Matí 25
25
1Us waqt ásmán kíi bádsháhat un das kuṉwáriyoṉ kí mánind hogí, jo apní apní mashʻaleṉ lekar dulhá ke istiqbál ko niklíṉ. 2Un meṉ páṉch bewuqúf, aur páṉch ʻaqlmand thíṉ. 3Jo bewuqúf thíṉ, unhoṉ ne apní mashʻaleṉ to le líṉ, magar tel apne sáth na liyá. 4Magar ʻaqlmandoṉ ne apní mashʻaloṉ ke sáth apní kuppiyoṉ meṉ tel bhí le liyá. 5Aur jab dulhá ne der lagáí, to sab úṉghne lagíṉ aur so gayíṉ. 6Ádhí rát ko dhúm machí, ki Dekho, dulhá á gayá! Us ke istiqbál ko niklo. 7Us waqt wuh sab kuṉwáriyáṉ uṭhkar apní apní mashʻaleṉ durust karne lagíṉ. 8Aur bewuqúfoṉ ne ʻaqlmandoṉ se kahá, ki Apne tel meṉ se kuchh hameṉ bhí de do; kyúṉki hamárí mashʻaleṉ bujhí játí haiṉ. 9ʻAqlmandoṉ ne jawáb meṉ kahá, ki Sháyad hamáre tumháre donoṉ ke liye púrá na ho; bihtar yih hai, ki bechnewáloṉ ke pás jákar apne wáste mol le lo. 10Jab wuh mol lene já rahí thíṉ, to dulhá á pahuṉchá; aur jo taiyár thíṉ, wuh us ke sáth sháḍí meṉ chalí gayíṉ, aur darwáza band kiyá gayá. 11Píchhe wuh báqí kuṉwáriyáṉ bhí áíṉ aur kahne lagíṉ; Ai Ḳhudáwand, ai Ḳhudáwand, hamáre liye darwáza khol de. 12Us ne jawáb meṉ kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki maiṉ tumheṉ nahíṉ jántá. 13Pas jágte raho, kyúṉki tum na us din ko jánte ho, na us ghaṛí ko.
14Kyúṉki yih us ádmí ká sá hál hai, jis ne pardes játe waqt, apne ghar ke naukaroṉ ko bulákar, apná mál un ke supurd kiyá. 15Aur ek ko páṉch toṛe diye, dúsre ko do, tísre ko ek; yaʻní har ek ko us kí liyáqat ke muwáfiq diyá, aur pardes chala gayá. 16Jis ko páṉch toṛe mile the, us ne fauran jákar un se len den kiyá, aur páṉch toṛe âur paidá kar liye. 17Isí tarah jise do mile the, us ne bhí do âur kamáe. 18Magar jis ko ek milá thá, us ne jákar zamín khodí, aur apne málik ká rupaya chhipá diyá. 19Baṛí muddat ke baʻd un naukaroṉ ká málik áyá, aur un se hisáb lene lagá. 20Jis ko páṉch toṛe mile the, wuh páṉch tore âur lekar áyá, aur kahá; Ai Ḳhudáwand, tú ne páṉch toṛe meré supurd kiye the; dekh, maiṉ ne páṉch toṛe âur kamáe. 21Us ke málik ne us se kahá; Ai achchhe aur diyánatdár naukar, shábásh! tú thore meṉ diyánatdár rahá, maiṉ tujhe bahut chízoṉ ká muḳhtár banáúṉgá: apne málik kí ḳhushí meṉ sharík ho. 22Aur jis ko do toṛe mile the, us ne bhí pás ákar kahá; Ai Ḳhudáwand, tú ne do toṛe mere supurd kiye the; dekh, maiṉ ne do toṛe âur kamáe. 23Us ke málik ne us se kahá; Ai achchhe aur díyánatdár naukar, shábásh! tú thoṛe meṉ diyánatdár rahá, maiṉ tujhe bahut chízoṉ ká muḳhtár banáúṉgá; apne málik kí ḳhushí meṉ sharík ho. 24Aur jis ko ek toṛá milá thá, wuh bhí pás ákar kahne lagá; Ai Ḳhudáwand, maiṉ tujhe jántá thá, kí tu saḳht ádmí hai, aur jaháṉ nahíṉ boyá, waháṉ se káṭtá hai, aur jaháṉ nahíṉ bakherá, waháṉ se jamaʻ kartá hai; 25pas maiṉ ḍará, aur jákar terá toṛá zamín meṉ chhipá diyá: dekh, jo terá hai wuh maujúd hai. 26Us ke málik ne jawáb meṉ us se kahá; Ai sharír aur sust naukar, tú jántá thá, ki jaháṉ maiṉ ne nahíṉ boyá, waháṉ se káṭtá húṉ, aur jaháṉ maiṉ ne nahíṉ bakherá, waháṉ se jamaʻ kartá húṉ; 27pas tujhe lázim thá, ki merá rupaya sáhúkároṉ ko detá, to maiṉ ákar apná mál súd samet le letá. 28Pas is se wuh toṛá le lo, aur jis ke pás das toṛe haiṉ, use de do. 29Kyúṉki jis kisí ke pás hai, use diyá jáegá, aur us ke pás ziyáda ho jáegá; magar jis ke pás nahíṉ hai, us se wuh bhí, jo us ke pás hai, le liyá jáegá. 30Aur is nikamme naukar ko báhar andhere meṉ ḍál do; waháṉ roná aur dáṉtoṉ ká písná hogá.
