YouVersion Logo
Search Icon

Lúqá 7

7
1Jab wuh logoṉ ko apní sárí báteṉ suná chuká to Kafarnahúm meṉ áyá.
2Aur kisí súbadár ká naukar, jo us ko ʻazíz thá, bímárí se marne ko thá. 3Us ne Yisúʻ kí ḳhabar sunkar Yahúdíoṉ ke kaí buzurgoṉ ko us ke pás bhejá, aur us se darḳhwást kí, ki Ákar mere naukar ko achchhá kar. 4Wuh Yisúʻ ke pás áe, aur us kí baṛí minnat karke kahne lage, ki Wuh is láiq hai ki tú us kí ḳhátir yih kare; 5kyúṉki wuh hamárí qaum se mahabbat rakhtá hai, aur hamáre ʻibádatḳháne ko usí ne banwáyá. 6Yisúʻ un ke sáth chalá. Magar jab wuh ghar ke qaríb pahuṉchá, to súbadár ne baʻz dostoṉ kí maʻrifat use yih kahlá bhejá, ki Ai Ḳhudáwand, taklíf na kar, kyúṉki maiṉ is láiq nahíṉ, ki tú merí chhat ke níche áe; 7isí sabab maiṉ ne apne áp ko bhí tere pás áne ke láiq na samjhá; balki zabán se kah de, to merá ḳhádim shifá páegá. 8Kyúṉki maiṉ bhí dúsre ke iḳhtiyár meṉ húṉ, aur sipáhí mere mátaht haiṉ, aur jab ek se kahtá húṉ, ki Já, to wuh játá hai, aur dúsre se, ki Á, to wuh átá hai, aur apne naukar se, ki Yih kar, to wuh kartá hai. 9Yisúʻ ne yih sunkar us par taʻajjub kiyá, aur phirkar us bhíṛ se jo us ke píchhe átí thí kahá; Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Maiṉ ne aisá ímán Isráíl meṉ bhí nahíṉ páyá. 10Aur bheje húe logoṉ ne ghar meṉ wápas ákar us naukar ko tandurust páyá.
11Thoṛe ʻarse ke baʻd aisá húá, ki wuh Náín nám ek shahr ko gayá, aur us ke shágird aur bahut se log us ke hamráh the. 12Jab wuh shahr ke pháṭak ke nazdík pahuṉchá, to dekho, ek murde ko báhar liye játe the; wuh apní máṉ ká iklautá beṭá thá, aur wuh bewa thí: aur shahr ke bahutere log us ke sáth the. 13Use dekhkar Ḳhudáwand ko tars áyá aur us se kahá; Ro nahíṉ. 14Phir us ne pás ákar janáze ko chhúá, aur uṭhánewále khaṛe ho gaye, aur us ne kahá; Ai jawán, maiṉ tujh se kahtá húṉ; Uṭh. 15Wuh murda uṭh baiṭhá, aur bolne lagá. Aur us ne use us kí máṉ ko sauṉp diyá. 16Aur sab par dahshat chhá gayí, aur wuh Ḳhudá kí baṛáí karke kahne lage, ki Ek baṛá nabí ham meṉ uṭhá hai, aur yih, ki Ḳhudá ne apní ummat par tawajjuh kí hai. 17Aur us kí nisbat yih ḳhabar sáre Yahúdiya aur tamám girdnawáh meṉ phail gayí.
18Aur Yúhanná ko us ke shágirdoṉ ne in sab bátoṉ kí ḳhabar dí. 19Is par Yúhanná ne apne shágirdoṉ meṉ se do ko bulákar Ḳhudáwand ke pás yih púchhne ko bhejá, ki Ánewálá tú hí hai, yá ham dúsre kí ráh dekheṉ? 20Unhoṉ ne us ke pás ákar kahá; Yúhanná baptisma denewále ne hameṉ tere pás yih púchhne ko bhejá hai, ki Ánewálá tú hí hai, yá ham dúsre kí ráh dekheṉ? 21Usí ghaṛí us ne bahutoṉ ko bímáríoṉ aur áfatoṉ aur burí rúhoṉ se naját baḳhshí, aur bahut se andhoṉ ko bínáí ʻatá kí. 22Us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Jo kuchh tum ne dekhá aur suná hai jákar Yúhanná se bayán kar do; ki andhe dekhte haiṉ, laṉgṛe chalte phirte haiṉ, koṛhí pák sáf kiye játe haiṉ, bahre sunte haiṉ, murde zinda kiye játe haiṉ, garíboṉ ko ḳhushḳhabarí sunái játí hai. 23Aur mubárak hai wuh jo mere sabab se ṭhokar na kháe.
24Jab Yúhanná ke qásid chale gaye, to Yisúʻ Yúhanná ke haqq meṉ logoṉ se kahne lagá, ki Tum biyábán meṉ kyá dekhne gaye the? Kyá hawá se hilte húe sarkanḍe ko? 25To phir kyá dekhne gaye the? Kyá mihín kapṛe pahine húe shaḳhs ko? Dekho, jo chamakdár poshák pahinte aur ʻaish o ʻishrat meṉ rahte haiṉ, wuh bádsháhí mahalloṉ meṉ hote haiṉ. 26To phir tum kyá dekhne gaye the? Kyá ek nabí? Háṉ, maiṉ tum se kahtá húṉ, balki nabí se baṛe ko. 27Yih wuhí hai, jis kí bábat likhá hai, ki
