Matí 24
24
1Aur Yisúʻ haikal se nikalkar já rahá thá, kí us ke shágird us ke pás áe, táki use haikal ki ʻimárateṉ dikháeṉ. 2Us ne jawáb meṉ un se kahá; Kyá tum in sab chízoṉ ko nahíṉ dekhte? Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Yaháṉ kisí patthar par patthar báqí na rahegá, jo giráyá na jaegá.
3Aur jab wuh Zaitún ke paháṛ par baiṭhá thá, to us ke shágird alag us ke pás ákar bole; Hameṉ batá ki yih báteṉ kab hoṉgi? aur tere áne aur dunyá ke áḳhir hone ká nishán kyá hogá? 4Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Ḳhabardár, koí tumheṉ gumráh na kar de. 5Kyúṉki bahutere mere nám se áeṉge, aur kaheṉge ki Maiṉ Masih húṉ, aur bahut se logoṉ ko gumráh kareṉge. 6Aur tum laiṛáiyáṉ, aur laṛáiyoṉ kí afwáh sunoge; ḳhabardár, ghabrá na jáná; kyúṉki in bátoṉ ká wáqiʻ honá zarúr hai, lekin us waqt ḳhátima na hogá. 7Kyúṉki qaum par qaum, aur bádsháhat par bádsháhat chaṛhái karegí; aur jagah jagah kál paṛeṉge, aur bhauṉchál áeṉge. 8Lekin yih sab báteṉ musíbatoṉ ká shurúʻ hí hoṉgí. 9Us waqt log tumheṉ taklíf dene ke liye pakaṛwáeṉge, aur tumheṉ qatl kareṉge, aur mere nám ke sabab sárí qaumeṉ tum se ʻadáwat rakkheṉgí. 10Aur us waqt bahutere ṭhokar kháeṉge, aur ek dúsre ko pakaṛwáeṉge, aur ek dúsre se ʻadáwat rakkheṉge. 11Aur bahut se jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur bahuteroṉ ko gumráh kareṉge. 12Aur bedíní ke baṛh jáne ke sabab bahuteroṉ kí mahabbat ṭhandí paṛ jáegí. 13Magar jo áḳhir tak bardásht karegá, wuh naját páegá. 14Aur bádsháhat kí is ḳhushḳhabarí kí manádi tamám dunyá meṉ hogí, táki sab qaumoṉ ke liye gawáhí ho; aur us waqt ḳhátima hogá.
15Pas jab tum us ujáṛnewálí makrúh chíz ko, jis ká zikr Dániyál nabí kí maʻrifat húá, muqaddas maqám meṉ khaṛá húá dekho, (paṛhnewálá samajh le,) 16to jo Yahúdiya meṉ hoṉ, wuh paháṛoṉ par bhág jáeṉ: 17jo koṭhe par ho, wuh apne ghar ká asbáb lene ko níche na utre; 18aur jo khet meṉ ho, wuh apná kapṛá lene ko píchhe na lauṭe. 19Magar un par afsos hai, jo un dinoṉ meṉ hámila hoṉ, aur jo dúdh pilátí hoṉ! 20Pas duʻá máṉgo, ki tumheṉ jáṛoṉ meṉ yá Sabt ke din bhágná na paṛe; 21kyúṉki us waqt aisí baṛí musíbat hogí, ki dunyá ke shurúʻ se na ab tak húí, na kabhí hogí. 22Aur agar wuh din ghaṭáe na játe, to koí bashar na bachtá; magar barguzídoṉ kí ḳhátir wuh din ghaṭáe jáeṉge. 23Us waqt agar koí tum se kahe, ki Dekho, Masíh yaháṉ hai, yá waháṉ hai, to yaqín na karná. 24Kyúṉki jhúṭhe Masíh aur jhúṭhe nabí uṭh khaṛe hoṉge, aur aise baṛe nishán aur ʻajíb kám dikháeṉge, ki agar mumkin ho, to barguzídoṉ ko bhí gumráh kar leṉ. 25Dekho, maiṉ ne pahle hí tum se kah diyá hai. 26Pas agar wuh tum se kaheṉ, ki Dekho, wuh biyábán meṉ hai, to báhar na jáná; Dekho, wuh koṭhriyoṉ meṉ hai, to yaqín na karná. 27Kyúṉki jaise bijlí púrab se kauṉdhkar pachchhim tak dikháí detí hai, waise hí Ibn i Ádam ká áná hogá. 28Jaháṉ murdár hai, waháṉ giddh jamaʻ ho jáeṉge.
