Yarmiyáh 35
35
1Wuh kalám jo sháh i Yahúdáh Yahúyaqím bin Yúsiyáh ke aiyám meṉ Ḳhudáwand kí taraf se Yarmiyáh par názil húá, 2ki Tú Raikábíoṉ ke ghar já, aur un se kalám kar, aur un ko Ḳhudáwand ke ghar kí ek koṭhrí meṉ lákar mai pilá. 3Tab maiṉ ne Yázaniyáh bin Yarmiyáh bin Habaziniyáh aur us ke bháiyoṉ aur us ke sab beṭoṉ aur Raikábíoṉ ke tamám gharáne ko sáth liyá. 4Aur maiṉ un ko Ḳhudáwand ke ghar meṉ baní Hanán bin Yajdaliyáh mard i Ḳhudá kí koṭhrí meṉ láyá, jo umará kí koṭhrí ke nazdík Ma‘siyáh bin Salúm darbán kí koṭhrí ke úpar thí. 5Aur maiṉ ne mai se labrez piyále aur jám Raikábíoṉ ke gharáne ke beṭoṉ ke áge rakkhe, aur un se kahá, Mai piyo. 6Par unhoṉ ne kahá, Ham mai na píeṉge, kyúṉki hamáre báp Yúnádáb bin Raikáb ne ham ko yúṉ hukm diyá, ki Tum hargiz mai na píná, na tum, na tumháre beṭe: 7aur na ghar banáná, na bíj boná, na tákistán lagáná, na un ke málik honá; balki ‘umr bhar ḳhaimoṉ meṉ rahná; táki jis sarzamín meṉ tum musáfir ho, tumhárí ‘umr daráz ho. 8Chunáṉchi ham ne apne báp Yúnádáb bin Raikáb kí bát mání, us ke hukm ke mutábiq ham aur hamárí bíwiyáṉ aur hamáre beṭe beṭiyáṉ kabhí mai nahíṉ píte: 9aur ham na rahne ke liye ghar banáte: aur na tákistán aur khet aur bíj rakhte haiṉ: 10par ham ḳhaimoṉ meṉ base haiṉ, aur ham ne farmánbardárí kí, aur jo kuchh hamáre báp Yúnádáb ne ham ko hukm diyá, ham ne us par ‘amal kiyá hai. 11Lekin yúṉ húá, ki jab sháh i Bábul Nabúkadrazar is mulk par chaṛh áyá, to ham ne kahá, ki Ao, ham Kasdíoṉ aur Arámíoṉ kí fauj ke ḍar se Yarúshalem ko chale jáeṉ; yúṉ ham Yarúshalem meṉ baste haiṉ.
12Tab Ḳhudáwand ká kalám Yarmiyáh par názil húá, 13ki Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Já, aur Yahúdáh ke ádmíoṉ aur Yarúshalem ke báshindoṉ se yúṉ kah, ki Kyá tum tarbiyatpazír na hoge, ki merí báteṉ suno, Ḳhudáwand farmátá hai? 14Jo báteṉ Yúnádáb bin Raikáb ne apne beṭoṉ ko farmáíṉ, ki Mai na píyo, wuh bajá láe, aur áj tak mai nahíṉ píte, balki unhoṉ ne apne báp ke hukm ko máná: lekin maiṉ ne tum se kalám kiyá, aur barwaqt tum ko farmáyá; aur tum ne merí na suní. 15Aur maiṉ ne apne tamám ḳhidmatguzár nabíoṉ ko tumháre pás bhejá, aur un ko barwaqt yih kahte húe bhejá, ki Tum har ek apní burí ráh se báz áo, aur apne a‘mál ko durust karo, aur g̣airma‘búdoṉ kí pairawí aur ‘ibádat na karo, aur jo mulk maiṉ ne tum ko aur tumháre bápdádá ko diyá hai, tum us meṉ basoge: lekin tum ne na kán lagáyá, na merí suní. 16Is sabab se ki Yúnádáb bin Raikáb ke beṭe apne báp ke hukm ko jo us ne un ko diyá thá bajá láe, par in logoṉ ne merí na suní; 17is liye Ḳhudáwand, Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, Dekh, maiṉ Yahúdáh par aur Yarúshalem ke tamám báshindoṉ par wuh sab musíbat, jis ká maiṉ ne un ke ḳhiláf i‘lán kiyá hai, láúṉgá: kyúṉki maiṉ ne un se kalám kiyá, par wuh shanawá na húe; aur maiṉ ne un ko buláyá, par unhoṉ ne jawáb na diyá. 18Aur Yarmiyáh ne Raikábíoṉ ke gharáne se kahá, ki Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Chúṉki tum ne apne báp Yúnádáb ke hukm ko máná, aur us kí sab wasíyatoṉ par ‘amal kiyá hai, aur jo kuchh us ne tum ko farmáyá, tum bajá láe; 19is liye Rabb u’l afwáj, Isráíl ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Yúnádáb bin Raikáb ke liye mere huzúr meṉ khaṛe hone ko kabhí ádmí kí kamí na hogí.
Currently Selected:
Yarmiyáh 35: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)