YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 14

14
1Kyúṉki Ḳhudáwand Ya‘qúb par rahm farmáegá, balki wuh Isráíl ko hanoz barguzída karegá, aur un ko un ke mulk meṉ phir qáim karegá: aur pardesí un ke sáth mel kareṉge, aur Ya‘qúb ke gharáne se mil jáeṉge. 2Aur log un ko lákar un ke mulk meṉ pahuṉcháeṉge, aur Isráíl ká gharáná Ḳhudáwand kí sarzamín meṉ un ká málik hokar un ko g̣ulám aur lauṉḍiyáṉ banáegá; kyúṉki wuh apne asír karnewáloṉ ko asír kareṉge; aur apne zulm karnewáloṉ par hukúmat kareṉge.
3Aur yúṉ hogá, ki jab Ḳhudáwand tujhe terí mihnat o mashaqqat se aur saḳht ḳhidmat se, jo unhoṉ ne tujh se karáí, ráhat baḳhshegá, 4tab tú sháh i Bábul ke ḳhiláf yih masal láegá, aur kahegá, ki Zálim kaisá nábúd ho gayá, aur g̣ásib kaisá nest húá! 5Ḳhudáwand ne sharíroṉ ká laṭh ya‘ní beinsáf hákimoṉ ká ‘asá toṛ ḍálá; 6wuhí jo logoṉ ko qahr se mártá rahá, aur qaumoṉ par g̣azab ke sáth hukmrání kartá rahá, aur koí rok na saká. 7Sárí zamín par árám o ásáish hai, wuh yakáyak gít gáne lagte haiṉ. 8Háṉ, sanaubar ke daraḳht aur Lubnán ke deodár tujh par yih kahte húe ḳhushí karte haiṉ, ki Jab se tú giráyá gayá, tab se koí káṭnewálá hamárí taraf nahíṉ áyá. 9Pátál níche se tere sabab se jumbish khátá hai, ki tere áte waqt terá istiqbál kare: wuh tere liye murdoṉ ko ya‘ní zamín ke sab sardároṉ ko jagátá hai; wuh qaumoṉ ke sab bádsháhoṉ ko un ke taḳhtoṉ par se uṭhá khaṛá kartá hai. 10Wuh sab tujh se kaheṉge, Kyá tú bhí hamárí mánind ‘ájiz ho gayá? tú aisá ho gayá jaise ham haiṉ? 11Terí shán o shaukat aur tere sázoṉ kí ḳhusháwází pátál meṉ utárí gayí: tere níche kíṛoṉ ká farsh húá, aur kíṛe hí terá báláposh bane. 12Ai subh ke raushan sitáre, tú kyúṉkar ásmán par se gir paṛá! ai qaumoṉ ko past karnewále, tú kyúṉkar zamín par paṭká gayá! 13Tú to apne dil meṉ kahtá thá, Maiṉ ásmán par chaṛh jáúṉgá, maiṉ apne taḳht ko Ḳhudá ke sitároṉ se bhí úṉchá karúṉgá, aur maiṉ shimálí atráf meṉ jamá‘at ke paháṛ par baiṭhúṉgá: 14maiṉ bádaloṉ se bhí úpar chaṛh jáúṉgá; maiṉ Ḳhudá Ta‘álá kí mánind húṉgá. 15Lekin tú pátál meṉ gaṛhe kí tah meṉ utárá jáegá. 16Aur jin kí nazar tujh par paṛegí, tujhe g̣aur se dekhkar kaheṉge, Kyá yih wuhí shaḳhs hai, jis ne zamín ko larzáyá, aur mamlukatoṉ ko hilá diyá; 17jis ne jahán ko wírán kiyá, aur us kí bastiyáṉ ujáṛ díṉ; jis ne apne asíroṉ ko ázád na kiyá, ki ghar kí taraf jáeṉ? 18Qaumoṉ ke tamám bádsháh sab ke sab apne apne maskan meṉ shaukat ke sáth árám karte haiṉ. 19Lekin tú apní gor se báhar nikammí sháḳh kí mánind nikál pheṉká gayá; tú un maqtúloṉ ke níche dabá hai, jo talwár se chhede gaye, aur gaṛhe ke pattharoṉ par gire haiṉ; us lásh kí mánind jo páṉwoṉ se latáṛí gayí ho. 20Tú un ke sáth kabhí qabr meṉ dafn na kiyá jáegá, kyúṉki tú ne apní mamlukat ko wírán kiyá, aur apní ra‘íyat ko qatl kiyá; badkirdároṉ kí nasl ká nám báqí na rahegá. 21Us ke farzandoṉ ke liye un ke bápdádá ke gunáhoṉ ke sabab se qatl ká sámán taiyár karo; táki wuh phir uṭhkar mulk ke málik na ho jáeṉ, aur rú e zamín ko shahroṉ se ma‘múr na kareṉ. 22Kyúṉki Rabb u’l afwáj farmátá hai, Maiṉ un kí muḳhálafat ko uṭhúṉgá, aur maiṉ Bábul ká nám miṭáúṉgá; aur un ko jo báqí haiṉ, beṭoṉ aur potoṉ samet káṭ ḍálúṉgá; yih Ḳhudáwand ká farmán hai. 23Rabb u’l afwáj farmátá hai, Maiṉ use ḳhárpusht kí mírás aur táláb baná dúṉgá: aur maiṉ use faná ke jháṛú se sáf kar dúṉgá.
24 Rabb u’l afwáj qasam khákar farmátá hai, ki Yaqínan jaisá maiṉ ne cháhá, waisá hí ho jáegá: aur jaisá maiṉ ne iráda kiyá hai, waisá hí wuqú‘ meṉ áegá. 25Maiṉ apne hí mulk meṉ Asúrí ko shikast dúṉgá, aur apne paháṛoṉ par use páṉw tale latáṛúṉgá; tab us ká júá un par se utregá, aur us ká bojh un ke kandhoṉ par se ṭalegá. 26Sárí dunyá kí bábat yihí hai, aur sab qaumoṉ par yihí háth baṛháyá gayá hai. 27Kyúṉkí Rabb u’l afwáj ne iráda kiyá hai, kaun use bátil karegá? aur us ká háth baṛháyá gayá hai, use kaun rokegá?
28Jis sál Áḳhaz bádsháh ne wafát páí, usí sál yih bár i nubuwwat áyá.
29Ai kull Filistín, tú is par ḳhush na ho, ki tujhe márnewálá laṭh ṭúṭ gayá; kyúṉki sáṉp kí asl se ek nág niklegá, aur us ká phal ek uṛnewálá átashí sáṉp hogá. 30Tab miskínoṉ ke pahlauṭhe kháeṉge, aur muhtáj árám se soeṉge; par maiṉ terí jaṛ kál se barbád kar dúṉgá, aur tere báqí log qatl kiye jáeṉge. 31Ai pháṭak, tú wáwailá kar; ai shahr, tú chillá; ai Filistín, tú bi’lkull gudáz ho gayí; kyúṉki shimál se ek dhuwáṉ uṭhegá, aur us ke lashkaroṉ meṉ se koí píchhe na rah jáegá. 32Us waqt qaum ke qásidoṉ ko koí kyá jawáb degá? ki Ḳhudáwand ne Siyyún ko ta‘mír kiyá hai, aur us meṉ us ke miskín bande panáh leṉge.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 14: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in