YouVersion Logo
Search Icon

Lúqá 5

5
1Jab bhíṛ us par girí paṛtí thí, aur Ḳhudá ká kalám suntí thí, aur wuh Gannesarat kí jhíl ke kanáre khaṛá thá, to aisá húá ki 2us ne jhíl ke kanáre do kishtíáṉ lagí dekhíṉ, lekin machhlí pakaṛnewále un par se utarkar jál dho rahe the. 3Aur us ne un kishtíoṉ meṉ se ek par chaṛhkar, jo Shamaʻún kí thí, us se darḳhwást kí, ki Kanáre se zará haṭá le chal. Aur wuh baiṭhkar logoṉ ko kishtí par se taʻlím dene lagá. 4Jab kalám kar chuká, to Shamaʻún se kahá; Gahre meṉ le chal, aur tum shikár ke liye apne jál ḍálo. 5Shamaʻún ne jawáb meṉ kahá; Ai sáhib, ham ne rát bhar mihnat kí, aur kuchh háth na áyá; magar tere kahne se jál dáltá húṉ. 6Yih kiyá aur wuh machhliyoṉ ká baṛá gol gher láe, aur un ke jál phaṭne lage. 7Aur unhoṉ ne apne sharíkoṉ ko, jo dúsrí kishtí par the, ishára kiyá, ki Áo, hamárí madad karo. Pas unhoṉ ne ákar donoṉ kishtíáṉ yaháṉ tak bhar díṉ ki dúbne lagíṉ. 8Shamaʻún Patras yih dekhkar Yisúʻ ke páṉwoṉ meṉ girá, aur kahá; Ai Ḳhudáwand, mere pás se já, is liye ki maiṉ gunahgár ádmí húṉ. 9Kyúṉki machhliyoṉ ke is shikár se, jo unhoṉ ne kiyá, wuh aur us ke sab sáthí bahut hairán húe. 10Aur waise hí Zabdí ke beṭe Yaʻqúb aur Yúhanná bhí, jo Shámaʻún ke sharík the, hairán húe. Yisúʻ ne Shamaʻún se kahá; Ḳhauf na kar; ab se tú ádmíoṉ ká shikár kiyá karegá. 11Wuh kishtíoṉ ko kanáre par le áe, aur sab kuchh chhoṛkar us ke píchhe ho liye.
12Jab wuh ek shahr meṉ thá, to dekho, koṛh se bhará húá ek ádmí thá. Wuh Yisúʻ ko dekhkar muṉh ke bal girá, aur us kí minnat karke kahá; Ai Ḳhudáwand, agar tú cháhe, to mujhe pák sáf kar saktá hai. 13Us ne háth baṛhákar use chhúá aur kahá; Maiṉ cháhtá húṉ; tú pák sáf ho já; aur fauran uská koṛh játá rahá. 14Aur us ne use tákíd kí, ki Kisí se na kahná, balki jákar apne taíṉ káhin ko dikhá, aur jaisá Músá ne muqarrar kiyá hai, apne pák sáf ho jáne kí bábat nazr guzrán, táki un ke liye gawáhí ho. 15Lekin us ká charchá ziyáda phailá, aur bahut se log jamaʻ húe, ki us kí suneṉ, aur apní bímáríoṉ se shifá páeṉ. 16Magar wuh jangaloṉ meṉ alag jákar duʻá máṉgá kartá thá.
17Aur ek din aisá húá ki wuh taʻlím de rahá thá, aur Farísí aur sharaʻ ke muʻallim waháṉ baiṭhe húe the, jo Galíl ke har gáṉw aur Yahúdiya aur Yarúshalem se áe the; aur Ḳhudáwand kí qudrat shifá baḳhshne ko us ke sáth thí. 18Aur dekho, kaí mard ek ádmí ko jo maflúj thá chárpáí par láe, aur koshish kí, ki use andar lákar us ke áge rakkheṉ; 19aur jab bhíṛ ke sabab us ko andar le jáne kí ráh na páí, to koṭhe par chaṛhke