YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 12

12
1Phir us ne un se tamsíloṉ meṉ báteṉ karní shurúʻ kíṉ, aur kahá; Ek shaḳhs ne angúrí bág lagáyá, aur us ke chároṉ taraf iháta ghéra, aur hauz khodá, aur burj banáyá, aur use bágbánoṉ ko ṭheke par dekar pardes chalá gayá. 2Phir phal ke mausim meṉ us ne ek naukar ko bágbánoṉ ke pás bhejá, táki bágbánoṉ se bág ke phaloṉ ká hissa le le. 3Lekin unhoṉ ne use pakaṛke píṭá, aur ḳhálí háth lauṭá diyá. 4Us ne phir ek âur naukar ko un ke pás bhejá; magar unhoṉ ne us ká sir phoṛ diyá aur beʻizzat kar ḍálá. 5Phir us ne ek âur ko bhejá; unhoṉ ne use qatl kiyá: phir âur bahuteroṉ ko bhejá; unhoṉ ne un meṉ se baʻz ko píṭá, aur baʻz ko qatl kiyá. 6Ab ek báqí thá, jo us ká piyárá beṭá thá: us ne áḳhir ko use un ke pás yih kahkar bhejá, ki Wuh mere beṭe ká to liház kareṉge. 7Lekin un bágbánoṉ ne ápas meṉ kahá; Yihí wáris hai; áo, ise qatl kareṉ, to mírás hamárí ho jáegí. 8Pas unhoṉ ne use pakaṛke qatl kiyá, aur bág ke báhar pheṉk diyá. 9Ab bág ká málik kyá karegá? Wuh áegá, aur un bágbánoṉ ko halák karke bág auroṉ ko de degá. 10Kyá tum ne yih nawishta bhí nahíṉ paṛhá, ki
Jis patthar ko miʻmároṉ ne radd kiyá,
Wuhí kone ke sire ká patthar ho gayá:
11Yih Ḳhudáwand kí taraf se húá,
Aur hamárí nazar meṉ ʻajíb hai?
12Is par wuh us ke pakaṛne kí koshish karne lage; magar logoṉ se ḍare; kyúṉki wuh samajh gaye the, ki us ne yih tamsíl ham par kahí: pas use chhoṛkar chale gaye.
13Phir unhoṉ ne baʻz Farísíoṉ aur Herodíoṉ ko us ke pás bhejá, táki bátoṉ meṉ us ko phaṉsáeṉ. 14Aur unhoṉ ne ákar us se kahá; Ai ustád, ham jánte haiṉ, ki tú sachchá hai, aur kisí kí parwá nahíṉ kartá; kyúṉki tú kisí ádmí ká tarafdár nahíṉ, balki sachcháí se Ḳhudá kí ráh kí taʻlím detá hai. 15Pas Qaisar ko jizya dená rawá hai, yá nahíṉ? Ham deṉ, yá na deṉ? Us ne un kí riyákárí maʻlúm karke un se kahá; Tum mujhe kyúṉ ázmáte ho? Mere pás ek dínár láo, ki maiṉ dekhúṉ. 16Wuh le áe. Us ne un se kahá; Yih súrat aur nám kis ká hai? Unhoṉ ne us se kahá, Qaisar ká. 17Yisúʻ ne un se kahá; Jo Qaisar ká hai Qaisar ko, aur jo Ḳhudá ká hai Ḳhudá ko adá karo. Wuh us par baṛá taʻajjub karne lage.
18Phir Sadúqíoṉ ne, jo kahte haiṉ ki qiyámat hai hí nahíṉ, us ke pás ákar us se yih suwál kiyá, ki 19Ai ustád, hamáre liye Músá ne likhá hai, ki Agar kisí ká bháí beaulád mar jáe, aur us kí bíwí rah jáe, to us ká bháí us kí bíwí ko kar le, táki apne bháí ke liye nasl paidá kare. 20Sát bháí the; pahle ne bíwí kí, aur beaulád mar gayá; 21dúsre ne use kar liyá aur beaulád mar gayá; aur isí tarah tísre ne; 22yaháṉ tak ki sátoṉ beaulád mar gaye. Sab ke píchhe ʻaurat bhí mar gayí. 23Qiyámat meṉ yih un meṉ se kis kí bíwí hogí? kyúṉki sátoṉ kí bíwí baní thí. 24Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tum is sabab se gumráh nahíṉ ho, ki na kitáb i muqaddas ko jánte ho, na Ḳhudá kí qudrat ko? 25Kyúṉki jab log murdoṉ meṉ se jí uṭheṉge, to un meṉ biyáh shádí na hogí; balki ásmán par firishtoṉ kí mánind hoṉge. 26Magar is báre meṉ ki murde jí uṭhte haiṉ, kyá tum ne Músá kí kitáb meṉ Jháṛí ke zikr meṉ nahíṉ paṛhá, ki Ḳhudá ne us se kahá, ki Maiṉ Ibráhím ká Ḳhudá, aur Izháq ká Ḳhudá, aur Yaʻqúb ká Ḳhudá húṉ? 27Wuh to murdoṉ ká Ḳhudá nahíṉ, balki zindoṉ ká hai: pas tum baṛe gumráh ho.
