YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 16

16
1Sila‘ se biyábán kí ráh duḳhtar i Siyyún ke paháṛ par mulk ke hákim ke pás barre bhejo. 2Kyúṉki Arnon ke gháṭoṉ par Moáb kí beṭiyáṉ awára parandoṉ aur un ke paráganda bachchoṉ kí mánind hoṉgí. 3Saláh do, insáf karo; apná sáya do pahar ko rát kí mánind banáo: jiláwatanoṉ ko panáh do; faráríoṉ ko hawála na karo. 4Mere jiláwatan tere sáth raheṉ, tú Moáb ko g̣áratgaroṉ se chhipá le; kyúṉki sitamgar mauqúf hoṉge, aur g̣áratgarí tamám ho jáegí; aur sab zálim mulk se faná hoṉge. 5Yúṉ taḳht rahmat se qáim hogá, aur ek shaḳhs rástí se Dáúd ke ḳhaime meṉ us par julús farmákar ‘adl kí pairawí karegá, aur rastbází par musta‘idd rahegá.
6Ham ne Moáb ke ghamanḍ kí bábat suná hai, ki wuh baṛá ghamanḍí hai; us ká takabbur aur ghamanḍ aur qahr bhí suná hai; us kí sheḳhí hech hai. 7So Moáb wáwailá karegá, Moáb ke liye har ek wáwailá karegá: Qír Hirásat kí kishmish kí ṭikkiyoṉ par tum saḳht tabáhhálí meṉ mátam karoge. 8Kyúṉki Hasbon ke khet súkh gaye, qaumoṉ ke sardároṉ ne Sibmah kí ták kí bihtarín sháḳhoṉ ko toṛ ḍálá; wuh Ya‘zer tak baṛhíṉ; wuh jangal meṉ bhí phailíṉ; us kí sháḳheṉ dúr tak phail gayíṉ; wuh daryá pár guzríṉ. 9Pas maiṉ Ya‘zer ke áh o nála se Sibmah kí ták ke liye zárí karúṉgá; ai Hasbon, ai Ilí‘álah maiṉ tujhe apne áṉsúoṉ se tar karúṉgá, kyúṉki tere aiyám garmí ke mewoṉ, aur g̣alle kí fasl ko g̣aug̣á e jang ne á liyá. 10Aur shádmání chhín lí gayí, aur hare bhare khetoṉ kí ḳhushí játí rahí; aur tákistánoṉ meṉ gáná aur lalkárná band ho jáegá: pámál karnewále angúroṉ ko phir hauzoṉ meṉ pámál na kareṉge; maiṉ ne angúr kí fasl ke g̣aug̣á ko mauqúf kar diyá. 11Is liye merá andarún Moáb par aur merá dil Qír Háras par barbat kí mánind fig̣ánḳhez hai. 12Aur yúṉ hogá, ki jab Moáb házir ho, aur úṉche maqám par apne áp ko thakáe, balki apne ma‘bad meṉ jákar du‘á kare, to use kuchh fáida na hogá.
13Yih wuh kalám hai, jo Ḳhudáwand ne Moáb ke haqq meṉ zamána e mází meṉ farmáyá thá. 14Par ab Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Tín baras ke andar, jo mazdúroṉ ke barasoṉ kí mánind hoṉ, Moáb kí shaukat us ke tamám lashkaroṉ samet haqír ho jáegí, aur bahut thoṛe báqí bacheṉge, aur wuh kisí hisáb meṉ na hoṉge.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 16: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in