1
ʻIbrá Níoṉ 9:28
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
isí tarah Masíh bhí ek bár bahut logoṉ ke gunáh uṭháne ke liye qurbán hokar, dúsrí bár bagair gunáh ke, naját ke liye un ko dikháí degá, jo us kí ráh dekhte haiṉ.
Compare
Explore ʻIbrá Níoṉ 9:28
2
ʻIbrá Níoṉ 9:14
to Masíh ká ḳhún jís ne apne áp ko azalí Rúh ke wasíle Ḳhudá ke sámne beʻaib qurbán kar diyá, tumháre diloṉ ko murda kámoṉ se kyúṉ na pák karegá, táki zinda Ḳhudá kí ʻibádat kareṉ.
Explore ʻIbrá Níoṉ 9:14
3
ʻIbrá Níoṉ 9:27
Aur jis tarah ádmíoṉ ke liye ek bár marná aur us ke baʻd ʻadálat ká honá muqarrar hai
Explore ʻIbrá Níoṉ 9:27
4
ʻIbrá Níoṉ 9:22
Aur taqríban sárí chízeṉ sharíʻat ke mutábiq ḳhún se pák kí játí haiṉ, aur bagair ḳhún baháe muʻáfí nahíṉ hotí.
Explore ʻIbrá Níoṉ 9:22
5
ʻIbrá Níoṉ 9:15
Aur isí sabab se wuh naye ʻahd ká darmiyání hai, táki us maut ke wasíle se jo pahle ʻahd ke waqt ke qusúroṉ kí muʻáfí ke liye húí hai, buláe húe log waʻde ke bamújib abadí mírás ko hásil kareṉ.
Explore ʻIbrá Níoṉ 9:15
Home
Bible
Plans
Videos