Lúqá 8
8
1Thoṛe ʻarse ke baʻd yúṉ húá, ki wuh manádí kartá aur Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhushḳhabarí sunátá húá shahr shahr aur gáṉw gáṉw phirne lagá; aur wuh bárah us ke sáth the; 2aur baʻz ʻaurateṉ jinhoṉ ne burí rúhoṉ aur bímáríoṉ se shifá páí thí, yaʻní Maryam jo Magdalíní kahlátí thí, jis meṉ se sát badrúheṉ niklí thíṉ, 3aur Yoanna Herodes ke díwán Ḳhúza kí bíwí, aur Súsannáh, aur bahuterí âur ʻaurateṉ bhí thíṉ, jo apne mál se un kí ḳhidmat kartí thíṉ.
4Phir jab baṛí bhíṛ jamaʻ húí, aur har shahr ke log us ke pás chale áte the, us ne tamsíl meṉ kahá, ki 5Ek bonewálá apná bíj bone niklá. Aur bote waqt kuchh ráh ke kanáre girá aur rauṉdá gayá, aur hawá ke parandoṉ ne use chug liyá. 6Aur kuchh chaṭán par girá, aur ugke súkh gayá, is liye ki us ko tarí na pahuṉchí. 7Aur kuchh jháṛiyoṉ meṉ girá, aur jháṛiyoṉ ne sáth sáth baṛhkar use dabá liyá. 8Aur kuchh achchhí zamín meṉ girá, aur ugkar sau guná phal láyá. Yih kahkar us ne pukárá; Jis ke sunne ke kán hoṉ, wuh sun le.
9Us ke shágirdoṉ ne us se púchhá, ki yih tamsíl kyá hai? 10Us ne kahá; Tum ko Ḳhudá kí bádsháhat ke bhedoṉ kí samajh dí gayí hai, magar auroṉ ko tamsíloṉ meṉ sunáyá játá hai, táki dekhte húe na dekheṉ, aur sunte húe na samjheṉ. 11Wuh tamsíl yih hai, ki Bíj Ḳhudá ká kalám hai. 12Ráh ke kanáre ke wuh haiṉ jinhoṉ ne suná; baʻd us ke Iblís ákar kalám ko un ke dil se chhín le játá hai, aisá na ho ki ímán lákar naját páeṉ. 13Aur chaṭán par ke wuh haiṉ, jo sunkar kalám ko ḳhushí se qubúl kar lete haiṉ; lekin jaṛ nahíṉ rakhte, magar kuchh ʻarse tak ímán rakhkar ázmáish ke waqt phir játe haiṉ. 14Aur jo jháṛiyoṉ meṉ paṛá, us se wuh log murád haiṉ jinhoṉ ne suná, lekin hote hote is zindagí kí fikroṉ aur daulat aur ʻaish o ʻishrat meṉ phaṉs játe haiṉ, aur un ká phal paktá nahíṉ. 15Magar achchhí zamín ke wuh haiṉ, jo kalám ko sunkar ʻumda aur nek dil meṉ sambhále rahte, aur sabr se phal láte haiṉ.
16Koí shaḳhs chirág jalákar bartan se nahíṉ chhipátá, na palang ke níche rakhtá hai, balki chirágdán par rakhtá hai, táki andar ánewáloṉ ko raushní dikháí de. 17Kyúṉki koí chíz chhipí nahíṉ, jo záhir na ho jáegí; aur na koí aisí poshída bát hai, jo maʻlúm na hogí aur zuhúr meṉ na áegí. 18Pas ḳhabardár raho, ki tum kis tarah sunte ho: kyúṉki jis ke pás hai, use diyá jáegá; aur jis ke pás nahíṉ hai, us se wuh bhí le liyá jáegá jo apná samajhtá hai.