31Jab Ibn i Ádam apne jalál meṉ áegá, aur sab firishte us ke sáth áeṉge, to us waqt wuh apne jalál ke taḳht par baiṭhegá; 32aur sab qaumeṉ us ke sámne jamaʻ kí jáeṉgí, aur wuh ek ko dúsre se judá karegá, jaise charwáhá bheṛoṉ ko bakriyoṉ se judá kartá hai; 33aur bheṛoṉ ko apne dahine, aur bakriyoṉ ko báeṉ khaṛá karegá. 34Us waqt bádsháh apne dahiní tarafwáloṉ se kahegá, ki Áo, mere Báp ke mubárak logo; jo bádsháhat biná e ʻálam ke waqt se tumháre liye taiyár kí gayí hai, use mírás meṉ lo; 35kyúṉki maiṉ bhúká thá, tum ne mujhe kháná khiláyá; maiṉ piyásá thá, tum ne mujhe pání piláyá; maiṉ pardesí thá, tum ne mujhe apne ghar meṉ utárá; 36naṉgá thá, tum ne mujhe kapṛá pahináyá; bímár thá, tum ne merí ḳhabar lí; qaid meṉ thá, tum mere pás áe. 37Tab rástbáz jawáb meṉ us se kaheṉge; Ai Ḳhudáwand, ham ne kab tujhe bhúká dekhkar kháná khiláyá, yá piyásá dekhkar pání piláyá? 38ham ne kab tujhe pardesí dekhkar ghar meṉ utárá? yá naṉgá dekhkar kapṛá pahináyá? 39ham kab tujhe bímár yá qaid meṉ dekhkar tere pás áe? 40Bádsháh jawáb meṉ un se kahegá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, chúṉki tum ne mere in sab se chhoṭe bháiyoṉ meṉ se kisí ek ke sáth yih kiyá, is liye mere hí sáth kiyá. 41Phir wuh báíṉ tarafwáloṉ se kahegá; Ai malʻúno, mere sámne se us hamesha kí ág meṉ chale jáo, jo Iblís aur us ke firishtoṉ ke liye taiyár kí gayí hai; 42kyúṉki maiṉ bhúká thá, tum ne mujhe kháná na khiláyá; piyásá thá, tum ne mujhe pání na piláyá; 43pardesí thá, tum ne mujhe ghar meṉ na utárá; naṉgá thá, tum ne mujhe kapṛá na pahináyá; bímár aur qaid meṉ thá, tum ne merí ḳhabar na lí. 44Tab wuh bhí jawáb meṉ kaheṉge; Ai Ḳhudáwand, ham ne kab tujhe bhúká, yá piyásá, yá pardesí, yá naṉgá, yá bímár, yá qaid meṉ dekhkar terí ḳhidmat na kí? 45Us waqt wuh un se jawáb meṉ kahegá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, chúṉki tum ne in sab se chhoṭoṉ meṉ se kisí ek ke sáth yih na kiyá, is liye mere sáth na kiyá. 46Aur yih hamesha kí sazá páeṉge, magar rástbáz hamesha kí zindagí.
Currently Selected:
Matí 25: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)