YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 16

16
1Jab Sabt ká din guzar gayá, to Maryam Magdalíní aur Yaʻqúb kí máṉ Maryam aur Salomí ne ḳhushbúdár chízeṉ mol líṉ, táki ákar us par maleṉ. 2Wuh hafte ke pahle din bahut sawere, jab súraj niklá hí thá, qabr par áiṉ. 3Aur ápas meṉ kahtí thíṉ, ki Hamáre liye patthar ko qabr ke muṉh par se kaun luṛhkáegá? 4Jab unhoṉ ne nigáh kí, to dekhá ki patthar luṛhká húá hai; kyúṉki wuh bahut hí baṛá thá. 5Aur qabr ke andar jáke, unhoṉ ne ek jawán ko safed jáma pahine húe dahiní taraf baiṭhe dekhá, aur niháyat hairán húíṉ. 6Us ne un se kahá, Aisí hairán na ho; tum Yisúʻ Násarí ko, jo maslúb húá thá, ḍhúṉḍhti ho: wuh jí uṭhá hai; yaháṉ nahíṉ hai; dekho, yih wuh jagah hai jaháṉ unhoṉ ne use rakkhá thá. 7Lekin tum jákar us ke shágirdoṉ aur Patras se kaho, ki Wuh tum se pahle Galíl ko jáegá; tum wahíṉ use dekhoge, jaisá us ne tum se kahá. 8Aur wuh nikalkar qabr se bhág gayíṉ; kyúṉki larzish aur haibat un par gálib áí thí: aur unhoṉ ne kisí se kuchh na kahá, kyúṉki ḍartí thíṉ.
9Hafte ke pahle roz, jab wuh sawere jí uṭhá, to pahle Maryam Magdalíní ko, jis meṉ se us ne sát badrúheṉ nikálí thíṉ, dikháí diyá. 10Us ne jákar us ke sáthiyoṉ ko, jo mátam karte aur rote the, ḳhabar dí. 11Aur unhoṉ ne yih sunkar, ki wuh jítá hai aur us ne use dekhá hai, yaqín na kiyá.
12Is ke baʻd wuh dúsrí súrat meṉ un meṉ se do ko jab wuh díhát kí taraf paidal já rahe the dikháí diyá. 13Unhoṉ ne bhí jákar báqí logoṉ ko ḳhabar dí, magar inhoṉ ne un ká bhí yaqín na kiyá.
14Phir píchhe wuh un gyárah ko bhí, jab kháná kháne baiṭhe the, dikháí diyá, aur un kí be iʻtiqádí aur saḳhtdílí par malámat kí; kyúṉki jinhoṉ ne us ke jí uṭhne ke baʻd use dekhá thá, unhoṉ ne un ká yaqín na kiyá thá. 15Aur us ne un se kahá, ki Tum tamám dunyá meṉ jákar sárí ḳhalq ke sámne Injíl kí manádí karo. 16Jo ímán láe aur baptisma le, wuh naját páegá: aur jo ímán na láe, wuh mujrim ṭhahráyá jáegá. 17Aur ímán lánewáloṉ ke darmiyán yih muʻjize hoṉge: wuh mere nám se badrúhoṉ ko nikáleṉge; 18nayí nayí zabáneṉ boleṉge; sáṉpoṉ ko uṭhá leṉge; aur agar koí halák karnewálí chíz píeṉge, unheṉ kuchh zarar na pahuṉchegá; wuh bímároṉ par háth rakkheṉge, to achchhe ho jáeṉge.
19G̣araz Ḳhudáwand Yisúʻ un se kalám karne ke baʻd ásmán par uṭháyá gayá, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭh gayá. 20Phir unhoṉ ne nikalkar har jagah manádí kí, aur Ḳhudáwand un ke sáth kám kartá rahá, aur kalám ko, un muʻjizoṉ ke wasíle se jo sáth sáth hote the, sábit kartá rahá. Ámin.

Currently Selected:

Marqus 16: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in