Lúqá 1
1
1Chúṉki bahutoṉ ne is par kamar báṉdhí hai, ki jo báteṉ hamare darmiyán wáqiʻ húiṉ, un ko tartíbwár bayán kareṉ, 2jaisá ki unhoṉ ne, jo shurúʻ se ḳhud dekhnewále aur kalám ke ḳhádim the, unheṉ ham ko pahuṉcháyá; 3is liye ai muʻazzaz Thiyufilus, maiṉ ne bhí munásib jáná, ki sab bátoṉ ká silsila shurúʻ se ṭhík ṭhík daryáft karke unheṉ tere liye tartíb se likhúṉ, 4táki jin bátoṉ kí tú ne taʻlím páí hai, un kí puḳhtagí tujhe maʻlúm ho jáe.
5Yahúdiya ke bádsháh Herodes ke zamáne meṉ Abiyyáh ke faríq meṉ se Zakaryáh nám ek káhin thá, aur us kí bíwí Hárún kí aulád meṉ se thí, aur us ká nám Ilíshibaʻ thá. 6Aur wuh donoṉ Ḳhudá ke huzúr rástbáz aur Ḳhudáwand ke sáre hukmoṉ aur qánúnoṉ par beʻaib chalnewále the. 7Aur un ke aulád na thí, kyúṉki Ilíshibaʻ báṉjh thí, aur donoṉ ʻumr rasída the.
8Jab wuh Ḳhudá ke huzúr apne faríq kí bárí par kahánat ká kám anjám detá thá, to aisá húá 9ki kahánat ke dastúr ke muwáfiq us ke nám ká qurʻa niklá, ki Ḳhudáwand ke maqdis meṉ jákar ḳhushbú jaláe: 10aur logoṉ kí sárí jamáʻat ḳhushbú jaláte waqt báhar duʻá máṉg rahí thí, 11ki Ḳhudáwand ká fírishta ḳhushbú ke mazbah kí dahiní taraf khaṛá húá us ko dikháí diyá. 12Aur Zakaryáh dekhkar ghabráyá aur us par dahshat chhá gayí. 13Magar firishte ne us se kahá: Ai Zakaryáh, ḳhauf na kar; kyúṉki terí duʻá sun lí gayí, aur terí bíwí Ilíshibaʻ tere liye beṭá janegí; tú us ká nám Yúhanná rakhná. 14Aur tujhe ḳhushí o ḳhurramí hogí, aur bahut se log us kí paidáish ke sabab ḳhush hoṉge. 15Kyúṉki wuh Ḳhudáwand ke huzúr meṉ buzurg hogá, aur hargiz na mai na koí âur sharáb píegá, aur apní máṉ ke peṭ hí se Rúhuʼl Quds se bhar jáegá, 16aur bahut se baní Isráíl ko Ḳhudáwand kí taraf, jo un ká Ḳhudá hai, pheregá. 17Aur wuh Eliyyáh kí rúh aur quwwat meṉ us ke áge áge chalegá, ki wálidoṉ ke dil aulád kí taraf, aur náfarmánoṉ ko rástbázoṉ kí dánáí par chalne kí taraf phere, aur Ḳhudáwand ke liye ek mustaʻidd qaum taiyár kare. 18Zakaryáh ne firishte se kahá; Maiṉ is bát ko kis tarah jánúṉ, kyúṉki maiṉ búṛhá húṉ, aur merí bíwí ʻumr rasída hai. 19Firishte ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ Jibraíl húṉ, jo Ḳhudá ke huzúr khaṛá rahtá húṉ, aur is liye bhejá gayá húṉ, ki tujh se kalám karúṉ aur tujhe in bátoṉ kí ḳhushḳhabarí dúṉ; 20aur dekh, jis din tak yih báteṉ wáqiʻ na ho leṉ, tú chupká rahegá, aur bol na sakegá, is liye ki tú ne merí bátoṉ ká, jo apne waqt par púrí hoṉgí, yaqín na kiyá. 21Aur log Zakaryáh kí ráh dekhte aur taʻajjub karte the, ki use maqdis meṉ kyúṉ der lagí. 22Jab wuh báhar áyá, to un se bol na saká. Pas unhoṉ ne maʻlúm kiyá, ki us ne maqdis meṉ royá dekhí hai, aur wuh un se isháre kartá thá, aur gúṉgá hí rahá. 23Phir aisá húá ki jab us kí ḳhidmat ke din púre húe, wuh apne ghar gayá.