29Aur fauran un dinoṉ kí musíbat ke baʻd súraj tárík ho jáegá, aur chánd apní raushní na degá, aur sitáre ásmán se gireṉge, aur ásmánoṉ kí quwwateṉ hiláí jáeṉgí: 30aur us waqt Ibn i Ádam ká nishán ásmán par dikháí degá; aur us waqt zamín kí sárí qaumeṉ chhátí píṭeṉgí aur Ibn i Ádam ko baṛí qudrat aur jalál ke sáth ásmán ke bádaloṉ par áte dekheṉgí. 31Aur wuh narsinge kí baṛí áwáz ke sáth apne firishtoṉ ko bhejegá, aur wuh us ke barguzídoṉ ko chároṉ taraf se ásmán ke is sire se us sire tak jamaʻ kareṉge.
32Ab anjír ke daraḳht se ek tamsíl síkho: júṉhí us kí ḍálí narm hotí aur patte nikalte haiṉ tum ján lete ho, ki garmí nazdík hai: 33isí tarah jab tum in sab bátoṉ ko dekho, to ján lo ki wuh nazdík, balki darwáze par hai. 34Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jab tak yih sab báteṉ na ho leṉ, yih nasl hargiz tamám na hogí. 35Ásmán aur zamín ṭal jáeṉge, lekin merí báteṉ hargiz na ṭaleṉgí. 36Lekin us din aur us ghaṛí kí bábat koí nahíṉ jántá, na ásmán ke firishte, na Beṭá, magar sirf Báp. 37Jaisá Núh ke dinoṉ meṉ húá, waisá hí Ibn i Ádam ke áne ke waqt hogá. 38Kyúṉki jis tarah túfán se pahle ke dinoṉ meṉ log kháte píte the, aur un meṉ biyáh shádí hotí thí, us din tak, ki Núh kishtí meṉ dáḳhil húá, 39aur jab tak túfán ákar un sab ko bahá na le gayá, un ko ḳhabar na húí, isí tarah Ibn i Ádam ká áná hogá. 40Us waqt do ádmí khet meṉ hoṉge; ek le liyá jáegá, aur dúsrá chhoṛ diyá jáegá. 41Do ʻaurateṉ chakkí pístí hoṉgí; ek le lí jáegí, aur dúsrí chhoṛ dí jáegí. 42Pas jágte raho; kyúṉki tum nahíṉ jánte, ki kis din tumhárá Ḳhudáwand áegá. 43Lekin yih ján rakkho, ki agar ghar ke málik ko maʻlúm hotá, ki chor rát ke kaun se pahar áegá, to jágtá rahtá, aur apne ghar meṉ naqb hone na detá. 44Is liye tum bhí taiyár raho; kyúṉki jis ghaṛí tumheṉ gumán bhí na hogá, Ibn i Ádam á jáegá. 45Pas wuh diyánatdár aur ʻaqlmand naukar kaun sá hai, jise málik ne apne naukar chákaroṉ par muqarrar kiyá, táki waqt par unheṉ kháná de? 46Mubárak hai wuh naukar, jise us ká málik ákar aisá hí karte páe. 47Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Wuh use apne sáre mál ká muḳhtár kar degá. 48Lekin agar wuh kharáb naukar apne dil meṉ yih kahkar, ki Mere málik ke áne meṉ der hai, 49apne hamḳhidmatoṉ ko márná shurúʻ kare, aur sharábíoṉ ke sáth kháe píe; 50to us naukar ká málik aise din ki wuh us kí ráh na dekhtá ho, aur aisí ghaṛí ki wuh na jántá ho, á maujúd hogá; 51aur ḳhúb koṛe lagákar us ko riyákároṉ meṉ shámil karegá; waháṉ roná aur dáṉtoṉ ká písná hogá.
Currently Selected:
Matí 24: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)