Lúqá 3
3
1Tibiriyus Qaisar kí hukúmat ke pandrahweṉ baras, jab Puntiyus Pílátus Yahúdiya ká hákim thá, aur Herodes Galíl ká, aur us ká bháí Filippus Itúraiya aur Traḳhonítis ká, aur Lisániyás Abilene ká hákim thá, 2aur Hanná aur Káifá sardár káhin the; us waqt Ḳhudá ká kalám biyábán meṉ Zakaryáh ke beṭe Yúhanná par utrá. 3Aur wuh Yardan ke sáre girdnawáh meṉ jákar gunáhoṉ kí muʻáfí ke liye tauba ke baptisma kí manádí karne lagá, 4jaisá Yashaʻyáh nabí ke kalám kí kitáb meṉ likhá hai, ki
Biyábán meṉ pukárnewále kí áwáz átí hai, ki
Ḳhudáwand kí ráh taiyár karo,
Us ke ráste sídhe banáo.
5Har ek gháṭí bhar dí jáegí,
Aur har ek paháṛ aur ṭíla níchá kiyá jáegá;
Aur jo ṭeṛhá hai sídhá,
Aur jo úṉchá níchá hai hamwár rásta banegá;
6Aur har bashar Ḳhudá kí naját dekhegá.
7Pas jo log us se baptisma lene ko nikalkar áte the, wuh un se kahtá thá; Ai sáṉp ke bachcho, tumheṉ kis ne jatáyá, ki ánewále gazab se bhágo? 8Pas tauba ke muwáfiq phal láo, aur apne diloṉ meṉ yih kahná shurúʻ na karo, ki Ibráhím hamárá báp hai; kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Ḳhudá in pattharoṉ se Ibráhím ke liye aulád paidá kar saktá hai. 9Aur ab to daraḳhtoṉ kí jaṛ par kulháṛá rakkhá húá hai; pas jo daraḳht achchhá phal nahíṉ látá, wuh káṭá aur ág meṉ ḍálá játá hai. 10Logoṉ ne us se yih púchhá, ki Phir ham kyá kareṉ? 11Us ne jawáb meṉ un se kahá, ki Jis ke pás do kurte hoṉ, wuh us ko jis ke pás na ho báṉṭ de, aur jis ke pás kháná ho, wuh bhí aisá hí kare. 12Aur mahsúl lenewále bhí baptisma lene ko áe, aur us se púchhá, ki Ai ustád, ham kyá kareṉ? 13Us ne un se kahá; Jo tumháre liye muqarrar hai, us se ziyáda na lená. 14Aur sipáhíoṉ ne bhí us se yih púchhá, ki Ham log kyá kareṉ? Us ne un se kahá; Na kisí par zulm karo, aur na kisí se náhaqq kuchh lo, aur apní tanḳhwáh par kifáyat karo.
15Jab log muntazir the, aur sab apne apne dil meṉ Yúhanná kí bábat sochte the, ki áyá wuh Masíh hai, yá nahíṉ; 16to Yúhanná ne un sab se jawáb meṉ kahá; Maiṉ to tumheṉ pání se baptisma detá húṉ, magar jo mujh se zoráwar hai, wuh ánewálá hai; maiṉ us kí jútí ká tasma kholne ke láiq nahíṉ; wuh tumheṉ Rúhuʼl Quds aur ág se baptisma degá. 17Us ká chháj us ke háth meṉ hai, táki wuh apne khaliyán ko ḳhúb sáf kare, aur gehúoṉ ko apne khatte meṉ jamaʻ kare; magar bhúsí ko us ág meṉ jaláegá jo bujhne kí nahíṉ.
18Pas wuh âur bahut sí nasíhateṉ de deke logoṉ ko ḳhushḳhabarí sunátá rahá. 19Lekin chautháí mulk ke hákim Herodes ne, apne bháí Filippus kí bíwí Herodiyás ke sabab, aur un sárí buráiyoṉ ke báʻis jo Herodes ne kí thíṉ, Yúhanná se malámat uṭhákar, 20in sab se baṛhkar yih bhí kiyá, ki us ko qaid meṉ ḍálá.
21Jab sab logoṉ ne baptisma liyá, aur Yisúʻ bhí baptisma pákar duʻá máṉg rahá thá, to aisá húá ki ásmán khul gayá, 22aur Rúhuʼl Quds jismání súrat meṉ kabútar kí mánind us par utrá, aur ásmán se áwáz áí, ki Tú merá piyárá Beṭá hai; tujh se maiṉ ḳhush húṉ.
23Jab Yisúʻ ḳhud taʻlím dene lagá, to baras tís ek ká thá, aur (jaisá ki samjhá játá thá), Yúsuf ká beṭá thá, aur wuh ʻElí ká, 24aur wuh Mattát ká, aur wuh Lewí ká, aur wuh Malkí ká, aur wuh Yanná ká, aur wuh Yúsuf ká, 25aur wuh Mattityáh ká, aur wuh Ámos ká, aur wuh Nahúm ká, aur wuh Asalyáh ká, aur wuh Nogah ká, 26aur wuh Máʻat ká, aur wuh Mattityáh ká, aur wuh Shimʻí ká, aur wuh Yoseḳh ká, aur wuh Yodáh ká, 27aur wuh Yúhanná ká, aur wuh Resá ká, aur wuh Zarubbábil ká, aur wuh Shaʼaltiyel ká, aur wuh Nerí ká, 28aur wuh Malkí ká, aur wuh Addí ká, aur wuh Qosám ká, aur wuh Ilmodám ká, aur wuh ʻEr ká, 29aur wuh Yeshúʻ ká, aur wuh Ilʻázár ká, aur wuh Yorím ká, aur wuh Mattát ká, aur wuh Lewí ká, 30aur wuh Shamaʻún ká, aur wuh Yahúdáh ká, aur wuh Yúsuf ká, aur wuh Yonán ká, aur wuh Ilyáqím ká, 31aur wuh Maleáh ká, aur wuh Minnáh ká, aur wuh Mattatá ká, aur wuh Nátán ká, aur wuh Dáúd ká, 32aur wuh Yishai ká, aur wuh ʻObed ká, aur wuh Boʻaz ká, aur wuh Salmon ká, aur wuh Nahshon ká, 33aur wuh ʻAmmínádáb ká, aur wuh Arní ká, aur wuh Hisron ká, aur wuh Firis ká, aur wuh Yahúdáh ká, 34aur wuh Yaʻqúb ká, aur wuh Izháq ká, aur wuh Ibráhím ká, aur wuh Tirah ká, aur wuh Náhor ká, 35aur wuh Sarúg ká, aur wuh Raʻú ká, aur wuh Filig ká, aur wuh ʻEbir ká, aur wuh Shilah ká, 36aur wuh Qenán ká, aur wuh Arfakshad ká, aur wuh Shem ká, aur wuh Núh ká, aur wuh Limik ká, 37aur wuh Mathúshilah ká, aur wuh Hanok ká, aur wuh Yirid ká, aur wuh Mahalalel ká, aur wuh Qenán ká, 38aur wuh Inosh ká, aur wuh Shet ká, aur wuh Ádam ká, aur wuh Ḳhudá ká thá.
Currently Selected:
Lúqá 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)