YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 15

15
1Moáb kí bábat bár i nubuwwat.
Ek hí rát meṉ ‘Ár i Moáb ḳharáb o nábúd ho gayá; ek hí rát meṉ Qír i Moáb ḳharáb o nest ho gayá. 2Bait aur Díbon úṉche maqámoṉ par rone ke liye chaṛh gaye haiṉ; Nabú aur Mídbá par ahl i Moáb wáwailá karte haiṉ; un sab ke sir munḍáe gaye, aur har ek kí dáṛhí káṭí gayí. 3Wuh apní ráhoṉ meṉ ṭáṭ ká kamarband báṉdhte haiṉ, aur apne gharoṉ kí chhatoṉ par aur bázároṉ meṉ nauha karte húe sab ke sab zár zár rote haiṉ. 4Hasbon aur Ilí‘álah wáwailá karte haiṉ: un kí áwáz Yahaz tak sunáí detí hai: is par Moáb ke musallah sipáhí chillá chillákar rote haiṉ; us kí ján us meṉ thartharátí hai. 5Merá dil Moáb ke liye faryád kartá hai; us ke bhágnewále Zug̣r tak ‘Ajlat Shalíshiyáh tak pahuṉche háṉ: wuh Lúhít kí chaṛháí par rote húe chaṛh játe, aur Horonáyim kí ráh meṉ halákat par wáwailá karte haiṉ. 6Kyúṉki Namrím kí nahreṉ ḳharáb ho gayíṉ, kyúṉki ghás kumlá gayí, aur sabza murjhá gayá, aur roídagí ká nám na rahá. 7Is liye wuh firáwán mál, jo unhoṉ ne hásil kiyá thá, aur zaḳhíra, jo unhoṉ ne rakh chhoṛá thá, bed kí nadí ke pár le jáeṉge. 8Kyúṉki faryád Moáb kí sarhaddoṉ tak, aur un ká nauha Ijláim tak aur un ká mátam Baír Elím tak pahuṉch gayá hai. 9Kyúṉki Daimon kí nadiyáṉ lahú se bharí haiṉ: maiṉ Daimon par ziyáda musíbat láúṉgá, kyúṉki us par jo Moáb meṉ se bachkar bhágegá aur us mulk ke báqí logoṉ par ek sher i babar bhejúṉgá.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 15: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in