24In dinoṉ ke baʻd us kí bíwí Ilíshibaʻ hámila húí; aur us ne páṉch mahíne tak apne taíṉ yih kahke chhipáe rakkhá, ki 25Jab Ḳhudáwand ne merí ruswáí logoṉ meṉ se dúr karne ke liye mujh par nazar kí, un dinoṉ meṉ us ne mere liye aisá kiyá.
26Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá, 27jis kí maṉgní Dáúd ke gharáne ke ek mard Yúsuf nám se húí thí; aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá. 28Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai. 29Wuh is kalám se bahut ghabrá gayí aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai. 30Firishte ne us se kahá; Ai Maryam, ḳhauf na kar, kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai; 31aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná. 32Wuh buzurg hogá; aur Ḳhudá Taʻálá ká Beṭá kahláegá, aur Ḳhudáwand Ḳhudá us ke báp Dáúd ká taḳht use degá, 33aur wuh Yaʻqúb ke gharáne par abad tak bádsháhí karegá, aur us kí bádsháhí ká áḳhir na hogá. 34Maryam ne firishte se kahá; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí? 35Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá. 36Aur dekh, terí rishtadár Ilíshibaʻ ke bhí buṛhápe meṉ beṭá honewálá hai; aur ab us ko, jo báṉjh kahlátí thí, chhaṭá mahína hai. 37Kyúṉki jo qaul Ḳhudá kí taraf se hai, wuh hargiz betásír na hogá. 38Maryam ne kahá; Dekh, maiṉ Ḳhudáwand kí bandí húṉ; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho. Phir firishta us ke pás se chalá gayá.
39Un hí dinoṉ Maryam uṭhí, aur jaldí se paháṛí mulk meṉ Yahúdáh ke ek shahr ko gayí, 40aur Zakaryáh ke ghar meṉ dáḳhil hokar Ilíshibaʻ ko salám kiyá. 41Aur joṉhíṉ Ilíshibaʻ ne Maryam ká salám suná, to aisá húá ki bachcha us ke peṭ meṉ uchhal paṛá, aur Ilíshibaʻ Rúhuʼl Quds se bhar gayí, 42aur baland áwáz se pukárke bolí, ki Tú ʻauratoṉ meṉ mubárak, aur tere peṭ ká phal mubárak hai; 43aur mujh par yih fazl kaháṉ se húá, ki mere Ḳhudáwand kí máṉ mere pás áí? 44Kyúṉki dekh, joṉhíṉ tere salám kí áwáz mere kán meṉ pahuṉchí, bachcha máre ḳhushí ke mere peṭ meṉ uchhal paṛá. 45Aur mubárak hai wuh jo ímán láí, kyúṉki jo báteṉ Ḳhudáwand kí taraf se us se kahí gayí thíṉ, wuh púrí hoṉgí. 46Phir Maryam ne kahá, ki
Merí ján Ḳhudáwand kí baṛáí kartí hai,
47Aur merí rúh mere munjí Ḳhudá se ḳhush húí;
48Kyúṉki us ne apní bandí kí pasthálí par nazar kí:
Aur dekh, ab se lekar har zamáne ke log mujh ko mubárak kaheṉge.
49Kyúṉki us Qádir ne mere liye baṛe baṛe kám kiye haiṉ,
Aur us ká nám pák hai.
50Aur us ká rahm un par jo us se ḍarte haiṉ
Pusht dar pusht rahtá hai.
51Us ne apne bázú se zor dikháyá;
Aur jo apne taíṉ baṛá samajhte the un ko paráganda kiyá.
52Us ne iḳhtiyárwáloṉ ko taḳht se girá diyá,
Aur pastháloṉ ko baland kiyá.
53Us ne bhúkoṉ ko achchhí chízoṉ se ser kar diyá,
Aur daulatmandoṉ ko ḳhálí háth lauṭá diyá.
