳhudá ká itmínán, jo samajh se biʼlkull báhar hai, tumháre diloṉ aur ḳhayáloṉ ko Masíh Yisúʻ meṉ mah-fúz rakkhegá.
8G̣araz, ai bháiyo, jitní báteṉ sach haiṉ, aur jitní báteṉ sharáfat kí haiṉ, aur jitní báteṉ wájib haiṉ, aur jitní báteṉ pák haiṉ, aur jitni báteṉ pasanḍída haiṉ, aur jitní báteṉ dilkash haiṉ; garaz jo nekí aur taʻríf kí báteṉ haiṉ, un par gaur kiyá karo. 9Jo báteṉ tum ne mujh se síkhíṉ, aur hásil kíṉ, aur suníṉ, aur mujh meṉ dekhíṉ, un par ʻamal kiyá karo; to Ḳhudá jo itmínán ká chashma hai tumháre sáth rahegá.
10Maiṉ Ḳhudáwand meṉ bahut ḳhush húṉ, ki ab itní muddat ke baʻd tumhárá ḳhayál mere liye sarsabz húá; beshakk tumheṉ pahle bhí is ká ḳhayál thá, magar mauqaʻ na milá. 11Yih nahíṉ ki maiṉ muhtájí ke liház se kahtá; kyúṉki maiṉ ne yih síkhá hai, ki jis hálat meṉ húṉ, usí par rází rahúṉ. 12Maiṉ past honá bhí jántá húṉ, aur baṛhná bhí jántá húṉ: har ek bát, aur sab hálatoṉ meṉ, maiṉ ne ser honá, bhúká rahná, aur baṛhná ghaṭná síkhá hai. 13Jo mujhe táqat baḳhshtá hai, us meṉ maiṉ sab kuchh kar saktá húṉ. 14Táham tum ne achchhá kiyá, jo merí mu-síbat meṉ sharík húe. 15Aur ai Filippío, tum ḳhud bhí jánte ho, ki ḳhushḳhabarí ke shurúʻ meṉ, jab maiṉ Makiduniya se rawána húá, to tumháre siwá kisí kalísiyá ne lene dene ke muʻámale meṉ merí madad na kí. 16Chunáṉchi Thissaluníke meṉ bhí merí ihtiyáj rafaʻ karne ke liye tum ne ek dafʻa nahíṉ, balki do dafʻa kuchh bhejá thá. 17Yih nahíṉ kí maiṉ inʻám cháhtá húṉ, balki aisá phal cháhtá húṉ, jo tumháre hisáb meṉ ziyáda ho jáe. 18Mere pás sab kuchh hai, balki ifrát se hai: tumhárí bhejí húí chízeṉ Ipafruditus ke háth se lekar maiṉ ásúda ho gayá húṉ; wuh ḳhushbú, aur maqbúl qurbání haiṉ, jo Ḳhudá ko pasandída hai. 19Merá Ḳhudá apní daulat ke muwáfiq jalál se Masíh Yisúʻ meṉ tumhárí har ek ihtiyáj rafaʻ karegá. 20Hamáre Ḳhudá aur Báp kí abaduʼl ábád tamjíd hotí rahe. Ámín.
21Har ek muqaddas se jo Masíh Yisúʻ meṉ hai salám kaho. Jo bháí mere sáth haiṉ tumheṉ salám kahte haiṉ. 22Sáre muqaddas, ḳhusúsan Qaisar ke gharwále, tumheṉ salám kahte haiṉ.
23Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká fazl tumhárí rúh ke sáth rahe.
Currently Selected:
Filippíoṉ 4: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)