YouVersion Logo
Search Icon

Yarmiyáh 38

38
1Phir Safatiyáh bin Mattán aur Jidaliyáh bin Fashhúr aur Yúkal bin Salamiyáh aur Fashhúr bin Malkiyáh ne wuh báteṉ jo Yarmiyáh sab logoṉ se kahtá thá suníṉ; wuh kahtá thá, 2Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Jo koí is shahr meṉ rahegá, wuh talwár aur kál aur wabá se maregá; aur jo Kasdíoṉ meṉ já milegá, wuh zinda rahegá, aur us kí ján us ke liye g̣anímat hogí, aur wuh jítá rahegá. 3Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Yih shahr yaqínan sháh i Bábul kí fauj ke hawále kar diyá jáegá, aur wuh ise le legá. 4Is liye umará ne bádsháh se kahá, Ham tujh se ‘arz karte haiṉ ki is ádmí ko qatl karwá; kyúṉki yih jangí mardoṉ ke háthoṉ ko, jo is shahr meṉ báqí haiṉ, aur sab logoṉ ke háthoṉ ko un se aisí báteṉ kahkar sust kartá hai: kyúṉki yih shaḳhs in logoṉ ká ḳhairḳhwáh nahíṉ, balki badḳhwáh hai. 5Tab Sidqiyáh bádsháh ne kahá, Wuh tumháre qábú meṉ hai: kyúṉki bádsháh tumháre ḳhiláf kuchh nahíṉ kar saktá. 6Tab unhoṉ ne Yarmiyáh ko pakaṛkar Malkiyáh sháhzáde ke hauz meṉ jo qaidḳháne ke sahn meṉ thá ḍál diyá: aur unhoṉ ne Yarmiyáh ko rasse se báṉdhkar laṭkáyá. Aur hauz meṉ kuchh pání na thá, balki kích thí: aur Yarmiyáh kích meṉ dhas gayá. 7Aur jab ‘Abd Malik Kúshí ne jo sháhí mahall ke ḳhwájasaraoṉ meṉ se thá suná, ki unhoṉ ne Yarmiyáh ko hauz meṉ ḍál diyá hai, jab ki bádsháh Binyamín ke pháṭak meṉ baiṭhá thá, 8to ‘Abd Malik bádsháh ke mahall se niklá, aur bádsháh se yúṉ ‘arz kí, 9ki Ai bádsháh, mere áqá, in logoṉ ne Yarmiyáh nabí se jo kuchh kiyá burá kiyá; kyúṉki unhoṉ ne use hauz meṉ ḍál diyá hai, aur wuh waháṉ bhúk se mar jáegá: kyúṉki shahr meṉ roṭí nahíṉ hai. 10Tab bádsháh ne ‘Abd Malik Kúshí ko yúṉ hukm diyá, ki Tú yaháṉ se tís ádmí apne sáth le, aur Yarmiyáh nabí ko peshtar is se ki wuh mar jáe hauz meṉ se nikál. 11Aur ‘Abd Malik un ádmíoṉ ko jo us ke pás the, apne sáth lekar bádsháh ke mahall meṉ ḳhazáne ke níche gayá, aur puráne chithṛe aur puráne saṛe húe latte waháṉ se liye, aur un ko rassiyoṉ ke wasíle se hauz meṉ Yarmiyáh ke pás laṭkáyá. 12Aur ‘Abd Malik Kúshí ne Yarmiyáh se kahá, ki In puráne chithṛoṉ aur saṛe húe lattoṉ ko rassí ke níche apní bag̣al tale rakh. Aur Yarmiyáh ne waisá hí kiyá. 13Aur unhoṉ ne rassiyoṉ se Yarmiyáh ko kheṉchá, aur hauz se báhar nikálá: aur Yarmiyáh qaidḳháne ke sahn meṉ rahá.