Dekh, maiṉ apná paigambar tere áge bhejtá húṉ,
Jo terí ráh tere áge taiyár karegá.
28Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Jo ʻauratoṉ se paídá húe haiṉ, un meṉ Yúhanná baptisma denewále se koí baṛá nahíṉ: lekin jo Ḳhudá kí bádsháhat meṉ chhoṭá hai, wuh us se baṛá hai. 29Aur sab ʻámm logoṉ ne jab suná, to unhoṉ ne aur mahsúl lenewáloṉ ne bhí Yúhanná ká baptisma lekar Ḳhudá ko rástbáz mán líyá. 30Magar Farísíoṉ aur sharaʻ ke ʻálímoṉ ne us se baptisma na lekar, Ḳhudá ke iráde ko apní nisbat bátil kar diyá. 31Pas is zamáne ke ádmíoṉ ko maiṉ kis se tashbíh dúṉ, aur wuh kis kí mánind haiṉ? 32Un laṛkoṉ kí mánind haiṉ, jo bázár meṉ baiṭhe húe ek dúsre ko pukárkar kahte haiṉ, ki Ham ne tumháre liye báṉslí bajáí, aur tum na náche; ham ne mátam kiyá, aur tum na roe. 33Kyúṉki Yúhanná baptisma denewálá na to roṭí khátá húá áyá, na mai pítá húá; aur tum kahte ho ki Us meṉ badrúh hai. 34Ibn i Ádam khátá pítá áyá, aur tum kahte ho, ki Dekho, kháú aur sharábí ádmí, mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ká yár. 35Lekín hikmat apne sab laṛkoṉ kí taraf se rást sábit húí.
36Phir kisí Farísí ne us se darḳhwást kí, ki Mere sáth kháná khá. Pas wuh us Farísí ke ghar jákar kháná kháne baiṭhá; 37to dekho, ek badchalan ʻaurat, jo us shahr kí thí, yih jánkar ki wuh us Farísí ke ghar meṉ kháná kháne baiṭhá hai, saṉg i marmar kí ʻítrdání meṉ ʻitr láí, 38aur us ke páṉwoṉ ke pás rotí húí píchhe khaṛí hokar us ke páṉw áṉsúoṉ se bhígone lagí, aur apne sir ke báloṉ se poṉchhe, aur us ke páṉw bahut chúme aur un par ʻitr ḍálá. 39Us kí daʻwat karnewálá Farísí yih dekhkar apne jí meṉ kahne lagá, ki Agar yih shaḳhs nabí hotá, to jántá, ki jo use chhútí hai, wuh kaun aur kaisí ʻaurat hai, kyúṉki badchalan hai. 40Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Ai Shamaʻún, mujhe tujh se kuchh kahná hai. Wuh bolá, Ai ustád, kah. 41Kisí sáhúkár ke do qarzdár the; ek páṉch sau dínár ká, dúsrá pachás ká. 42Jab un ke pás adá karne ko kuchh na rahá, to us ne donoṉ ko baḳhsh diyá. Pas un meṉ se kaun us se ziyáda mahabbat rakkhegá? 43Shamaʻún ne jawáb meṉ kahá; Merí dánist meṉ wuh, jise us ne ziyáda baḳhshá. Us ne us se kahá; Tú ne ṭhík faisala kiyá. 44Aur us ʻaurat kí taraf phirkar us ne Shamaʻún se kahá; Kyá tú is ʻaurat ko dekhtá hai? Maiṉ tere ghar meṉ áyá; tú ne mere páṉw dhone ko pání na diyá; magar is ne mere páṉw áṉsúoṉ se bhigo diye, aur apne báloṉ se poṉchhe. 45Tú ne mujh ko bosa na diyá; magar is ne, jab se maiṉ áyá húṉ, mere páṉwoṉ ká chúmná na chhoṛá. 46Tú ne mere sir meṉ tel na ḍálá; magar is ne mere páṉwoṉ par ʻitr ḍálá hai. 47Isí liye maiṉ tujh se kahtá húṉ, ki is ke gunáh, jo bahut the, muʻáf húe, kyúṉki is ne bahut mahabbat kí; magar jis ke thoṛe gunáh muʻáf húe, wuh thoṛí mahabbat kartá hai. 48Aur us ʻaurat se kahá; Tere gunáh muʻáf húe. 49Is par wuh jo us ke sáth kháná kháne baiṭhe the apne jí meṉ kahne lage, ki Yih kaun hai, jo gunáhoṉ ko bhí muʻáf kartá hai? 50Magar us ne ʻaurat se kahá; Tere ímán ne tujhe bachá liyá hai; salámat chalí já.

Currently Selected:

Lúqá 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in