YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 13

13
1Jab wuh haikal se báhar já rahá thá, to us ke shágirdoṉ meṉ se ek ne us se kahá; Ai ustád, dekh, yih kaise kaise patthar aur kaisí kaisí ʻimárateṉ haiṉ! 2Yisúʻ ne us se kahá; Tú in baṛí baṛí ʻimáratoṉ ko dekhtá hai? yaháṉ kisí patthar par patthar báqí na rahegá, jo giráyá na jáe.
3Jab wuh Zaítún ke paháṛ par haikal ke sámne baiṭhá thá, to Patras aur Yaʻqúb aur Yúhanná aur Andriyás ne akele meṉ us se púchhá; 4Hameṉ batá, ki yih báteṉ kab hoṉgí? aur jab yih sárí báteṉ púrí hone ko hoṉ, us waqt ká kyá nishán hai? 5Yisúʻ ne un se kahná shurúʻ kiyá; Ḳhabardár, koí tumheṉ gumráh na kar de. 6Bahutere mere nám se áeṉge, aur kaheṉge, ki Wuh maiṉ hí húṉ; aur bahut se logoṉ ko gumráh kareṉge. 7Aur jab tum laṛáiyáṉ, aur laṛáiyoṉ kí afwáheṉ suno, to ghabrá na jáná: in ká wáqiʻ honá zarúr hai; lekin us waqt ḳhátima na hogá. 8Kyúṉki qaum par qaum, aur bádsháhat par bádsháhat chaṛháí karegí; jagah jagah bhauṉchál áeṉge, aur kál paṛeṉge: yih báteṉ musíbatoṉ ká shurúʻ hí hoṉgí.
9Lekin tum ḳhabardár raho; kyúṉki log tumheṉ ʻadálatoṉ ke hawále kareṉge, aur tum ʻibádatḳhánoṉ meṉ píṭe jáoge, aur hákimoṉ aur bádsháhoṉ ke áge mere sabab házir kíye jáoge, táki un ke liye gawáhí ho. 10Aur zarúr hai ki pahle sab qaumoṉ meṉ Injíl kí manádí kí jáe. 11Lekin jab tumheṉ le jákar hawále kareṉ, to pahle se andesha na karná, ki ham kyá kaheṉ; balki jo kuchh us ghaṛí tumheṉ batáyá jáe, wuhí kahná; kyúṉki kahnewále tum nahíṉ ho, balki Rúhuʼl Quds hai. 12Aur bháí ko bháí aur beṭe ko báp qatl ke liye hawále karegá, aur beṭe máṉ báp ke barḳhiláf khaṛe hokar unheṉ marwá ḍáleṉge. 13Aur mere nám ke sabab sab log tum se ʻadáwat rakkheṉge: magar jo áḳhir tak bardásht karegá, wuh naját páegá.
14Pas jab tum us ujáṛnewálí makrúh chíz ko us jagah khaṛá húá dekho, jaháṉ us ká khaṛá honá rawá nahíṉ (paṛhnewálá samajh le), us waqt jo Yahúdiya meṉ hoṉ, wuh paháṛoṉ par bhág jáeṉ; 15jo koṭhe par ho, wuh apne ghar se kuchh lene ko na níche utre, na andar jáe: 16aur jo khet meṉ ho, wuh apná kapṛá lene ko píchhe na lauṭe. 17Magar un par afsos hai, jo un dínoṉ meṉ hámila hoṉ, aur jo dúdh pílátí hoṉ! 18Aur duʻá máṉgo, ki yih jáṛoṉ meṉ na ho. 19Kyúṉki wuh din aisí musíbat ke hoṉge, ki ḳhilqat ke shurúʻ se, jise Ḳhudá ne ḳhalq kiyá, na ab tak húí hai, na kabhí hogí. 20Aur agar Ḳhudáwand un dinoṉ ko na ghaṭátá, to koí bashar na bachtá: magar un barguzídoṉ kí ḳhátir, jin ko us ne chuná hai, un dinoṉ ko ghaṭáyá. 21Aur us waqt agar koí tum se kahe, ki Dekho, Masíh yaháṉ, yá Dekho, waháṉ hai, to yaqín na karná: 22kyúṉki jhúṭhe Masíh aur jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur nishán aur ʻajíb kám dikháeṉge, táki agar mumkin ho to barguzídoṉ ko bhí gumráh kar deṉ. 23Lekin tum ḳhabardár raho: dekho, maiṉ ne tum se sab kuchh pahle hí kah diyá hai.
24Magar un dinoṉ meṉ, us musíbat ke baʻd, súraj tárík ho jáegá, aur chánd apní raushní na degá, 25aur ásmán se sitáre girne lageṉge, aur jo quwwateṉ ásmán meṉ haiṉ, wuh hiláí jáeṉgí. 26Aur us waqt log Ibn i Ádam ko baṛí qudrat aur jalál ke sáth bádaloṉ meṉ áte dekheṉge. 27Us waqt wuh firishtoṉ ko bhejkar apne barguzídoṉ ko, zamín ke sire se ásmán ke sire tak, chároṉ taraf se jamaʻ karegá.
28Ab anjír ke daraḳht se ek tamsíl síkho: júṉhí us kí ḍálí narm hotí, aur patte nikalte haiṉ, tum ján lete ho, ki garmí nazdík hai; 29isí tarah jab tum in bátoṉ ko hote dekho, to ján lo ki wuh nazdík, balki darwáze par hai. 30Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki jab tak yih sab báteṉ na ho leṉ, yih nasl hargiz tamám na hogí. 31Ásmán aur zamín ṭal jáeṉge: lekin merí báteṉ na ṭaleṉgí. 32Lekin us din yá us ghaṛí kí bábat koí nahíṉ jántá, na ásmán ke firishte, na Beṭá, magar Báp. 33Ḳhabardár, jágte aur duʻá máṉgte raho; kyúṉki tum nahíṉ jánte, ki wuh waqt kab áegá. 34Yih us ádmí ká sá hál hai, jo pardes gayá húá hai, aur us ne ghar chhoṛte waqt apne naukaroṉ ko iḳhtiyár diyá, yaʻní har ek ko us ká kám batá diyá, aur darbán ko hukm diyá, ki Jágtá rah. 35Pas jágte raho: kyúṉki tum nahíṉ jánte ki ghar ká málik kab áegá; shám ko, yá ádhi rát ko, yá murg ke báṉg dete waqt, yá subh ko; 36aisá na ho ki achának ákar wuh tum ko sotá páe. 37Aur jo maiṉ tum se kahtá húṉ, wuhí sab se kahtá húṉ, ki Jágte raho.

Currently Selected:

Marqus 13: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in