19Phir us kí máṉ aur us ke bháí us ke pás áe, magar bhíṛ ke sabab us tak pahuṉch na sake. 20Aur use ḳhabar dí gayi, ki Terí máṉ aur tere bhái báhar khaṛe haiṉ aur tujh se milná cháhte haiṉ. 21Us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Merí máṉ aur mere bháí to yih haiṉ, jo Ḳhudá ká kalám sunte aur us par ʻamal karte haiṉ.
22Phir ek dín aisá húá, ki wuh aur us ke shágird kishtí par chaṛhe; aur us ne un se kahá, ki Áo, jhíl ke pár chaleṉ: pas wuh rawána húe. 23Magar jab kishtí chalí játí thí to wuh so gayá; aur jhíl par baṛí áṉdhí áí, aur kishtí pání se bharí játí thí, aur wuh ḳhatre meṉ the. 24Unhoṉ ne pás ákar use jagáyá aur kahá; ki Sáhib, sáhib, ham halák húe játe haiṉ. Us ne uṭhkar hawá ko aur pání ke zor shor ko jhiṛká, aur donoṉ tham gaye, aur amn ho gayá. 25Us ne un se kahá; Tumhárá ímán kaháṉ gayá? Wuh ḍar gaye, aur taʻajjub karke ápas meṉ kahne lage, ki Yih kaun hai? yih to hawá aur pání ko hukm detá hai, aur wuh us kí mánte haiṉ.
26Phir wuh Giráseníoṉ ke ʻiláqe meṉ já pahuṉche, jo us pár Galíl ke sámne hai. 27Jab wuh kanáre par utrá, to us shahr ká ek mard use milá, jis meṉ badrúheṉ thíṉ; aur us ne baṛí muddat se kapṛe na pahine the, aur wuh ghar meṉ nahíṉ, balki qabroṉ meṉ rahá kartá thá. 28Wuh Yisúʻ ko dekhkar chilláyá, aur us ke áge girkar baṛí áwáz se kahá, ki Ai Yisúʻ, Ḳhudá Taʻálá ke Beṭe, mujhe tujh se kyá kám? terí minnat kartá húṉ, ki Mujhe ʻazáb meṉ na ḍál. 29Kyúṉki wuh us nápák rúh ko hukm detá thá, ki Is ádmí meṉ se nikal já. Is liye ki us ne us ko aksar pakṛá thá, aur harchand log use zanjíroṉ aur beṛiyoṉ se jakaṛke qábú meṉ rakhte the, táham wuh zanjíroṉ ko toṛ daltá thá, aur badrúh us ko biyábánoṉ meṉ bhagáe phirtí thí. 30Yísúʻ ne us se púchhá, ki Terá kyá nám hai? Wuh bolá; Lashkar; kyúṉki us meṉ bahut sí badrúheṉ thíṉ. 31Aur wuh us kí minnat karne lagíṉ, ki Hameṉ atháh gaṛhe meṉ jáne ká hukm na de. 32Waháṉ paháṛ par súaroṉ ká ek baṛá gol char rahá thá: unhoṉ ne us kí minnat kí, ki Hameṉ un ke andar jáne de. Us ne unheṉ jáne diyá. 33Aur badrúheṉ us ádmí meṉ se nikalkar súaroṉ ke andar gayíṉ, aur gol kaṛáṛe par se jhapaṭkar jhíl meṉ já paṛá aur dúb mará. 34Yih májará dekhkar charánewále bháge, aur jákar shahr aur díhát meṉ ḳhabar dí. 35Log us májare ke dekhne ko nikle; aur Yisúʻ ke pás ákar us ádmí ko, jis meṉ se badrúheṉ niklí thíṉ, kapṛe pahine aur hosh meṉ Yisúʻ ke páṉwoṉ ke pás baiṭhe páyá, aur ḍar gaye. 36Aur dekhnewáloṉ ne un ko ḳhabar dí, ki jis meṉ badrúheṉ thíṉ, wuh kis tarah achchhá húá. 37Aur Giráseníoṉ ke girdnawáh ke sab logoṉ ne us se darḳhwást kí, ki Hamáre pás se chalá já; kyúṉki un par baṛí dahshat chhá gayi thi; pas wuh kishtí meṉ baiṭhkar wápas gayá. 38Lekin jis shaḳhs meṉ se badrúheṉ nikal gayí thíṉ, wuh us kí minnat karke kahne lagá, ki Mujhe apne sáth rahne de: magar Yisúʻ ne use ruḳhsat karke kahá; 39Apne ghar ko lauṭkar logoṉ se bayán kar, ki Ḳhudá ne tere liye kaise baṛe kám kiyé. Wuh rawána hokar tamám shahr meṉ charchá karne lagá, ki Yisúʻ ne mere liye kaise baṛe kám kiye.
