Matí 28
28
1Aur sabt ke baʻd hafte ke pahle din, pau phaṭte waqt, Maryam Magdalíní aur dúsrí Maryam qabr ko dekhne áíṉ. 2Aur dekho, ek baṛá bhauṉchál áyá, kyúṉki Ḳhudáwand ká firishta ásmán se utrá, aur pás ákar patthar ko luṛkhá diyá, aur us par baiṭh gayá. 3Us kí súrat bijlí kí mánind thí, aur us kí poshák barf kí mánind safed thí: 4aur us ke dar ke máre nigahbán káṉp uṭhe, aur murda se ho gaye. 5Firishte ne ʻauratoṉ se kahá; Tum na daro, kyúṉki maiṉ jántá húṉ, ki tum Yisúʻ ko ḍhúṉḍhtí ho, jo maslúb húá thá. 6Wuh yaháṉ nahíṉ hai, kyúṉki apne kahne ke muwáfiq jí uṭhá haí; áo, yih jagah dekho, jaháṉ Ḳhudáwand paṛá thá; 7aur jald jákar us ke shágirdoṉ se kaho, ki Wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai; aur dekho, wuh tum se pahlé Galíl ko játá hai; waháṉ tum use dekhoge; dekho, maiṉ ne tum se kah diyá. 8Aur wuh ḳhauf aur baṛí ḳhushí ke sáth qabr se jald rawána hokar, us ke shágirdoṉ ko ḳhabar dene dauṛíṉ. 9Aur dekho, Yisúʻ unheṉ milá, aur kahá; Salám. Unhoṉ ne pás ákar us ke qadam pakṛe, aur use sijda kiyá. 10Is par Yisúʻ ne un se kahá; Daro nahíṉ; jáo, mere bháiyoṉ ko ḳhabar do, táki Galíl ko chale jáeṉ; waháṉ mujhe dekheṉge.
11Jab wuh já rahí thíṉ, to dekho, pahrewáloṉ meṉ se baʻz ne shahr meṉ ákar tamám májará sardár káhinoṉ se bayán kiyá. 12Aur unhoṉ ne buzurgoṉ ke sáth jamaʻ hokar saláh kí, aur sipáhíoṉ ko bahut rupaye diye aur bole; 13Yih kah dená, ki Rát ko jab ham sote the, to us ke shágird ákar use churá le gaye. 14Aur agar yih bát hákim ke kán tak pahuṉchí, to ham use samjhákar tumheṉ ḳhatre se bachá leṉge. 15Pas unhoṉ ne rupaye lekar, jaisá sikháe gaye the, waisá hí kiyá; aur yih bát áj tak Yahúdíoṉ meṉ mashhúr hai.
16Aur gyárah shágird Galíl ke us paháṛ par gaye, jo Yisúʻ ne un ke liye muqarrar kiyá thá. 17Aur use dekhkar sijda kiyá, magar baʻz ne shakk kiyá. 18Yisúʻ ne pás ákar un se báteṉ kíṉ, aur kahá, ki Ásmán aur zamín ka kull iḳhtiyár mujhe diyá gayá hai. 19Pas tum jákar sab qaumoṉ ko shágird banáo, aur unheṉ Báp aur Beṭe aur Rúhuʼl Quds ke nám par baptisma do; 20aur unheṉ yih taʻlím do, ki un sab bátoṉ par ʻamal kareṉ jin ká maiṉ ne tum ko hukm diyá; aur dekho, maiṉ dunyá ke áḳhir tak hamesha tumháre sáth húṉ.
Currently Selected:
Matí 28: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)