khaprail meṉ se us ko khaṭole samet bích meṉ Yisúʻ ke sámne utár diyá. 20Us ne un ká ímán dekhkar kahá, ki Ai ádmí, tere gunáh muʻáf húe. 21Is par faqíh aur Farísí sochne lage, ki Yih kaun hai jo kufr baktá hai? Siwá Ḳhudá ke âur kaun gunáhoṉ ko muʻáf kar saktá hai? 22Yisúʻ ne un ke ḳhayáloṉ ko maʻlúm karke jawáb meṉ un se kahá; Tum apne diloṉ meṉ kyá sochte ho? 23Ásán kyá hai? yih kahná, ki Tere gunáh muʻáf húe, yá yih kahná, ki Uṭh aur chal phir? 24Lekin is liye ki tum jáno, ki Ibn i Ádam ko zamín par gunáhoṉ ke muʻáf karne ká iḳhtiyár hai (us ne maflúj se kahá;) Maiṉ tujh se kahtá húṉ, Uṭh, aur apná khaṭolá uṭhákar apne ghar já. 25Aur wuh usí dam un ke sámne uṭhá, aur jis par paṛá thá use uṭhákar, Ḳhudá kí baṛáí kartá húá apne ghar chalá gayá. 26Wuh sab ke sab baṛe hairán húe, aur Ḳhudá kí baṛáí karne lage, aur bahut ḍar gaye, aur kahne lage, ki Áj ham ne ʻajíb báteṉ dekhíṉ.
27In bátoṉ ke baʻd wuh báhar gayá, aur Lewí nám ek mahsúl lenewále ko mahsúl kí chaukí par baiṭhe dekhá, aur us se kahá; Mere píchhe ho le 28Wuh sab kuchh chhoṛkar uṭhá, aur us ke píchhe ho liyá. 29Phir Lewí ne apne ghar meṉ us kí baṛí ziyáfat kí; aur mahsúl lenewáloṉ aur auroṉ ká, jo un ke sáth kháná kháne baiṭhe the, baṛá majmaʻ thá. 30Aur Farísí aur un ke faqíh us ke shágirdoṉ se yih kahkar buṛbuṛáne lage, ki Tum kyúṉ mahsúl lenewáloṉ aur gunahgároṉ ke sáth kháte píte ho? 31Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Tandurustoṉ ko hakím darkár nahíṉ, balki bímároṉ ko. 32Maiṉ rástbázoṉ ko nahíṉ, balki gunahgároṉ ko táuba ke liye buláne áyá húṉ. 33Aur unhoṉ ne us se kahá, ki Yúhanná ke shágird aksar roza rakhte aur duʻáeṉ máṉgá karte haiṉ, aur isí tarah Farísíoṉ ke bhí; magar tere shágird kháte píte haiṉ. 34Yisúʻ ne un se kahá; Kyá tum barátiyoṉ se, jab tak dulhá un ke sáth rahe, roza rakhwá sakte ho? 35Magar wuh din áeṉge: aur jab dulhá un se judá kiyá jáegá, tab un dinoṉ meṉ wuh roza rakkheṉge. 36Aur us ne un se ek tamsíl bhí kahí, ki Koí ádmí nayí poshák meṉ se pháṛkar purání poshák meṉ paiwand nahíṉ lagátá; warna nayí bhí phaṭegi, aur us ká paiwand purání meṉ mel bhí na kháegá. 37Aur koí shaḳhs nayí mai purání mashkoṉ meṉ nahíṉ bharta; nahíṉ to nayí mai mashkoṉ ko pháṛkar ḳhud bhí bah jáegí, aur mashkeṉ bhí barbád ho jáeṉgí. 38Balki nayí mai nayí mashkoṉ meṉ bharní cháhiye. 39Aur koí ádmí purání mai píkar nayí kí ḳhwáhish nahíṉ kartá, kyúṉki kahtá hai, ki Purání hí achchhí hai.

Currently Selected:

Lúqá 5: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in