Yarmiyáh 36
36
1Sháh i Yahúdáh Yahúyaqím bin Yúsiyáh ke chauthe baras meṉ yih kalám Ḳhudáwand kí taraf se Yarmiyáh par názil húá, 2ki Kitáb ká ek túmár le, aur wuh sab kalám jo maiṉ ne Isráíl aur Yahúdáh aur tamám aqwám ke ḳhiláf tujh se kiyá, us din se lekar jab se maiṉ tujh se kalám karne lagá, ya‘ní Yúsiyáh ke aiyám se áj ke din tak us meṉ likh. 3Sháyad Yahúdáh ká gharáná us tamám musíbat ká hál, jo maiṉ un par láne ká iráda rakhtá húṉ, sune; táki wuh sab apní burí rawish se báz áeṉ; aur maiṉ un kí badkirdárí aur gunáh ko mu‘áf karúṉ. 4Tab Yarmiyáh ne Bárúk bin Naiyiriyáh ko buláyá, aur Bárúk ne Ḳhudáwand ká wuh sab kalám jo us ne Yarmiyáh se kiyá thá, us kí zabání kitáb ke us túmár meṉ likhá. 5Aur Yarmiyáh ne Bárúk ko hukm diyá, aur kahá, ki Maiṉ to majbúr húṉ; maiṉ Ḳhudáwand ke ghar meṉ nahíṉ já saktá: 6par tú já, aur Ḳhudáwand ká wuh kalám jo tú ne mere muṉh se us túmár meṉ likhá hai, Ḳhudáwand ke ghar meṉ roze ke din logoṉ ko paṛhkar suná; aur tamám Yahúdáh ke logoṉ ko bhí jo apne shahroṉ se áe hoṉ, tú wuhí kalám paṛhkar suná. 7Sháyad wuh Ḳhudáwand ke huzúr minnat kareṉ, aur sab ke sab apní burí rawish se báz áeṉ: kyúṉki Ḳhudáwand ká qahr o g̣azab jis ká us ne in logoṉ ke ḳhiláf i‘lán kiyá hai, shadíd hai. 8Aur Bárúk bin Naiyiriyáh ne sab kuchh jaisá Yarmiyáh nabí ne us ko farmáyá thá, waisá hí kiyá, aur Ḳhudáwand ke ghar meṉ Ḳhudáwand ká kalám us kitáb se paṛhkar sunáyá.
9Aur sháh i Yahúdáh Yahúyaqím bin Yúsiyáh ke páṉchweṉ baras ke nauweṉ mahíne meṉ yúṉ húá, ki Yarúshalem ke sab logoṉ ne aur un sab ne jo Yahúdáh ke shahroṉ se Yarúshalem meṉ áe the, Ḳhudáwand ke huzúr roze kí manádí kí. 10Tab Bárúk ne kitáb se Yarmiyáh kí báteṉ Ḳhudáwand ke ghar meṉ Jamariyáh bin Sáfan munshí kí koṭhrí meṉ úpar ke sahn ke darmiyán Ḳhudáwand ke ghar ke naye pháṭak ke madḳhal par sab logoṉ ke sámne paṛh sunáíṉ. 11Jab Míkáyáh bin Jamariyáh bin Sáfan ne Ḳhudáwand ká wuh sab kalám jo us kitáb meṉ thá suná, 12to wuh utarkar bádsháh ke ghar munshí kí koṭhrí meṉ gayá, aur sab umará ya‘ní Ilísama‘ munshí, aur Diláyáh bin Sama‘iyáh, aur Ilnátan bin ‘Akbor, aur Jamariyáh bin Sáfan, aur Sidqiyáh bin Hananiyáh, aur sab umará waháṉ baiṭhe the. 13Tab Míkáyáh ne wuh sab báteṉ jo us ne suní thíṉ jab Bárúk kitáb se paṛhkar logoṉ ko sunátá thá, un se bayán kíṉ. 14Aur sab umará ne Yahúdí bin Nataniyáh bin Salamiyáh bin Kúshí ko Bárúk ke pás yih kahkar bhejá, ki Wuh túmár jo tú ne logoṉ ko paṛhkar sunáyá hai, apne háth meṉ le, aur chalá á. Pas Bárúk bin Naiyiriyáh wuh túmár lekar un ke pás áyá. 15Aur unhoṉ ne use kahá, ki Ab baiṭh já, aur ham ko yih paṛhkar suná. Aur Bárúk ne un ko paṛhkar sunáyá. 16Aur jab unhoṉ ne wuh sab báteṉ suníṉ, to ḍarkar ek dúsre ká muṉh tákne lage, aur Bárúk se kahá, ki Ham yaqínan yih sab báteṉ bádsháh se bayán kareṉge. 