YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 1

1
1Ḳhudá ke Beṭe Yisúʻ Masíh kí ḳhushḳhabarí ká shurúʻ.
2Jaisá Yashaʻyáh nabí ke sahífe meṉ likhá hai, ki
Dekh, maiṉ apná paigambar tere áge bhejtá húṉ,
Jo terí ráh taiyár karegá;
3Biyábán meṉ pukárnewále kí áwáz átí hai, ki
Ḳhudáwand kí ráh taiyár karo,
Us ke ráste sídhe banáo;
4Yúhanná áyá, aur biyábán meṉ baptisma detá, aur gunáhoṉ kí muʻáfí ke liye tauba ke baptisma kí manádí kartá thá. 5Aur Yahúdiya ke mulk ke sab log aur Yarúshalem ke sab rahnewále nikalkar us ke pás gaye, aur apne gunáhoṉ ká iqrár karke daryá e Yardan meṉ us se baptisma liyá. 6Aur Yúhanná úṉṭ ke báloṉ ká libás pahine, aur chamṛe ká paṭká apní kamar se báṉdhe rahtá, aur ṭiḍḍiyáṉ aur janglí shahd khátá thá; 7aur yih manádí kartá thá, ki Mere baʻd wuh shaḳhs ánewálá hai, jo mujh se zoráwar hai; maiṉ is láiq nahíṉ ki jhukkar us kí jútiyoṉ ká tasma kholúṉ. 8Maiṉ ne to tumheṉ pání se baptisma diyá, magar wuh tumheṉ Rúhuʼl Quds se baptisma degá.
9Aur uṉ dinoṉ aisá húá, ki Yisúʻ ne Galíl ke Násarat se ákar Yardan meṉ Yúhanná se baptisma liyá. 10Aur jab wuh pání se nikalkar úpar áyá, to fiʼlfaur us ne ásmán ko phaṭte, aur Rúh ko kabútar kí mánind apne úpar utarte dekhá: 11aur ásmán se áwáz áí, ki Tú merá piyárá Beṭá hai, tujh se maiṉ ḳhush húṉ.
12Aur fiʼlfaur Rúh ne use biyábán meṉ bhej diyá. 13Aur wuh biyábán meṉ chálís din tak Shaitán se ázmáyá gayá; aur janglí jánwaroṉ ke sáth rahá kiyá; aur firishte us kí ḳhidmat karte rahe.
14Phir Yúhanná ke pakaṛwáe jáne ke baʻd Yisúʻ ne Galíl meṉ ákar Ḳhudá kí ḳhushḳhabarí kí manádí kí, 15aur kahá, ki Waqt púrá ho gayá hai, aur Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á gayí hai; tauba karo, aur ḳhushḳhabari ko máno.
16Aur Galíl kí jhíl ke kanáre kanáre játe húe, us ne Shamaʻún aur Shamaʻún ke bháí Andriyás ko jhíl meṉ jál dálte dekhá; kyúṉki wuh machhliyoṉ ke pakaṛnewále the. 17Aur Yisúʻ ne un se kahá; Mere píchhe chale áo, to maiṉ tumheṉ ádmíoṉ ká pakaṛnewálá banáúṉgá. 18Wuh fiʼlfaur jáloṉ ko chhoṛkar us ke píchhe ho liye. 19Aur thoṛí dúr baṛhkar, us ne Zabdí ke beṭe Yaʻqúb aur us ke bháí Yúhanná ko, kishtí par jáloṉ kí marammat karte dekhá. 20Us ne fiʼlfaur unheṉ buláyá; aur wuh apne báp Zabdí ko kishtí par mazdúroṉ ke sáth chhoṛkar us ke píchhe chale gaye.
