YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 9

9
1G̣araz, pahle ʻahd meṉ bhí ʻibádat ke ahkám the, aur aisá maqdis jo dunyawí thá; 2yaʻní ek ḳhaima banáyá gayá thá; agle meṉ chirágdán, aur mez, aur nazr kí roṭiyáṉ thíṉ; aur use Pák makán kahte haiṉ. 3Aur dúsre parde ke píchhe wuh ḳhaima thá, jise Páktarín kahte haiṉ; 4us meṉ sone ká ʻúdsoz#9:4 ʻúdsoz Yeh murakkab lafz hai. UD aik khusbu ka nam hai aur soz ba máni jalany wala. Goya woh cheez jis meṉ khushbu k lie Ud ko jalaya jae. , aur chároṉ taraf sone se maṉḍhá húá ʻahd ká sandúq thá; is meṉ mann se bhará húá ek sone ká martabán, aur phúlá phalá húá Hárún ká ʻasá, aur ʻahd kí taḳhtíáṉ thíṉ; 5aur us ke úpar jalál ke karúbí the, jo kaffáragáh par sáya karte the: in bátoṉ ke mufassal bayán karne ká yih mauqaʻ nahíṉ. 6Jab yih chízeṉ ís tarah ban chukíṉ, to pahle ḳhaime meṉ to káhin har waqt dáḳhil hote, aur ʻibádat ká kám anjám dete haiṉ. 7Magar dúsre meṉ sirf sardár káhin hi sál bhar meṉ ek bár játá hai; aur bagair ḳhún ke nahíṉ játá; jise apne wáste aur ummat kí bhúl chúk ke wáste guzrántá hai. 8Is se Rúhuʼl Quds ká yih ishára hai, ki jab tak pahlá ḳhaima khaṛá hai, pák makán kí ráh záhir nahíṉ húí. 9Wuh ḳhaima maujúda zamáne ke liye ek misál hai; aur is ke bamújib aisí nazreṉ aur qurbáníáṉ guzrání játí thíṉ, jo ʻibádat karnewále ko dil ke iʻtibár se kámil nahíṉ kar saktíṉ; 10is liye ki wuh sirf kháne píne, aur tarah tarah ke gusloṉ kí biná par jismání ahkám haiṉ, jo isláh ke waqt tak muqarrar kiye gaye haiṉ.
11Lekin jab Masíh áyanda kí achchhí chízoṉ ká sardár káhin hokar áyá, to us buzurgtar aur kámiltar ḳhaime kí ráh se jo háthoṉ ká baná húá, yaʻní is dunyá ká, nahíṉ; 12aur bakroṉ aur bachhṛoṉ ká ḳhún lekar nahíṉ, balki apná hí ḳhún lekar, pák makán meṉ ek hí bár dáḳhil ho gayá, aur abadí ḳhalásí karáí. 13Kyúṉki jab bakroṉ aur bailoṉ ke ḳhún aur gáe kí rákh nápákoṉ par chhiṛke jáne se záhirí pákízagí hásil hotí hai; 14to Masíh ká ḳhún jís ne apne áp ko azalí Rúh ke wasíle Ḳhudá ke sámne beʻaib qurbán kar diyá, tumháre diloṉ ko murda kámoṉ se kyúṉ na pák karegá, táki zinda Ḳhudá kí ʻibádat kareṉ. 15Aur isí sabab se wuh naye ʻahd ká darmiyání hai, táki us maut ke wasíle se jo pahle ʻahd ke waqt ke qusúroṉ kí muʻáfí ke liye húí hai, buláe húe log waʻde ke bamújib abadí mírás ko hásil kareṉ. 16Kyúṉki jaháṉ wasíyat hai, waháṉ wasíyat karnewále kí maut bhí sábit honí zarúr hai. 17Is liye ki wasíyat maut ke baʻd hí járí hotí hai, aur jab tak wasíyat karnewálá zinda rahtá hai, us ká ijrá nahíṉ hotá. 18Isí liye pahlá ʻahd bhí bagair ḳhún ke nahíṉ báṉdhá gayá. 19Chunáṉchi jab Músá tamám ummat ko sharíʻat ká har ek hukm suná chuká, to bachhṛoṉ aur bakroṉ ká ḳhún lekar, pání, aur lál ún, aur zúfá ke sáth, us kitáb aur tamám ummat par chhiṛak diyá, 20aur kahá, ki Yih us ʻahd ká ḳhún hai, jis ká hukm Ḳhudá ne tumháre liye diyá hai. 21Aur isí tarah us ne ḳhaime aur ʻibádat ki tamám chízoṉ par ḳhún chhiṛká. 22Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
23Pas zarúr thá, ki ásmání chízoṉ ki naqleṉ to in ke wasíle se pák kí jáeṉ; magar ḳhud ásmání chízeṉ in se bihtar qurbáníoṉ ke wasíle se. 24Kyúṉki Masíh us háth ke banáe húe pák makán meṉ dáḳhil nahíṉ húá, jo haqíqí pák makán ká namúna hai, balki ásmán hí meṉ dáḳhil húá; táki ab Ḳhudá ke rúbarú hamárí ḳhátir házir ho: 25yih nahíṉ ki wuh apne áp ko bár bár qurbán kare, jis tarah ki sardár káhin pák makán meṉ har sál dúsre ká ḳhún lekar játá hai; 26warna biná e ʻálam se lekar us ko bár bár dukh uṭháná zarúr hotá: magar ab zamánoṉ ke áḳhir meṉ ek bár záhir húá, táki apne áp ko qurbán karne se gunáh ko miṭá de. 27Aur jis tarah ádmíoṉ ke liye ek bár marná aur us ke baʻd ʻadálat ká honá muqarrar hai; 28isí tarah Masíh bhí ek bár bahut logoṉ ke gunáh uṭháne ke liye qurbán hokar, dúsrí bár bagair gunáh ke, naját ke liye un ko dikháí degá, jo us kí ráh dekhte haiṉ.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in