YouVersion Logo
Search Icon

Lúqá 6

6
1Phir Sabt ke din yúṉ húá, ki wuh khetoṉ meṉ hokar já rahá thá; aur us ke shágird báleṉ toṛ toṛkar aur háthoṉ se mal malkar kháte játe the. 2Aur Farísíoṉ meṉ se baʻz kahne lage; Tum wuh kám kyúṉ karte ho, jo Sabt ke din karná rawá nahíṉ? 3Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá; Kyá tum ne yih bhí nahíṉ paṛhá, ki jab Dáúd aur us ke sáthí bhúke the to us ne kyá kiyá: 4wuh kyúṉkar Ḳhudá ke ghar meṉ gayá, aur nazr kí roṭiyáṉ lekar kháíṉ, jin ká kháná káhinoṉ ke siwá âur kisí ko rawá nahíṉ, aur apne sáthiyoṉ ko bhí díṉ? 5Phir us ne un se kahá, ki Ibn i Ádam Sabt ká málik hai.
6Aur yúṉ húá ki kisí âur Sabt ko wuh ʻibádatḳháne meṉ dáḳhil hokar taʻlím dene lagá; aur waháṉ ek ádmí thá, jis ká dahiná háth súkh gayá thá. 7Aur faqíh aur Farisi us kí ták meṉ the, ki áyá Sabt ke din achchhá kartá hai yá nahíṉ, táki us par ilzám lagáne ká mauqaʻ páeṉ. 8Magar us ko un ke ḳhayál maʻlúm the; pas us ádmí se jis ká háth súkhá thá kahá; Uṭh aur bích meṉ khaṛá ho. Wuh uṭh khaṛá húá. 9Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se yih púchhtá húṉ, ki Áyá Sabt ke din neki karní rawá hai, yá badí karní? ján ko bacháná, yá halák karná? 10Aur un sab par nazar karke us se kahá; Apná háth baṛhá. Us ne aisá kiyá, aur us ká háth durust ho gayá. 11Wuh ápe se báhar hokar ek dúsre se kahne lage, ki Ham Yisúʻ ke sáth kyá kareṉ?
12Aur un dinoṉ meṉ aisá húá, ki wuh paháṛ par duʻá máṉgne ko niklá, aur Ḳhudá se duʻá máṉgne meṉ sárí rát guzárí. 13Jab din húá, to us ne apne shágirdoṉ ko pás bulákar un meṉ se bárah chun liye, aur un ko rasúl ká laqab diyá; 14yaʻní Shamaʻún, jis ká nám us ne Patras bhí rakkhá, aur us ká bháí Andriyás, aur Yaʻqúb aur Yúhanná, aur Filippus aur Bar Tulmáí, 15aur Matí aur Tomá, aur Halfaí ká beṭá Yaʻqúb aur Shamaʻún jo Zelotes kahlátá thá, 16aur Yaʻqúb ká beṭá Yahúdáh, aur Yahúdáh Iskariyotí jo us ká pakaṛwánewálá húá; 17aur wuh un ke sáth utarkar hamwár jagah par khaṛá húá; aur us ke shágirdoṉ kí baṛí jamáʻat aur logoṉ kí baṛí bhíṛ waháṉ thí, jo sáre Yahúdiya aur Yarúshálem aur Súr aur Saidá ke bahrí kanáre se, us kí sunne aur apní bímáríoṉ se shifá páne ke liye us ke pás ái thí. 18Aur jo nápák rúhoṉ se dukh páte the, wuh achchhe kiye gaye. 19Aur sab log use chhúne kí koshish karte the, kyúṉki quwwat us se nikaltí aur sab ko shifá baḳhshtí thí.
20Phir us ne apne shágirdoṉ kí taraf nazar karke kahá; Mubárak ho tum jo garíb ho, kyúṉki Ḳhudá kí bádsháhat tumhárí hai. 21Mubárak ho tum jo ab bhúke ho, kyúṉki ásúda hoge. Mubárak ho tum jo ab rote ho, kyúṉki haṉsoge. 22Jab Ibn i Ádam ke sabab log tum se ʻadáwat rakkheṉge, aur tumheṉ ḳhárij kar deṉge, aur laʻn taʻn kareṉge, aur tumhárá nám burá jánkar káṭ deṉge, to tum mubárak hoge. 23Us din ḳhush honá aur ḳhushí ke máre uchhalná; is liye ki, dekho, ásmán par tumhárá ajr baṛá hai; kyúṉki un ke bápdádá nabíoṉ ke sáth bhí aisá hí kiyá karte the. 24Magar afsos tum par jo daulatmand ho, kyúṉki tum apní tasallí pá chuke. 25Afsos tum par jo ab ser ho, kyúṉki bhúke hoge. Afsos tum par jo ab haṉste ho, kyúṉki mátam karoge aur rooge. 26Afsos tum par jab sab log tumheṉ bhalá kaheṉ, kyúṉki un ke bápdádá jhúṭhe nabíoṉ ke sáth bhí aisá hí kiyá karte the.
