Lúqá 4
4
1Phir Yisúʻ Rúhuʼl Quds se bhará húá Yardan se lauṭá, aur chálís din tak Rúh kí hidáyat se biyábán meṉ phírtá rahá, 2aur Iblís use ázmátá rahá. Un dinoṉ meṉ us ne kuchh na kháyá; aur jab wuh din púre ho gaye, to use bhúk lagí. 3Aur Iblís ne us se kahá; Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to is patthar se kah, ki roṭí ban jáe. 4Yisúʻ ne us ko jawáb diyá; Likhá hai, ki Ádmí sirf roṭí hí se jítá na rahegá. 5Aur Iblís ne use úṉche par le jákar dunyá kí sárí bádsháhateṉ pal bhar meṉ dikháíṉ, 6aur us se kahá, ki Yih sárá iḳhtiyár aur in kí shán o shaukat maiṉ tujhe de dúṉgá, kyúṉki yih mere supurd hai, aur jis ko cháhtá húṉ detá húṉ. 7Pas agar tú mere áge sijda kare, to yih sab terá hogá. 8Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Likhá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko sijda kar, aur sirf usí kí ʻibádat kar. 9Aur wuh use Yarúshalem meṉ le gayá, aur haikal ke kangure par khaṛá karke us se kahá; Agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to apne taíṉ yaháṉ se níche girá de: 10kyúṉki likhá hai, ki
Wuh terí bábat apne firishtoṉ ko hukm degá, ki terí hifázat kareṉ:
11Aur yih bhí, ki
Wuh tujhe háthoṉ par uṭhá leṉge,
Aisá na ho ki tere páṉw ko patthar kí ṭhes lage.
12Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Farmáyá gayá hai, ki Tú Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí ázmáish na kar.
13Jab Iblís tamám ázmáisheṉ kar chuká, to kuchh ʻarse ke liye us se judá húá.
14Phir Yisúʻ Rúh kí quwwat se bhará húá Galíl ko lauṭá, aur sáre girdnawáh meṉ us kí shuhrat phail gayí. 15Aur wuh un ke ʻibádatḳhánoṉ meṉ taʻlím detá rahá, aur sab us kí baṛáí karte rahe.
16Aur wuh Násarat meṉ áyá, jaháṉ us ne parwarish páí thí, aur apne dastúr ke muwáfiq Sabt ke din ʻibádatḳháne meṉ gayá, aur paṛhne ko khaṛá húá. 17Aur Yashaʻyáh nabí kí kitáb us ko dí gayí, aur kítáb kholkar us ne wuh maqám nikálá, jaháṉ yih likhá thá, ki
18Ḳhudáwand kí Rúh mujh par hai,
Is liye ki us ne mujhe garíboṉ ko ḳhushḳhabarí dene ke liye masah kiyá;
Us ne mujhe bhejá hai, ki qaidíoṉ ko riháí,
Aur andhoṉ ko bínái páne kí ḳhabar sunáúṉ,
Kuchle húoṉ ko ázád karúṉ,
19Aur Ḳhudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karúṉ.
20Phir wuh kitáb band karke aur ḳhádim ko wápas dekar baiṭh gayá; aur jitne ʻibádatḳháne meṉ the, sab kí áṉkheṉ us par lagí thíṉ. 21Wuh un se kahne lagá, ki Áj yih nawishta tumháre sámne púrá húá hai. 22Aur sab ne us par gawáhí dí, aur un purfazl bátoṉ par, jo us ke muṉh se nikaltí thíṉ, taʻajjub karke kahne lage; Kyá yih Yúsuf ká beṭá nahíṉ? 23Us ne un se kahá; Tum albatta yih masal mujh par kahoge, ki Ai hakím, apne áp ko to achchhá kar: jo kuchh ham ne suná hai, ki Kafarnahúm meṉ kiyá gayá, yaháṉ apne watan meṉ bhí kar. 24Aur us ne kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki koí nabí apne watan meṉ maqbúl nahíṉ hotá. 25Aur maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Eliyyáh ke dinoṉ meṉ, jab sáṛhe tín baras ásmán band rahá, yaháṉ tak ki sáre mulk meṉ saḳht kál paṛá, bahut sí bewa ʻaurateṉ Isráíl meṉ thíṉ; 26lekin Eliyyáh un meṉ se kisí ke pás na bhejá gayá, magar mulk i Saidá ke shahr i Sárafat meṉ ek bewa ʻaurat ke pás. 27Aur Ilíshaʻ nabí ke waqt meṉ Isráíl ke darmiyán bahut se koṛhí the, lekin un meṉ se koí pák sáf na kiyá gayá, magar Naʻmán Súriyání. 28Jitne ʻibádatḳháne meṉ the, in bátoṉ ko sunte hí gusse se bhar gaye; 29aur uṭhkar us ko shahr se báhar nikálá, aur us paháṛ kí choṭí par le gaye, jis par un ká shahr ábád thá, táki use sir ke bal girá deṉ. 30Magar wuh un ke bích meṉ se nikalkar chalá gayá.
