YouVersion Logo
Search Icon

Yarmiyáh 37

37
1Aur Sidqiyáh bin Yúsiyáh jis ko sháh i Bábul Nabúkadrazar ne mulk i Yahúdáh par bádsháh muqarrar kiyá thá, Kúniyáh bin Yahúyaqím kí jagah bádsháhí karne lagá. 2Lekin na us ne, na us ke mulázimoṉ ne, na mulk ke logoṉ ne Ḳhudáwand kí wuh báteṉ suníṉ, jo us ne Yarmiyáh nabí kí ma‘rifat farmáí thíṉ.
3Aur Sidqiyáh bádsháh ne Yahúkal bin Salamiyáh aur Safaniyáh bin Ma‘siyáh káhin kí ma‘rifat Yarmiyáh nabí ko kahlá bhejá, ki Ab hamáre liye Ḳhudáwand hamáre Ḳhudá se du‘á kar. 4Hanoz Yarmiyáh logoṉ ke darmiyán áyá jáyá kartá thá: kyúṉki unhoṉ ne abhí use qaidḳháne meṉ nahíṉ ḍálá thá. 5Is waqt Fir‘aun kí fauj ne Misr se chaṛháí kí: aur jab Kasdíoṉ ne jo Yarúshalem ká muhásara kiye the, is kí shuhrat suní, to waháṉ se chale gaye. 6Tab Ḳhudáwand ká yih kalám Yarmiyáh nabí par názil húá, 7ki Ḳhudáwand, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Tum sháh i Yahúdáh se jis ne tum ko merí taraf bhejá ki mujh se daryáft karo, yúṉ kahná, ki Dekh, Fir‘aun kí fauj jo tumhárí madad ko niklí hai, apne mulk i Misr ko lauṭ jáegí. 8Aur Kasdí wápas ákar is shahr se laṛeṉge; aur ise fath karke ág se jaláeṉge. 9Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Tum yih kahkar apne áp ko fareb na do, ki Kasdí zarúr hamáre pás se chale jáeṉge: kyúṉki wuh na jáeṉge. 10Aur agarchi tum Kasdíoṉ kí tamám fauj ko jo tum se laṛtí hai, aisí shikast dete, ki un meṉ se sirf zaḳhmí báqí rahte, taubhí wuh sab apne apne ḳhaime se uṭhte, aur is shahr ko jalá dete.
11Aur jab Kasdíoṉ kí fauj Fir‘aun kí fauj ke ḍar se Yarúshalem ke sámne se kúch kar gayí, 12to Yarmiyáh Yarúshalem se niklá, ki Binyamín ke ‘iláqe meṉ jákar waháṉ logoṉ ke darmiyán apná hissa le. 13Aur jab wuh Binyamín ke pháṭak par pahuṉchá, to waháṉ pahrewáloṉ ká dárog̣a thá, jis ká nám Iriyáh bin Salamiyáh bin Hananiyáh thá, aur us ne Yarmiyáh nabí ko pakṛá, aur kahá, ki Tú Kasdíoṉ kí taraf bhágá játá hai. 14Tab Yarmiyáh ne kahá, Yih jhúṭh hai, maiṉ Kasdíoṉ kí taraf bhágá nahíṉ játá: par us ne us kí ek na suní: par Iriyáh Yarmiyáh ko pakaṛkar umará ke pás láyá. 15Aur umará Yarmiyáh par g̣azabnák húe, aur use márá, aur Yúnatan munshí ke ghar meṉ use qaid kiyá; kyúṉki unhoṉ ne us ghar ko qaidḳhána baná rakkhá thá. 16Jab Yarmiyáh qaidḳháne meṉ aur us ke tahḳhánoṉ meṉ dáḳhil hokar bahut dinoṉ tak waháṉ rah chuká; 17to Sidqiyáh bádsháh ne ádmí bhejkar use nikalwáyá: aur apne mahall meṉ us se ḳhufya taur se daryáft kiyá, ki Kyá Ḳhudáwand kí taraf se koí kalám hai? aur Yarmiyáh ne kahá, ki Hai. Kyúṉki us ne farmáya hai, ki Tú sháh i Bábul ke hawále kiyá jáegá. 18Aur Yarmiyáh ne Sidqiyáh bádsháh se kahá, ki Maiṉ ne terá, aur tere mulázimoṉ ká, aur in logoṉ ká kyá gunáh kiyá hai, ki tum ne mujhe qaidḳháne meṉ ḍálá hai? 19Ab tumháre nabí kaháṉ haiṉ, jo tum se nubuwwat karte aur kahte the, ki Sháh i Bábul tum par aur is mulk par chaṛháí nahíṉ karegá? 20Ab, ai bádsháh, mere áqá, merí sun; merí darḳhwást qubúl farmá, aur mujhe Yúnatan munshí ke ghar meṉ wápas na bhej, aisá na ho, ki maiṉ waháṉ mar jáúṉ. 21Tab Sidqiyáh bádsháh ne hukm diyá, aur unhoṉ ne Yarmiyáh ko qaidḳháne ke sahn meṉ rakkhá, aur har roz use nánbáíoṉ ke mahalle se ek roṭí lekar dete rahe, jab tak ki shahr meṉ roṭí mil saktí thí. Pas Yarmiyáh qaidḳháne ke sahn meṉ rahá.

Currently Selected:

Yarmiyáh 37: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Yarmiyáh 37