1
Marqus 15:34
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur tísre pahar ko Yisúʻ baṛí áwáz se chilláyá, ki Ilohí, Ilohí, lamá shabaqtaní? jis ká tarjuma yih hai; Ai mere Ḳhudá, ai mere Ḳhudá, tú ne mujhe kyúṉ chhoṛ diyá?
Compare
Explore Marqus 15:34
2
Marqus 15:39
Aur jo súbadár us ke sámne khaṛá thá, us ne use yúṉ dam dete húe dekhkar kahá, ki Yih ádmí beshakk Ḳhudá ká Beṭá thá.
Explore Marqus 15:39
3
Marqus 15:38
Aur maqdis ká parda úpar se níche tak phaṭkar do ṭukṛe ho gayá.
Explore Marqus 15:38
4
Marqus 15:37
Phir Yisúʻ baṛi áwáz se chilláyá, aur dam de diyá.
Explore Marqus 15:37
5
Marqus 15:33
Jab do pahar húí, to tamám mulk meṉ andherá chhá gayá, aur tísre pahar tak rahá.
Explore Marqus 15:33
6
Marqus 15:15
Pílátus ne, logoṉ ko ḳhush karne ke iráde se, un ke liye Bar Abbá ko chhoṛ diyá, aur Yísúʻ ko koṛe lagwákar hawále kiyá, táki salíb dí jáe.
Explore Marqus 15:15
Home
Bible
Plans
Videos