31Phir wuh Galíl ke shahr Kafarnahúm ko gayá. Aur wuh Sabt ke din unheṉ taʻlím de rahá thá; 32aur log us kí taʻlím se hairán the; kyúṉki us ká kalám iḳhtiyár ke sáth thá. 33Aur ʻibádatḳháne meṉ ek ádmí thá, jis meṉ nápák deo kí rúh thí; wuh baṛí áwáz se chillá uṭhá, ki 34Ai Yisúʻ Násarí, hameṉ tujh se kyá kám? kyá tú hameṉ halák karne áyá hai? Maiṉ tujhe jántá húṉ, ki tú kaun hai; Ḳhudá ká Quddús hai. 35Yisúʻ ne use jhiṛakkar kahá; Chup rah, aur us meṉ se nikal já. Is par badrúh use bích meṉ paṭakkar bagair zarar pahuṉcháe us meṉ se nikal gayí. 36Aur sab hairán hokar ápas meṉ kahne lage, ki Yih kaisá kalám hai? kyúṉki wuh iḳhtiyár aur qudrat se nápák rúhoṉ ko hukm detá hai, aur wuh nikal játí haiṉ. 37Aur girdnawáh meṉ har jagah us kí dhúm mach gayí.
38Phir wuh ʻibádatḳháne se uṭhkar Shamaʻún ke ghar meṉ dáḳhil húá, aur Shamaʻún kí sás ko baṛí tap chaṛhí húí thí#4:38 tap chaṛhí húí thí Jadeed urdu meṉ tap chaṛhná ke máani ghussa aaná hay. Qadeem urdu meṉ bukhar ki harart k lie istemal hota tha.; aur unhoṉ ne us ke liye us se ʻarz kí. 39Wuh khaṛá hokar us kí taraf jhuká, aur tap ko jhiṛká, to utar gayí: aur wuh usí dam uṭhkar un kí ḳhidmat karne lagí.
40Aur súraj ke ḍúbte waqt wuh sab log jin ke háṉ tarah tarah kí bímáríoṉ ke maríz the, unheṉ us ke pás láe; aur us ne un meṉ se har ek par háth rakhkar unheṉ achchhá kiyá. 41Aur badrúheṉ bhí chillákar aur yih kahkar, ki Tú Ḳhudá ká Beṭa hai, bahutoṉ meṉ se nikal gayíṉ; aur wuh unheṉ jhiṛaktá aur bolne na detá thá, kyúṉki wuh jántí thíṉ ki yih Masíh hai.
42Jab din húá to wuh nikalkar ek wírán jagah meṉ gayá, aur bhíṛ kí bhiṛ us ko ḍhúṉḍhtí húí us ke pás áí, aur us ko rokne lagí, ki Hamáre pás se na já. 43Us ne un se kahá; Mujhe âur shahroṉ meṉ bhí Ḳhudá kí bádsháhat kí ḳhushḳhabarí sunání zarúr hai, kyúṉki maiṉ isí liye bhejá gayá húṉ.
44Aur wuh Galíl ke ʻibádatḳhánoṉ meṉ manádí kartá rahá.
Currently Selected:
Lúqá 4: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)