YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 11

11
1Jab wuh Yarúshalem ke nazdík Zaitún ke paháṛ par Baitfage aur Baitʻaniyyáh ke pás áe, to us ne apne shágirdoṉ meṉ se do ko bhejá, 2aur un se kahá, ki Apne sámne ke gáṉw meṉ jáo, aur us meṉ dáḳhil hote hí ek gadhí ká bachcha bandhá húá tumheṉ milegá, jis par koí ádmí ab tak sawár nahíṉ húá; use khol láo. 3Aur agar koí tum se kahe, ki Tum yih kyúṉ karte ho? to kahná, ki Ḳhudá wand ko darkár hai; wuh fiʼlfaur use yahíṉ wápas bhej degá. 4Pas wuh gaye, aur bachche ko darwáze ke nazdík báhar chauk meṉ bandhá húá páyá, aur use kholne lage. 5Magar jo log waháṉ khaṛe the, un men se baʻz ne un se kahá; Yih kyá karte ho, ki gadhí ká bachcha kholte ho? 6Unhoṉ ne jaisá Yisúʻ ne kahá thá, waisá un se kah diyá: phir unhoṉ ne un ko jáne diyá. 7Pas wuh gadhí ke bachche ko Yisúʻ ke pás láe, aur apne kapṛe us par ḍál diye; aur wuh us par sawár ho gayá. 8Aur bahut logoṉ ne apne kapṛe ráh meṉ bichhá diye, auroṉ ne khetoṉ meṉ se ḍáliyáṉ káṭke phailá dín. 9Aur jo us ke áge áge játe aur píchhe píchhe chale áte the, pukár pukárkar kahte játe the, ki Hoshaʻná; mubárak hai wuh jo Ḳhudáwand ke nám par átá hai; 10mubárak hai hamáre báp Dáúd kí bádsháhat jo á rahí hai: ʻálam i bálá par Hoshaʻná.
11Aur wuh Yarúshalem meṉ dáḳhil hokar haikal meṉ áyá; aur chároṉ taraf sab chízeṉ muláhaza karke, un bárah ke sáth Baitʻaniyyáh ko gayá, kyúṉki shám ká waqt ho gayá thá.
12Dúsre din, jab wuh Baitʻaniyyáh se nikle, us ko bhúk lagí. 13Aur dúr se anjír ká ek daraḳht, jis meṉ patte the, dekhkar gayá, ki sháyad us meṉ kuchh páe: magar jab us ke pás pahuṉchá, to pattoṉ ke siwá kuchh na páyá; kyúṉki anjír ká mausim na thá. 14Us ne us se kahá; Áyanda koí tujh se kabhí phal na kháe. Aur us ke shágirdoṉ ne suná.
15Phir wuh Yarúshalem meṉ áe: aur Yisúʻ haikal meṉ dáḳhil hokar unheṉ jo haikal meṉ ḳharíd o faroḳht kar rahe the báhar nikálne lagá, aur sarráfoṉ ke taḳhte aur kabútar-faroshoṉ kí chaukiyáṉ ulaṭ díṉ; 16aur us ne kisí ko haikal meṉ se hokar koí bartan le jáne na diyá; 17aur apní taʻlím meṉ un se kahá; Kyá yih nahíṉ likhá hai, ki Merá ghar sab qaumoṉ ke liye duʻá ká ghar kahláegá? magar tum ne use dákúoṉ kí khoh baná diyá hai. 18Aur sardár káhin aur faqíh yih sunkar us ke halák karne ká mauqaʻ ḍhúṉḍhne lage: kyúṉki us se ḍarte the, is liye ki sáre ʻámm log us kí taʻlím se hairán hote the.
19Aur roz shám ko wuh shahr se báhar jáyá kartá thá.
20Phir subh ko jab wuh udhar se guzre, to us anjír ke daraḳht ko jaṛ tak súkhá húá dekhá. 21Patras ko wuh bát yád áí aur us se kahá; Ai Rabbí, dekh, yih anjír ká daraḳht, jis par tú ne laʻnat kí thí, súkh gayá hai. 22Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá: Ḳhudá par ímán rakkho. 23Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jo koí is paháṛ se kahe; Tú ukhaṛ já, aur samundar meṉ já paṛ, aur apne dil meṉ shakk na kare, balki yaqín kare, ki jo kahtá hai wuh ho jáegá, to us ke liye wuhí hogá. 24Is liye maiṉ tum se kahtá húṉ, ki jo kuchh tum duʻá meṉ máṉgte ho, yaqín karo ki tum ko mil gayá, aur tumháre liye ho jáegá. 25Aur jab kabhí tum khaṛe húe duʻá máṉgte ho, agar tumheṉ kisí se kuchh shikáyat ho, to use muʻáf karo; tákí tumhárá Báp bhí jo ásmán par hai tumháre qusúr muʻáf kare. [26Aur agar tum muʻáf na karoge, to tumhárá Báp jo ásmán par hai tumháre qusúr bhí muʻáf na karegá.]
27Wuh phir Yarúshalem meṉ áe: aur jab wuh haikal meṉ phir rahá thá, to sardár káhin aur faqíh aur buzurg us ke pás áe, 28aur us se kahá; Tú in kámoṉ ko kis iḳhtiyár se kartá hai? yá kis ne tujhe yih iḳhtiyár diyá, ki in kámoṉ ko kare? 29Yisúʻ ne un se kahá, ki Maiṉ tum se ek bát púchhtá húṉ; tum jawáb do, to maiṉ tumheṉ batáúṉgá, kí in kámoṉ ko kís iḳhtiyár se kartá húṉ. 30Yúhanná ká baptisma ásmán kí taraf se thá, yá insán kí taraf se? mujhe jawáb do. 31Wuh ápas meṉ saláh karne lage, ki Agar ham kaheṉ, Ásmán kí taraf se, to wuh kahegá; Phir tum ne kyúṉ us ká yaqín na kiyá? 32Aur agar kaheṉ; Insán kí taraf se — to logoṉ ká ḍar thá, is liye ki sab log wáqaʻí Yúhanná ko nabí jánte the. 33Pas unhoṉ ne jawáb meṉ Yisúʻ se kahá; Ham jánte nahíṉ. Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ bhí tumheṉ nahíṉ batátá, ki in kámoṉ ko kis iḳhtiyár se kartá húṉ.

Currently Selected:

Marqus 11: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in