17Aur unhoṉ ne yih kahkar Bárúk se púchhá, ki Ham se kah, ki tú ne yih sab báteṉ us kí zabání kyúṉkar likhíṉ? 18Tab Bárúk ne un se kahá, Wuh yih sab báteṉ mujhe apne muṉh se kahtá gayá, aur maiṉ siyáhí se kitáb meṉ likhtá gayá. 19Tab umará ne Bárúk se kahá, ki Já, apne áp ko aur Yarmiyáh ko chhipá; aur koí na jáne ki tum kaháṉ ho. 20Aur wuh bádsháh ke pás sahn meṉ gaye; lekin us túmár ko Ilísama‘ munshí kí koṭhrí meṉ rakh gaye; aur wuh báteṉ bádsháh ko kah sunáíṉ. 21Tab bádsháh ne Yahúdí ko bhejá, ki túmár láe: aur wuh use Ilísama‘ munshí kí koṭhrí meṉ se le áyá; aur Yahúdí ne bádsháh aur sab umará ko jo bádsháh ke huzúr khaṛe the, use paṛhkar sunáyá. 22Aur bádsháh zamistání mahall meṉ baiṭhá thá, kyúṉki nauwáṉ mahína thá; aur us ke sámne angíṭhí jal rahí thí. 23Aur jab Yahúdí ne tín chár warq paṛhe, to us ne use munshí ke qalam tarásh se káṭá, aur angíṭhí kí ág meṉ ḍál diyá, yaháṉ tak ki tamám túmár angíṭhí kí ág se bhasam ho gayá. 24Lekin wuh na ḍare, na unhoṉ ne apne kapṛe pháṛe, na bádsháh ne, na us ke mulázimoṉ meṉ se kisí ne, jinhoṉ ne yih sab báteṉ suní thíṉ. 25Lekin Ilnátan, aur Diláyáh, aur Jamariyáh ne bádsháh se ‘arz kí, ki túmár ko na jaláe: par us ne un kí ek na suní. 26Aur bádsháh ne sháhzáda Yarahmiel ko aur Shiráyáh bin ‘Azríel aur Salamiyáh bin ‘Abdíel ko hukm diyá, ki Bárúk munshí aur Yarmiyáh nabí ko giriftár kareṉ: lekin Ḳhudáwand ne un ko chhipáyá.
27Aur jab bádsháh túmár aur un bátoṉ ko, jo Bárúk ne Yarmiyáh kí zabání likhí thíṉ, jalá chuká, to Ḳhudáwand ká yih kalám Yarmiyáh par názil húá, 28ki Tú dúsrá túmár le, aur us meṉ wuh sab báteṉ likh, jo pahle túmár meṉ thíṉ, jise sháh i Yahúdáh Yahúyaqím ne jalá diyá. 29Aur sháh i Yahúdáh Yahúyaqím se kah, ki Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Tú ne túmár ko jalá diyá, aur kahá hai, ki Tú ne us meṉ yúṉ kyúṉ likhá, ki Sháh i Bábul yaqínan áegá, aur is mulk ko g̣árat karegá, aur na is meṉ insán báqí chhoṛegá, na haiwán? 30Is liye sháh i Yahúdáh Yahúyaqím kí bábat Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai ki Us kí nasl meṉ se koí na rahegá, jo Dáúd ke taḳht par baiṭhe: aur us kí lásh pheṉkí jáegí, táki din ko garmí meṉ, aur rát ko pále meṉ paṛí rahe. 31Aur maiṉ us ko aur us kí nasl ko aur us ke mulázimoṉ ko un kí badkirdárí kí sazá dúṉgá; aur maiṉ un par aur Yarúshalem ke báshindoṉ par aur Yahúdáh ke logoṉ par wuh sab musíbat láúṉgá, jis ká maiṉ ne un ke ḳhiláf i‘lán kiyá, par wuh shanawá na húe. 32Tab Yarmiyáh ne dúsrá túmár liyá, aur Bárúk bin Naiyiriyáh munshí ko diyá; aur us ne us kitáb kí sab báteṉ jise sháh i Yahúdáh Yahúyaqím ne ág meṉ jaláyá thá, Yarmiyáh kí zabání us meṉ likhíṉ: aur un ke siwá waisí hí âur bahut sí báteṉ un meṉ baṛhá dí gayíṉ.
Currently Selected:
Yarmiyáh 36: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)