40Jab Yisúʻ wápas á rahá thá, to log us se ḳhushí ke sáth mile, kyúṉki sab us kí ráh takte the. 41Aur dekho, Yáír nám ek shaḳhs, jo ʻibádatḳháne ká sardár thá, áyá, aur Yisúʻ ke qadamoṉ par girke us se minnat kí, ki Mere ghar chal: 42kyúṉki us kí iklautí beṭi, jo baras bárah ek kí thí, marne ko thí. Aur jab wuh já rahá thá to log us par gire paṛte the.
43Aur ek ʻaurat ne, jis ke bárah baras se ḳhún járí thá, aur apná sárá mál hakímoṉ par ḳharch kar chuki thí, aur kisí ke háth se achchhí na ho sakí thí, 44us ke píchhe ákar us kí poshák ká kanára chhúá; aur usí dam us ká ḳhún bahná band ho gayá. 45Is par Yisúʻ ne kahá; Wuh kaun hai jis ne mujhe chhúá? Jab sab inkár karne lage, to Patras aur us ke sáthiyoṉ ne kahá, ki Ai sáhib, log tujhe dabáte aur tujh par gire paṛte haiṉ. 46Magar Yisúʻ ne kahá, ki Kisí ne mujhe chhúá to hai; kyúṉki maiṉ ne maʻlúm kiyá, ki quwwat mujh meṉ se niklí hai. 47Jab us ʻaurat ne dekhá ki maiṉ chhip nahíṉ saktí, to káṉptí húí áí, aur us ke áge girke sab logoṉ ke sámne bayán kiyá, ki maiṉ ne kis sabab se tujhe chhúá, aur kis tarah usí dam shifá pá gayí. 48Us ne us se kahá; Beṭí, tere ímán ne tujhe achchhá kiyá hai; salámat chalí já.
49Wuh yih kah hí rahá thá, ki ʻibádatḳháne ke sardár ke háṉ se kisí ne ákar kahá, ki Terí beṭí mar gayí; Ustád ko taklíf na de. 50Yisúʻ ne sunkar use jawáb diyá, ki Ḳhauf na kar: faqat iʻtiqád rakh; wuh bach jáegí. 51Aur ghar meṉ pahuṉchkar, Patras aur Yúhanná aur Yaʻqúb aur laṛkí ke máṉ báp ke siwá, kisí ko apne sáth andar na jáne diyá. 52Aur sab us ke liye ro píṭ rahe the, magar us ne kahá; Roo nahíṉ; wuh mar nahíṉ gayí, balki sotí hai. 53Wuh us par haṉsne lage, kyúṉki jánte the, ki mar gayí hai. 54Magar us ne us ká háth pakṛá, aur pukárke kahá; Ai laṛkí, uṭh. 55Us kí rúh phir áí, aur wuh usí dam uṭhí. Phir Yisúʻ ne hukm diyá, ki use kuchh kháne ko diyá jáe. 56Us ke máṉ báp hairán húe: aur us ne unheṉ tákíd kí, ki Yih májará kisí se na kahná.
Currently Selected:
Lúqá 8: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)