54Us ne apne ḳhádim Isráíl ko sambhál liyá,
Táki apní us rahmat ko yád farmáe,
55Jo Ibráhím aur us kí nasl par abad tak rahegí;
Jaisá us ne hamáre bápdádá se kahá thá.
56Aur Maryam tín mahíne ke qaríb us ke sáth rahkar apne ghar ko lauṭ gayí.
57Aur Ilíshibaʻ ke janne ká waqt á pahuṉchá, aur wuh beṭá janí. 58Aur us ke paṛausiyoṉ aur rishtadároṉ ne yih sunkar, ki Ḳhudáwand ne us par baṛi rahmat kí, us ke sáth ḳhushí manáí. 59Aur áṭhweṉ din aisá húá ki wuh laṛke ká ḳhatna karne áe, aur us ká nám us ke báp ke nám par Zakaryáh rakhne lage. 60Magar us kí máṉ ne kahá; Nahíṉ, balki us ká nám Yúhanná rakkhá jáe. 61Unhoṉ ne us se kahá, ki Tere kunbe meṉ kisí ká yih nám nahíṉ. 62Aur unhoṉ ne us ke báp ko ishára kiyá, ki Tú us ká nám kyá rakhná cháhtá hai? 63Us ne taḳhtí maṉgáke yih likhá, ki Us ká nám Yúhanná hai; aur sab ne taʻajjub kiyá. 64Usí dam us ká muṉh aur zabán khul gayí, aur wuh bolne aur Ḳhudá kí hamd karne lagá. 65Aur un ke ás pás ke sab rahnewáloṉ par dahshat chhá gayí; aur Yahúdiya ke tamám paháṛí mulk meṉ in sab bátoṉ ká charchá phail gayá. 66Aur sab sunnewáloṉ ne un ko dil meṉ sochkar kahá; To yih laṛká kaisá honewálá hai? Kyúṉki Ḳhudáwand ká háth us par thá.
67Aur us ká báp Zakaryáh Rúhuʼl Quds se bhar gayá, aur nubuwwat kí ráh se kahne lagá, ki
68Ḳhudáwand Isráíl ke Ḳhudá kí hamd ho,
Kyúṉki us ne apní ummat par tawajjuh karke use chhuṭkárá diyá,
69Aur apne ḳhádim Dáúd ke gharáne meṉ
Hamáre liye naját ká síṉg nikálá;
70(Jaísá us ne apne pák nabíoṉ kí zabání kahá thá,
Jo ki dunyá ke shurúʻ se hote áe haiṉ,)
71Yaʻní ham ko hamáre dushmanoṉ se, aur sab kína rakhnewálon ke háth se naját baḳhshí.
72Táki hamáre bápdádá par rahm kare,
Aur apne pák ʻahd ko yád farmáe;
73Yaʻní us qasam ko jo us ne hamáre báp Ibráhím se kháí thí,
74Ki wuh hameṉ yih ʻináyat karegá ki apne dushmanoṉ ke háth se chhúṭkar,
75Us ke huzúr pákízagí aur rástbází se ʻumr bhar beḳhauf us kí ʻibádat kareṉ.
76Aur ai laṛke, tú Ḳhudá Taʻálá ká nabí kahláegá;
Kyúṉki tú Ḳhudáwand ki ráheṉ taiyár karne ko us ke áge áge chalegá;
77Táki us ki ummat ko naját ká ʻilm baḳhshe,
Jo un ko gunáhoṉ kí muʻáfí se hásil ho.
78Yih hamáre Ḳhudá kí ʻain rahmat se hogá,
Jis ke sabab ʻálam i bálá ká áftáb ham par tulúʻ karegá,
79Táki un ko jo andhere aur maut ke sáye meṉ baiṭhe haiṉ raushní baḳhshe,
Aur hamáre qadamoṉ ko salámatí kí ráh par dále.
80Aur wuh laṛká báṛhtá aur rúh meṉ quwwat pátá gayá, aur Isráíl par záhir hone ke din tak jangaloṉ meṉ rahá.
Currently Selected:
Lúqá 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)