14Tab Sidqiyáh bádsháh ne Yarmiyáh nabí ko Ḳhudáwand ke ghar ke tísre madḳhal meṉ apne pás bulwáyá, aur bádsháh ne Yarmiyáh se kahá, Maiṉ tujh se ek bát púchhtá húṉ; tú mujh se kuchh na chhipá. 15Aur Yarmiyáh ne Sidqiyáh se kahá, ki Agar maiṉ tujh se kholkar bayán karúṉ, to kyá tú mujhe yaqínan qatl na karegá? aur agar maiṉ tujhe saláh dúṉ, to tú na mánegá. 16Tab Sidqiyáh bádsháh ne Yarmiyáh ke sámne tanháí meṉ kahá, Zinda Ḳhudáwand kí qasam, jo hamárí jánoṉ ká ḳháliq hai, ki na maiṉ tujhe qatl karúṉgá, aur na un ke hawále karúṉgá jo terí ján ke ḳhwáháṉ haiṉ. 17Tab Yarmiyáh ne Sidqiyáh se kahá, ki Ḳhudáwand, lashkaroṉ ká Ḳhudá, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Yaqínan agar tú nikalkar sháh i Bábul ke umará ke pás chalá jáegá, to terí ján bach jáegí, aur yih shahr ág se jaláyá na jáegá; aur tú aur terá gharáná zinda rahegá: 18par agar tú sháh i Bábul ke umará ke pás na jáegá, to yih shahr Kasdíoṉ ke hawále kar diyá jáegá, aur wuh ise jalá deṉge, aur tú un ke háth se riháí na páegá. 19Aur Sidqiyáh bádsháh ne Yarmiyáh se kahá, ki Maiṉ un Yahúdíoṉ se ḍartá húṉ, jo Kasdíoṉ se já mile haiṉ, aisá na ho, ki wuh mujhe un ke hawále kareṉ, aur wuh mujh par ta‘na máreṉ. 20Aur Yarmiyáh ne kahá, Wuh tujhe hawála na kareṉge; maiṉ terí minnat kartá húṉ, tú Ḳhudáwand kí bát, jo maiṉ tujh se kahtá húṉ, mán le: is se terá bhalá hogá, aur terí ján bach jáegí. 21Par agar tú jáne se inkár kare, to yihí kalám hai jo Ḳhudáwand ne mujh par záhir kiyá, 22ki Dekh, wuh sab ‘aurateṉ jo sháh i Yahúdáh ke mahall meṉ báqí haiṉ, sháh i Bábul ke umará ke pás pahuṉcháí jáeṉgí, aur kaheṉgí, ki Tere dostoṉ ne tujhe fareb diyá, aur tujh par g̣álib áe: jab tere páṉw kích meṉ dhas gaye, to wuh ulṭe phir gaye. 23Aur wuh terí sab bíwiyoṉ aur tere beṭoṉ ko Kasdíoṉ ke pás nikál le jáeṉge: aur tú bhí un ke háth se riháí na páegá, balki sháh i Bábul ke háth meṉ giriftár hogá: aur tú is shahr ke ág se jaláe jáne ká bá‘is hogá. 24Tab Sidqiyáh ne Yarmiyáh se kahá, ki In bátoṉ ko koí na jáne, to tú márá na jáegá. 25Par agar umará sun leṉ, ki maiṉ ne tujh se bát chít kí, aur wuh tere pás ákar kaheṉ, ki Jo kuchh tú ne bádsháh se kahá, aur jo kuchh bádsháh ne tujh se kahá, ab ham par záhir kar: ham se na chhipá, aur ham tujhe qatl na kareṉge; 26tab tú un se kahná, ki Maiṉ ne bádsháh se ‘arz kí thí, ki mujhe phir Yúnatan ke ghar meṉ wápas na bheje, ki waháṉ marúṉ. 27Tab sab umará Yarmiyáh ke pás áe, aur us se púchhá: aur us ne in sab bátoṉ ke mutábiq, jo bádsháh ne farmáí thíṉ, un ko jawáb diyá. Aur wuh us ke pás se chup hokar chale gaye; kyúṉki asl mu‘ámala un ko ma‘lúm na húá. 28Aur jis din tak Yarúshalem fath na húá, Yarmiyáh qaidḳháne ke sahn meṉ rahá, aur jab Yarúshalem fath húá to wuh wahíṉ thá.

Currently Selected:

Yarmiyáh 38: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Yarmiyáh 38