1
Marqus 14:36
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
aur kahá; Ai Abbá, ai Báp, tujh se sab kuchh ho saktá hai; is piyále ko mere pás se haṭá le: táham jo maiṉ cháhtá húṉ wuh nahíṉ, balki jo tú cháhtá hai wuhí ho.
Compare
Explore Marqus 14:36
2
Marqus 14:38
Jágo aur duʻá máṉgo, táki ázmáish meṉ na paṛo: rúh to mustaʻidd hai, magar jism kamzor hai.
Explore Marqus 14:38
3
Marqus 14:9
Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Tamám dunyá meṉ, jaháṉ kahíṉ Injíl kí manádí kí jáegí, yih bhí jo is ne kiyá is kí yádgárí meṉ kahá jáegá.
Explore Marqus 14:9
4
Marqus 14:34
aur un se kahá; Merí ján niháyat gamgín hai, yaháṉ tak ki marne kí naubat pahuṉch gayí hai: tum yaháṉ ṭhahro, aur jágte raho.
Explore Marqus 14:34
5
Marqus 14:22
Aur wuh khá hí rahe the ki us ne roṭí lí, aur barakat cháhkar toṛí, aur unheṉ dí, aur kahá, ki Lo, yih merá badan hai.
Explore Marqus 14:22
6
Marqus 14:23-24
Phir us ne piyála lekar shukr kiyá, aur unheṉ diyá; aur un sabhoṉ ne us meṉ se piyá. Aur us ne un se kahá, ki Yih ʻahd ká merá wuh ḳhún hai, jo bahuteroṉ ke liye baháyá játá hai.
Explore Marqus 14:23-24
7
Marqus 14:27
Aur Yisúʻ ne un se kahá; Tum sab ṭhokar kháoge, kyúṉki likhá hai, ki Maiṉ charwáhe ko márúṉgá, aur bheṛeṉ paráganda ho jáeṉgí.
Explore Marqus 14:27
8
Marqus 14:42
Uṭho, chaleṉ: dekho, merá pakaṛwánewálá nazdík á pahuṉchá hai.
Explore Marqus 14:42
9
Marqus 14:30
Yisuʻ ne us se kahá; Maiṉ tujh se sach kahtá húṉ, ki Tú áj isí rát, murg ke do bár báṉg dene se pahle, tín bár merá inkár karegá.
Explore Marqus 14:30
Home
Bible
Plans
Videos