Marqus 15
15
1Aur fiʼlfaur, subh hote hí, sardár káhinoṉ ne buzurgoṉ aur faqíhoṉ aur sáre sadr ʻadálatwáloṉ samet saláh karke, Yísúʻ ko bandhwáyá, aur le jákar Pílátus ke hawále kiyá. 2Aur Pílátus ne us se púchhá; Kyá tú Yahúdíoṉ ká bádsháh hai? Us ne jawáb meṉ us se kahá; Tú ḳhud kahtá hai. 3Aur sardár káhin us par bahut bátoṉ ká ilzám lagáte rahe. 4Pílátus ne us se dobára suwál karke yih kahá; Tú kuchh jawáb nahíṉ detá? dekh, yih tujh par kitní bátoṉ ká ilzám lagáte haiṉ? 5Yisúʻ ne phir kuchh jawáb nahíṉ diyá; yaháṉ tak ki Pílátus ne taʻajjub kiyá.
6Aur wuh ʻÍd par ek qaidí ko, jis ke wáste log ʻarz karte the, un kí ḳhátir chhoṛ diyá kartá thá. 7Aur Bar Abbá nám ek ádmí un bágíoṉ ke sáth qaid meṉ paṛá thá, jinhoṉ ne bagáwat meṉ ḳhún kiyá thá. 8Aur bhíṛ úpar chaṛhkar us se ʻarz karne lagí, ki Jo terá dastúr hai, wuh hamáre liye kar. 9Pílátus ne unheṉ yih jawáb diyá; Kyá tum cháhte ho, ki maiṉ tumhárí ḳhátir Yahúdíoṉ ke bádsháh ko chhoṛ dúṉ? 10Kyúṉki use maʻlúm thá, ki sardár káhinoṉ ne is ko hasad se mere hawále kiyá hai. 11Magar sardár káhinoṉ ne bhíṛ ko ubhárá, táki Pílátus un kí ḳhátir Bar Abbá hí ko chhoṛ de. 12Pílátus ne dobára un se kahá; Phir, jise tum Yahúdíoṉ ká bádsháh kahte ho, us ko maiṉ kyá karúṉ? 13Wuh phir chílláe, ki Use salíb de. 14Aur Pílátus ne un se kahá; Kyúṉ, is ne kyá buráí kí hai? Wuh âur bhí chilláe, ki Use salíb de. 15Pílátus ne, logoṉ ko ḳhush karne ke iráde se, un ke liye Bar Abbá ko chhoṛ diyá, aur Yísúʻ ko koṛe lagwákar hawále kiyá, táki salíb dí jáe.
16Aur sipáhí us ko us sahn meṉ le gaye, jo Praitoriyun#15:16 Praitoriyun Yeh Latini zaban ka lafz hai. Máni, Romi governer ka sarkari ghar. kahlátá hai; aur sárí palṭan ko bulá láe. 17Aur unhoṉ ne use argawání choga pahináyá, aur káṉṭoṉ ká táj banákar us ke sir par rakkhá; 18aur use salám karne lage, ki Ai Yahúdíoṉ ke bádsháh, ádáb! 19Aur wuh us ke sir par sarkandá márte, aur us par thúkte, aur ghuṭne ṭek ṭekkar use sijda karte rahe. 20Aur jab use ṭhaṭṭhoṉ meṉ uṛá chuke, to us par se argawání choga utárkar usí ke kapṛe use pahináe; phir use salíb dene ko báhar le gaye.
