YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 13

13
1Bábul kí bábat bár i nubuwwat jo Yasa‘iyáh bin Ámús ne royá meṉ páyá.
2Tum naṉge paháṛ par ek jhanḍá khaṛá karo, un ko baland áwáz se pukáro, aur háth se ishára karo, ki wuh sardároṉ ke darwázoṉ ke andar jáeṉ. 3Maiṉ ne apne maḳhsús logoṉ ko hukm kiyá; maiṉ ne apne baháduroṉ ko jo merí ḳhudáwandí se masrúr haiṉ buláyá hai, ki wuh mere qahr ko anjám deṉ. 4Paháṛon meṉ ek hujúm ká shor hai, goyá baṛe lashkar ká! mamlukatoṉ kí qaumoṉ ke ijtimá‘ ká g̣aug̣á hai! Rabb u’l afwáj jang ke liye lashkar jama‘ kartá hai. 5Wuh dúr mulk se ásmán kí intihá se áte haiṉ, háṉ, Ḳhudáwand aur us ke qahr ke hathyár, táki tamám mulk ko barbád kareṉ. 6Ab tum wáwailá karo; kyúṉki Ḳhudáwand ká din nazdík hai; wuh Qádir i mutlaq kí taraf se baṛí halákat kí mánind áegá. 7Is liye sab háth ḍhíle hoṉge, aur har ek ká dil pighal jáegá. 8Aur wuh hirásán hoṉge; jánkaní aur g̣amgíní un ko á legí; wuh aise dard meṉ mubtalá hoṉge, jaise ‘aurat zih kí hálat meṉ; wuh sarásíma hokar ek dúsre ká muṉh dekheṉge, aur un ke chihre shu‘lanumá hoṉge. 9Dekho, Ḳhudáwand ká wuh din átá hai, jo g̣azab meṉ aur qahr i shadíd meṉ saḳht durusht hai; táki mulk ko wírán kare, aur gunahgároṉ ko us par se nest o nábúd kar de. 10Kyúṉki ásmán ke sitáre aur kawákib benúr ho jáeṉge, aur súraj tulú‘ hote hote tárík ho jáegá, aur chánd apní raushní na degá. 11Aur maiṉ jahán ko us kí buráí ke sabab se, aur sharíroṉ ko un kí badkirdárí kí sazá dúṉgá, aur maiṉ mag̣rúroṉ ká g̣urúr nest aur haibatnák logoṉ ká ghamanḍ past kar dúṉgá. 12Maiṉ ádmí ko ḳhális sone se, balki insán ko Ofír ke kundan se bhí kamyáb banáúṉgá. 13Is liye maiṉ ásmánoṉ ko larzáúṉgá, aur Rabb u’l afwáj ke g̣azab se aur us ke qahr i shadíd ke roz zamín apní jagah se jhaṭkí jáegí. 14Aur yúṉ hogá, ki wuh khadeṛe húe áhú aur láwáris bheṛoṉ kí mánind hoṉge; un meṉ se har ek apne logoṉ kí taraf mutawajjih hogá, aur har ek apne watan ko bhágegá. 15Har ek jo mil jáe, ár pár chhedá jáegá, aur har ek jo paḳrá jáe, talwár se qatl kiyá jáegá. 16Aur un ke bál bachche un kí áṉkhoṉ ke sámne pára pára hoṉge; un ke ghar lúṭe jáeṉge, aur un kí ‘auratoṉ kí behurmatí hogí. 17Dekho, maiṉ Mádíoṉ ko un ke ḳhiláf barangeḳhta karúṉgá, jo chándí ko ḳhátir meṉ nahíṉ láte, aur sone se ḳhush nahíṉ hote. 18Un kí kamáneṉ jawánoṉ ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍáleṉgí, aur wuh shírḳhwároṉ par tars na kháeṉge, aur chhoṭe bachchoṉ par rahm kí nazar ná kareṉge. 19Aur Bábul, jo mamlukatoṉ kí hashmat aur Kasdíoṉ kí buzurgí kí raunaq hai, Sadúm aur ‘Amúrah kí mánind ho jáegá, jin ko Ḳhudá ne ulaṭ diyá. 20Wuh abad tak ábád na hogá, aur pusht dar pusht us meṉ koí na basegá; waháṉ hargiz ‘Arab ḳhaime na lagáeṉge, aur waháṉ gaḍariye galloṉ ko na biṭháeṉge. 21Par ban ke janglí darande waháṉ baiṭheṉge, aur un ke gharoṉ men ullú bhare hoṉge: waháṉ shutrmurg̣ baseṉge, aur chhagmánas waháṉ nácheṉge. 22Aur gídaṛ un ke ‘álíshán makánoṉ meṉ, aur bheṛiye un ke rangmahalloṉ meṉ chilláeṉge: us ká waqt nazdík á pahuṉchá hai, aur us ke dinoṉ ko ab túl nahíṉ hogá.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 13: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in