27Lekin maiṉ tum sunnewáloṉ se kahtá húṉ, ki Apne dushmanoṉ se mahabbat rakkho; jo tum se ʻadáwat rakkheṉ un ká bhalá karo; 28jo tum par laʻnat kareṉ, un ke liye barakat cháho; jo tumhárí beʻizzatí kareṉ, un ke liye duʻá máṉgo. 29Jo tere ek gál par tamáṉcha máre, dúsrá bhí us kí taraf pher de; aur jo terá choga le, us ko kurtá lene se bhí manaʻ na kar. 30Jo koí tujh se máṉge use de, aur jo terá mál le le us se talab na kar. 31Aur jaisá tum cháhte ho ki log tumháre sáth kareṉ, tum bhí un ke sáth waisá hí karo. 32Agar tum apne mahabbat rakhnewáloṉ hí se mahabbat rakkho, to tumhárá kyá ihsán hai? kyúṉki gunahgár bhí apne mahabbat rakhnewáloṉ se mahabbat rakhte haiṉ. 33Aur agar tum unhíṉ ká bhalá karo jo tumhárá bhalá kareṉ, to tumhárá kyá ihsán hai? kyúṉki gunahgár bhí aisá hí karte haiṉ. 34Aur agar tum unhíṉ ko qarz do, jin se wusúl hone kí ummed rakhte ho, to tumhárá kyá ihsán hai? gunahgár bhí gunahgároṉ ko qarz dete haiṉ, táki púrá wusúl kar leṉ. 35Magar tum apne dushmanoṉ se mahabbat rakkho, aur bhalá karo, aur bagair náummed húe qarz do; to tumhárá ajr baṛá hogá, aur tum Ḳhudá Taʻálá ke beṭe ṭhahroge; kyúṉki wuh náshukroṉ aur badoṉ par bhí mihrbán hai. 36Jaisá tumhárá Báp rahím hai, tum bhí rahmdil ho. 37ʻAibjoí na karo, tumhárí bhí ʻaibjoí na kí jáegí; mujrim na ṭhahráo, tum bhí mujrim na ṭhahráe jáoge; ḳhalásí do, tum bhí ḳhalásí páoge. 38Diyá karo, tumheṉ bhí diyá jáegá, achchhá paimána dáb dábkar aur hilá hilákar aur labréz karke tumháre palle meṉ ḍáleṉge; kyúṉki jis paimáne se tum nápte ho, usí se tumháre liye nápá jáegá.
39Aur us ne un se ek tamsíl bhí kahí, ki Kyá andhe ko andhá ráh dikhá saktá hai? kyá donoṉ gaṛhe meṉ na gireṉge? 40Shágird apne ustád se baṛá nahíṉ; balki har ek, jab kámil húá, to apne ustád jaisá hogá. 41Tú kyúṉ apne bháí kí áṉkh ke tinke ko dekhtá hai, aur apní áṉkh ke shahtír par gaur nahíṉ kartá? 42Aur jab tú apní áṉkh ke shahtír ko nahíṉ dekhtá, to apne bháí se kyúṉkar kah saktá hai, ki Bháí, lá, us tinke ko jo terí áṉkh meṉ hai, nikál dúṉ? Ai riyákár, pahle apní áṉkh meṉ se to shahtír nikál, phir us tinke ko jo tere bháí kí áṉkh meṉ hai achchhí tarah dekhkar nikál sakegá. 43Kyúṉki koí achchhá daraḳht nahíṉ, jo burá phal láe, aur na koí burá daraḳht hai, jo achchhá phal láe. 44Har daraḳht apne phal se pahcháná játá hai; kyúṉki jháṛiyoṉ se anjír nahíṉ toṛte, aur na jhaṛberí se angúr. 45Achchhá ádmí apne dil ke achchhe ḳhazáne se achchhí chízeṉ nikáltá hai, aur burá ádmí bure ḳhazáne se burí chízeṉ nikáltá hai; kyúṉki jo dil meṉ bhará hai, wuhí us ke muṉh par átá hai.
46Jab tum mere kahne par ʻamal nahíṉ karte, to kyúṉ mujhe Ḳhudáwand, Ḳhudáwand kahteho? 47Jo koí mere pás átá, aur merí báteṉ sunkar un par ʻamal kartá hai, maiṉ tumheṉ batátá húṉ ki wuh kis kí mánind hai. 48Wuh us ádmí kí mánind hai, jis ne ghar banáte waqt zamín gahrí khodkar chaṭán par neo ḍálí; jab rau áí to dhár us ghar par zor se girí, magar use hilá na sakí, kyúṉki wuh mazbút baná húá thá. 49Lekin jo sunkar ʻamal meṉ nahíṉ látá, wuh us ádmí kí mánind hai, jis ne zamín par ghar ko bebunyád banáyá: jab dhár us par zor se girí, to wuh fiʼlfaur gir paṛá aur wuh ghar biʼlkull barbád húá.

Currently Selected:

Lúqá 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in