21Aur Shamaʻún nám ek Kurení ádmí, Sikandar aur Rúfus ká báp, díhát se áte húe udhar se guzrá; unhoṉ ne use begár meṉ pakṛá, ki us kí salíb uṭháe. 22Aur wuh use maqám i Gulgutá par láe, jis ká tarjuma Khopṛí kí jagah hai. 23Aur murr#15:23 murr Aik khusbudar gond jis ká zaiqá boht karwa aur talakh hota hay. milí húí mai use dene lage, magar us ne na lí. 24Aur unhoṉ ne use salíb par chaṛháyá, aur us ke kapṛoṉ par qurʻa ḍálkar, ki kis ko kyá mile, unheṉ báṉṭ liyá. 25Aur pahar din chaṛhá thá, jab unhoṉ ne us ko salíb par chaṛháyá. 26Aur us ká ilzám likhkar us ke úpar lagá diyá gayá, ki Yahúdíoṉ ká Bádsháh. 27Aur unhoṉ ne us ke sáth do ḍákú, ek us kí dahiní, aur ek us kí báíṉ taraf salíb par chaṛháe. [28Tab is mazmún ká wuh nawishta, ki Wuh badkároṉ meṉ giná gayá, púrá húá.] 29Aur ráh chalnewále sir hilá hilákar us par laʻn taʻn karte, aur kahte the, ki Wáh! maqdis ke ḍhánewále, aur tín din meṉ banánewále, 30salíb par se utarke apne taíṉ bachá. 31Isí tarah sardár káhin bhí, faqíhoṉ ke sáth milke, ápas meṉ ṭhaṭṭhe se kahte the; Is ne auroṉ ko bacháyá, apne taíṉ nahíṉ bachá saktá. 32Isráíl ká bádsháh Masíh ab salíb par se utar áe, táki ham dekhkar ímán láeṉ. Aur jo us ke sáth salíb par chaṛháe gaye the, wuh us par laʻn taʻn karte the.
33Jab do pahar húí, to tamám mulk meṉ andherá chhá gayá, aur tísre pahar tak rahá. 34Aur tísre pahar ko Yisúʻ baṛí áwáz se chilláyá, ki Ilohí, Ilohí, lamá shabaqtaní? jis ká tarjuma yih hai; Ai mere Ḳhudá, ai mere Ḳhudá, tú ne mujhe kyúṉ chhoṛ diyá? 35Jo pás khaṛe the, un meṉ se baʻz ne yih sunkar kahá; Dekho, wuh Eliyyáh ko bulátá hai. 36Aur ek ne dauṛkar isfanj ko sirke meṉ duboyá, aur sarkanḍe par rakhkar use chusáyá, aur kahá; Ṭhahar jáo, dekheṉ to, Eliyyáh use utárne átá hai yá nahíṉ. 37Phir Yisúʻ baṛi áwáz se chilláyá, aur dam de diyá. 38Aur maqdis ká parda úpar se níche tak phaṭkar do ṭukṛe ho gayá. 39Aur jo súbadár us ke sámne khaṛá thá, us ne use yúṉ dam dete húe dekhkar kahá, ki Yih ádmí beshakk Ḳhudá ká Beṭá thá. 40Aur kaí ʻaurateṉ dúr se dekh rahí thíṉ: un meṉ Maryam Magdalíní aur chhoṭe Yaʻqúb aur Yoses kí máṉ Maryam, aur Salomí thíṉ; 41jab wuh Galíl meṉ thá, yih us ke píchhe ho letí aur us kí ḳhidmat kartí thíṉ; aur âur bhí bahut sí ʻaurateṉ thíṉ, jo us ke sáth Yarúshalem meṉ áí thíṉ.
42Jab shám ho gayí, to is liye ki Taiyárí ká din thá, jo Sabt se ek din pahle hotá hai, 43Arimatiya ká rahnewálá Yúsuf áyá, jo ʻizzatdár mushír aur ḳhud bhí Ḳhudá kí bádsháhat ká muntazir thá, aur jurʼat se Pílátus ke pás jákar Yisúʻ kí lásh máṉgí. 44Aur Pílátus ne taʻajjub kiyá, ki wuh aisá jald mar gayá; aur súbadár ko bulákar us se púchhá, ki Us ko mare húe der ho gayí? 45Jab súbadár se hál maʻlúm kar liyá, to lásh Yúsuf ko dilá dí. 46Us ne ek mihín chádar mol li, aur lásh ko utárkar us chádar meṉ kafnáyá, aur ek qabr ke andar jo chaṭán meṉ khodí gayí thí use rakkhá, aur us qabr ke muṉh par ek patthar luṛhká diyá. 47Aur Maryam Magdalíní aur Yoses kí máṉ Maryam dekh rahí thíṉ, ki wuh kaháṉ rakkhá gayá hai.
Currently Selected:
Marqus 15: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)