21Phir wuh Kafarnahúm meṉ dáḳhil húe, aur wuh fiʼlfaur sabt ke din ʻibádatḳháne meṉ jákar taʻlím dene lagá. 22Aur log us kí taʻlím se hairán húe; kyúṉki wuh un ko faqíhoṉ kí tarah nahíṉ, balki sáhib i iḳhtiyár kí tarah taʻlím detá thá. 23Aur fiʼlfaur un ke ʻibádatḳháne meṉ ek shaḳhs milá, jis meṉ nápák rúh thí; wuh yúṉ kahkar chilláyá, 24ki Ai Yisúʻ Násarí! hameṉ tujh se kyá kám? Kyá tú hameṉ halák karne áyá hai? Maiṉ tujhe jántá húṉ, ki tú kaun hai — Ḳhudá ká Quddús hai. 25Yisúʻne use jhiṛakkar kahá, Chup rah, aur us meṉ se nikal já. 26Pas wuh nápák rúh use maroṛkar, aur baṛí áwáz se chillákar, us meṉ se nikal gayí. 27Aur sab log hairán húe, aur ápas meṉ yih kahkar bahs kame lage, ki Yih kyá hai? Yih to nayí taʻlím hai! Wuh nápák rúhoṉ ko bhí iḳhtiyár ke sáth hukm detá hai, aur wuh us ká hukm mántí haiṉ. 28Aur fiʼlfaur us kí shuhrat Galíl kí us tamám nawáhí meṉ har jagah phail gayí.
29Aur wuh fiʼlfaur ʻibádatḳháne se nikalkar, Yaʻqúb aur Yúhanná ke sáth Shamaʻún aur Andriyás ke ghar áe. 30Shamaʻún kí sás tap meṉ paṛí thí, aur unhoṉ ne fiʼlfaur us kí ḳhabar use dí. 31Us ne pás jákar, aur us ká háth pakaṛke, use uṭháyá, aur tap us par se utar gayí, aur wuh un kí ḳhidmat karne lagí.
32Shám ko jab súraj dúb gayá, to log sáre bímároṉ ko aur un ko jin meṉ badrúheṉ thíṉ us ke pás láe. 33Aur sárá shahr darwáze par jamaʻ ho gayá. 34Aur us ne bahutoṉ ko, jo tarah tarah kí bímáríoṉ meṉ giriftár the, achchhá kiyá, aur bahut sí badrúhoṉ ko nikálá; aur badrúhoṉ ko bolne na diyá, kyúṉki wuh use pahchántí thíṉ.
35Aur subh hí, din nikalne se bahut pahle, wuh uṭhkar niklá, aur ek wírán jagah meṉ gayá, aur waháṉ duʻá máṉgí. 36Aur Shamaʻún aur us ke sáthí us ke píchhe gaye; 37aur jab wuh milá, to us se kahá, ki Sab log tujhe ḍhúṉḍh rahe haíṉ. 38Us ne un se kahá; Áo, ham âur kahíṉ ás pás ke shahroṉ meṉ chaleṉ, táki maiṉ waháṉ bhí manádí karúṉ, kyúṉki maiṉ isí liye niklá húṉ. 39Aur wuh sáre Galíl meṉ un ke ʻibádatḳhánoṉ meṉ já jákar manádí kartá, aur badrúhoṉ ko nikáltá rahá. 40Aur ek koṛhí ne us ke pás ákar us kí minnat kí, aur us ke sámne ghuṭne ṭekkar us se kahá; Agar tú cháhe, to mujhe pák sáf kar saktá hai. 41Us ne us par tars khákar háth baṛháyá, aur use chhúkar us se kahá; Maiṉ cháhtá húṉ, tú pák sáf ho já. 42Aur fiʼlfaur us ká koṛh játá rahá, aur wuh pák sáf ho gayá. 43Aur us ne use tákíd karke fiʼlfaur ruḳhsat kiyá, 44aur us se kahá; Ḳhabardár, kisí se kuchh na kahná, magar jákar apne taíṉ káhin ko dikhá, aur apne pák sáf ho jáne kí bábat un chízoṉ ko jo Músá ne muqarrar kíṉ, nazr guzrán, táki un ke liye gawáhí ho. 45Lekin wuh báhar jákar bahut charchá karne lagá, aur is bát ko aisá mashhúr kiyá, ki Yisúʻ shahr meṉ phir záhirá dáḳhil na ho saká, balki báhar wírán maqámoṉ meṉ rahá; aur log chároṉ taraf se us ke pás áte the.

Currently Selected:

Marqus 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in