28Aur faqíhoṉ meṉ se ek ne un ko bahs karte sunkar ján liyá ki us ne unheṉ ḳhúb jawáb diyá hai. Wuh pás áyá aur us se púchhá, ki Sab hukmoṉ meṉ awwal kaun sá hai? 29Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Awwal yih hai; Ai Isráíl, sun: Ḳhudáwand hamárá Ḳhudá ek hí Ḳhudáwand hai: 30aur tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá se apne sáre dil, aur apní sárí ján, aur apní sárí ʻaql, aur apní sárí táqat se mahabbat rakh. 31Dúsrá yih hai, ki Tú apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakh. In se baṛá âur koí hukm nahíṉ. 32Faqíh ne us se kahá; Ai ustád, kyá ḳhúb! tú ne sach kahá, ki wuh ek hí hai, aur us ke siwá âur koí nahíṉ: 33aur us se sáre dil, aur sárí ʻaql, aur sárí táqat se mahabbat rakhní, aur apne paṛausí se apne barábar mahabbat rakhní sab soḳhtaní qurbáníoṉ aur zabíhoṉ se baṛhkar hai. 34Jab Yisúʻ ne dekhá, ki us ne dánáí se jawáb diyá, to us se kahá; Tú Ḳhudá kí bádsháhat se dúr nahíṉ. Aur phir kisí ne us se suwál karne kíjurʼat na kí.
35Phir Yisúʻ ne haikal meṉ taʻlím dete waqt yih kahá, ki Faqíh kyúṉkar kahte haiṉ, ki Masíh Dáúd ká beṭá hai? 36Dáúd ne ḳhud Rúhuʼl Quds kí hidáyat se kahá hai, ki
Ḳhudáwand ne mere Ḳhudáwand se kahá;
Merí dahiní taraf baiṭh,
Jab tak maiṉ tere dushmanoṉ ko tere páṉwoṉ ke níche kí chaukí na kar dúṉ.
37Dáúd to áp use Ḳhudáwand kahtá hai, phir wuh us ká beṭá kaháṉ se ṭhahrá? Aur ʻámm log ḳhushí se us kí sunte the.
38Phir us ne apní taʻlím meṉ kahá, kí Faqíhoṉ se ḳhabardár raho, jo lambe lambe jáme pahinkar phirná, aur bázároṉ meṉ salám, 39aur ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje kí kursíáṉ, aur ziyáfatoṉ meṉ sadrnishíní cháhte haiṉ; 40aur wuh bewa ʻauratoṉ ke gharoṉ ko dabá baiṭhte haiṉ, aur dikháwe ke liye namáz ko túl dete haiṉ; inheṉ ziyáda sazá hogí.
41Phir wuh haikal ke ḳhazáne ke sámne baiṭhá dekh rahá thá, ki log haikal ke ḳhazáne meṉ paise kis tarah ḍálte haiṉ: aur bahutere daulatmand bahut kuchh ḍál rahe the. 42Itne meṉ ek kaṉgál bewa ne ákar do damṛiyáṉ, yaʻní ek dhelá, ḍálá. 43Us ne apne shágirdoṉ ko pás bulákar un se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki jo haikal ke ḳhazáne meṉ ḍál rahe haiṉ is kaṉgál bewa ne un sab se ziyáda ḍálá; 44kyúṉki sabhoṉ ne apne mál kí bahutát se ḍálá; magar is ne apní nádárí kí hálat meṉ jo kuchh us ká thá, yaʻní apní sárí rozí, ḍál dí.

Currently Selected:

Marqus 12: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in