1
Marqus 1:35
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur subh hí, din nikalne se bahut pahle, wuh uṭhkar niklá, aur ek wírán jagah meṉ gayá, aur waháṉ duʻá máṉgí.
Compare
Explore Marqus 1:35
2
Marqus 1:15
aur kahá, ki Waqt púrá ho gayá hai, aur Ḳhudá kí bádsháhat nazdík á gayí hai; tauba karo, aur ḳhushḳhabari ko máno.
Explore Marqus 1:15
3
Marqus 1:10-11
Aur jab wuh pání se nikalkar úpar áyá, to fiʼlfaur us ne ásmán ko phaṭte, aur Rúh ko kabútar kí mánind apne úpar utarte dekhá: aur ásmán se áwáz áí, ki Tú merá piyárá Beṭá hai, tujh se maiṉ ḳhush húṉ.
Explore Marqus 1:10-11
4
Marqus 1:8
Maiṉ ne to tumheṉ pání se baptisma diyá, magar wuh tumheṉ Rúhuʼl Quds se baptisma degá.
Explore Marqus 1:8
5
Marqus 1:17-18
Aur Yisúʻ ne un se kahá; Mere píchhe chale áo, to maiṉ tumheṉ ádmíoṉ ká pakaṛnewálá banáúṉgá. Wuh fiʼlfaur jáloṉ ko chhoṛkar us ke píchhe ho liye.
Explore Marqus 1:17-18
6
Marqus 1:22
Aur log us kí taʻlím se hairán húe; kyúṉki wuh un ko faqíhoṉ kí tarah nahíṉ, balki sáhib i iḳhtiyár kí tarah taʻlím detá thá.
Explore Marqus 1:22
Home
Bible
Plans
Videos